एक दो तीन नहीं
कई स्त्रियों ने मिलकर बुना था
यह जीवन
किसी ने इकट्ठा किया कपास
किसी ने बनाए धागे
कोई बाज़ार से ले आया सुई
बुनने के पहले बनाया गया था ताना-बाना
गाए गए थे कबीर के पद
और मुझे बुना गया था
मुझे चाँद की रोशनी
और घनघोर अँधेरों में बुना गया था
कभी सीवन उधड़ी तो इन स्त्रियों ने की दुरुस्त
बुनकर स्त्रियों ने मुझे कठिन परिस्थितियों में निर्मित किया
वे मेरे लिए बनी रहीं कवच
मैं इन स्त्रियों, कपास, धागे और सुई का आभारी हूँ
सबसे ज़्यादा कृतज्ञ मैं कबीर के पदों का हूँ
जिसने मुझे मनुष्य बनाया
ek do teen nahin
kai striyon ne milkar buna tha
ye jiwan
kisi ne ikattha kiya kapas
kisi ne banaye dhage
koi bazar se le aaya sui
bunne ke pahle banaya gaya tha tana bana
gaye gaye the kabir ke pad
aur mujhe buna gaya tha
mujhe chand ki roshni
aur ghanghor andheron mein buna gaya tha
kabhi siwan udhDi to in striyon ne ki durust
bunkar striyon ne mujhe kathin paristhitiyon mein nirmit kiya
we mere liye bani rahin kawach
main in striyon, kapas, dhage aur sui ka abhari hoon
sabse zyada kritagy main kabir ke padon ka hoon
jisne mujhe manushya banaya
ek do teen nahin
kai striyon ne milkar buna tha
ye jiwan
kisi ne ikattha kiya kapas
kisi ne banaye dhage
koi bazar se le aaya sui
bunne ke pahle banaya gaya tha tana bana
gaye gaye the kabir ke pad
aur mujhe buna gaya tha
mujhe chand ki roshni
aur ghanghor andheron mein buna gaya tha
kabhi siwan udhDi to in striyon ne ki durust
bunkar striyon ne mujhe kathin paristhitiyon mein nirmit kiya
we mere liye bani rahin kawach
main in striyon, kapas, dhage aur sui ka abhari hoon
sabse zyada kritagy main kabir ke padon ka hoon
jisne mujhe manushya banaya
स्रोत :
रचनाकार : स्वप्निल श्रीवास्तव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.