प्रति पद पर एक नवीनोद्यान बनाते चलो।
मरु-भूमि में भी बाग़ की रंगत रचाते चलो॥
प्यार जाग्रत हो उठे इंसानियत जाग्रत हो।
एकता के सब जगह नारे लगाते चलो॥
दाना-दाना भिन्न हुआ माला टूटी प्रेम की।
एक ही सूत्र में उन्हीं दानों को मिलाते चलो॥
कारवाँ चलता रहे दुःखदायी अँधेरा न हो।
रुचि और साहस की मशाल को जलाते चलो॥
नाव है मँझधार में माँझी बना सहकार को।
अपनी किश्ती को सदा तट पर लगाते चलो॥
पुष्प यदि तुम चाहते हो प्रेम काँटों से करो।
अपनी सारी फुलवाड़ी की कुशल मनाते चलो॥
ढलने वाले लाख हों किंतु साँचा एक हो।
निर्द्वंद्वता से हृदय का द्वंद्व मिटाते चलो॥
अद्योदृष्टि क्यों करो? खेचर बनो आकाश के।
रचना अपने घोसलों की नभ में कराते चलो॥
दृकपथ में जो कुछ आ पड़े देखो उसे कर्मण्य हो।
किंतु उसकी प्रतिक्रिया से अपने को बचाते चलो॥
कर्म ही संसार में भाग्य का निज रूप है।
कर्म से ही भाग्य की शोभा बढ़ाते चलो॥
सब मिलकर एक-एक ईंट उठाकर बनाओ जीवन-प्रासाद।
टूटे-फूटे झोपड़ों को बँगलो में बदलते चलो॥
एक भरपेट मिष्टान्न खावे, एक अन्न-कण को तरसे।
इस समय के भेद तुम सब मिटाते चलो॥
वैद्यों की न राह देखो, रोग-निदान परखो स्वयं।
दैवी शक्ति के विभव से वेदना नसाते चलो॥
दु:ख है सुखों की शोभा, दु:ख लाते साथ में सुखों को।
युक्ति से प्रतिकूलताओं का सामना करते चलो॥
जलधि के गंभीर जल में डुबकी लगा मुक्ता-फल संचय करो।
सब जौहरियों को यह शुभ सूचना देते चलो॥
उजाड़ों में मंडियाँ लगे मरुभूमि में हरियाली हो।
जंगल में ए ‘जिया’ मंगल मनाते चलो॥
prati pad par ek navinodyan banate chalo.
maru bhumi mein bhi baagh ki rangat rachate chalo॥
pyaar jagrat ho uthe insaniyat jagrat ho.
ekta ke sab jagah nare lagate chalo॥
dana dana bhinn hua mala tuti prem ki.
ek hi sootr mein unhin danon ko milate chalo॥
karvan chalta rahe duakhadayi andhera na ho.
ruchi aur sahas ki mashal ko jalate chalo॥
naav hai manjhdhar mein manjhi bana sahkar ko.
apni kishti ko sada tat par lagate chalo॥
pushp yadi tum chahte ho prem kanton se karo.
apni sari phulvaDi ki kushal manate chalo॥
Dhalne vale laakh ho kintu sancha ek ho.
nirdvandvta se hirdai ka dvandv mitate chalo॥
adrishti kyo karo? khechar bano akash ke.
rachna apne ghoslon ki nabh mein karate chalo॥
drikpath mein jo kuch aa paDe dekho use karmany ho.
kintu uski pratikriya se apne ko bachate chalo॥
karm hi sansar mein bhagya ka nij roop hai.
karm se hi bhagya ki shobha baDhate chalo॥
sab milkar ek ek int uthakar banao jivan prasad.
tute phute jhopDon ko bangalo mein badalte chalo॥
ek bharpet mishtann khave, ek ann kan ko tarse.
is samay ke bhed tum sab mitate chalo॥
vaidyon ki na raah dekho, rog nidan parkho svyam.
daivi shakti ke vibhav se vedna nasate chalo॥
duhakh hai sukhon ki shobha, duhakh late saath mein sukhon ko.
yukti se pratikultaon ka samna karte chalo॥
jaldhi ke gambhir jal mein Dupki laga mukta phal sanchay karo.
sab jauhariyon ko ye shubh suchana dete chalo॥
ujaDo mein manDiyan lage marubhumi mein hariyali ho.
jangal mein e ‘jiya’ mangal manate chalo॥

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.