पूंकूंटन ने कहा,
“देखिए...
आपकी नदी में मिला था
संघकालीन सिक्का!”
सिक्का नहीं...
सिक्के का फ़ोटो था
फिर भी
आँखें हुईं गीली
'ऊबड़-खाबड़
जनपथ की पहुँच से परे
इस मिट्टी में भी
छिपा हुआ है क्या
इतिहास का निशान?
ठुमक ठुमककर चलती
नृत्यांगना है यह नदी
नहीं तो
इस अभिशप्त गाँव की परवाह
कौन करता?
सम्मानरक्षक
साड़ी का आँचल
यही नदी है न?
ऐसे जीर्ण-शीर्ण मन को
मरहम लगाने लगी
पुरातत्त्ववेत्ता की सूचना...
आषियारु नदी के बाँध पर
दिगंबर जैनियों के पत्थर के बिस्तर थे
तीर्थंकर की मूर्ति भी थी
उस समय धर्मावलंबी संन्यासियों के
श्रीचरणों से स्पर्शित
तीर्थ है यह नदी।
नदी प्रवाह में तिरते आए
महाराज के उपवन के रसीले आम को
कन्या ने इच्छापूर्वक उठाया
उसे मरवा डाला उस पापी ने
संघ काव्य में रक्तिम दाग़ लगाते
क्रूर राज नन्नन से शासित
आने मलै पहाड़ से होकर
अश्रु बहाती हुई
आ रही है यह नदी
और कितने रहस्य हैं।
और कितने यवनों के सिक्के हैं।
हे नदी! तेरी गोद में?
और एक बार
पूंकूंटन को यहाँ लाना है।
इस इतिहास से
हाथ मिलाने से
हाथ मिलाने हेतु
भूमध्यसागर के तट पर
टकसाल में ढली
स्वर्ण-मुद्राओं को
यहाँ खोज निकालने के लिए...
punkuntan ne kaha,
“dekhiye
apaki nadi mein mila tha
sanghkalin sikka!”
sikka nahin
sikke ka photo tha
phir bhi
ankhen huin gili
ubaD khabaD
janpath ki pahunch se pare
is mitti mein bhi
chhipa hua hai kya
itihas ka nishan?
thumak thumakkar chalti
nrityangna hai ye nadi
nahin to
is abhishapt ganw ki parwah
kaun karta?
sammanrakshak
saDi ka anchal
yahi nadi hai n?
aise jeern sheern man ko
marham lagane lagi
puratattwwetta ki suchana
ashiyaru nadi ke bandh par
digambar jainiyon ke patthar ke bistar the
tirthankar ki murti bhi thi
us samay dharmawlambi sannyasiyon ke
shricharnon se sparshit
teerth hai ye nadi
nadi prawah mein tirte aaye
maharaj ke upwan ke rasile aam ko
kanya ne ichchhapurwak uthaya
use marwa Dala us papi ne
sangh kawy mein raktim dagh lagate
kroor raj nannan se shasit
ane malai pahaD se hokar
ashru bahati hui
a rahi hai ye nadi
aur kitne rahasy hain
aur kitne yawnon ke sikke hain
he nadi! teri god mein?
aur ek bar
punkuntan ko yahan lana hai
is itihas se
hath milane se
hath milane hetu
bhumadhysagar ke tat par
taksal mein Dhali
swarn mudraon ko
yahan khoj nikalne ke liye
punkuntan ne kaha,
“dekhiye
apaki nadi mein mila tha
sanghkalin sikka!”
sikka nahin
sikke ka photo tha
phir bhi
ankhen huin gili
ubaD khabaD
janpath ki pahunch se pare
is mitti mein bhi
chhipa hua hai kya
itihas ka nishan?
thumak thumakkar chalti
nrityangna hai ye nadi
nahin to
is abhishapt ganw ki parwah
kaun karta?
sammanrakshak
saDi ka anchal
yahi nadi hai n?
aise jeern sheern man ko
marham lagane lagi
puratattwwetta ki suchana
ashiyaru nadi ke bandh par
digambar jainiyon ke patthar ke bistar the
tirthankar ki murti bhi thi
us samay dharmawlambi sannyasiyon ke
shricharnon se sparshit
teerth hai ye nadi
nadi prawah mein tirte aaye
maharaj ke upwan ke rasile aam ko
kanya ne ichchhapurwak uthaya
use marwa Dala us papi ne
sangh kawy mein raktim dagh lagate
kroor raj nannan se shasit
ane malai pahaD se hokar
ashru bahati hui
a rahi hai ye nadi
aur kitne rahasy hain
aur kitne yawnon ke sikke hain
he nadi! teri god mein?
aur ek bar
punkuntan ko yahan lana hai
is itihas se
hath milane se
hath milane hetu
bhumadhysagar ke tat par
taksal mein Dhali
swarn mudraon ko
yahan khoj nikalne ke liye
स्रोत :
पुस्तक : एक ग्रामीण नदी (पृष्ठ 64)
रचनाकार : सिर्पी बालसुब्रह्मण्यम
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.