नाउम्मीदी की बारिश हो रही है
झमाझम बरस रहा है
दुनिया को हताश करने वाला
पानी
जब हो रहा है यह सब
पहले से क्रूर होती जा रही
आज की दुनिया में
वे पानी को
जगह-जगह से
पीट रहे हैं
ढलती हुई सदी के लोगो,
यह बचपन में सुना हुआ मुहावरा है
माँ से
तनिक झिड़की के साथ
सुना हुआ मुहावरा
कभी लताड़ के साथ
जब हमारी बस्ती पर
पहला बम गिरने वाला था
न मुझे न किटी को
न बड़ी जिज्जी
या छोटे दादा को
किसी को पता नहीं था तब तक
क्या होता है गिरने वाला बम
क्या वह फल की तरह टपकता है
सीधे आसमान से
या चू पड़ता है चुपचाप
हरसिंगार के फूल की तरह
क्या राख हो जाती है दुनिया
उसके गिरने से
या लहलहा उठती है
बेर या करौंदों से
कभी हम सहमते
कभी ख़ुश होते
कि एक न एक दिन
ज़रूर देखेंगे
बम का गिरना
अपनी बस्ती पर
हमारी उड़ानें
ख़त्म ही न होने को आती थीं
तभी सुना था यह मुहावरा
माँ से
तनिक कोफ़्त के साथ
मतलब जिसका
मैं अब जान पाया हूँ
साल के इस आख़िरी दिन
जब एक लंबे कुहराम के बाद
सन्नाटा छा गया
वायुमंडल में और
सदन के पटल पर
और फिर शुरू हो गई
नाउम्मीदी की बारिश
दुनिया को
हताश करने वाला
पानी
और पीटने लगे वे
उसे जगह-जगह से
naummidi ki barish ho rahi hai
jhamajham baras raha hai
duniya ko hatash karne vala
pani
jab ho raha hai ye sab
pahle se kroor hoti ja rahi
aaj ki duniya men
ve pani ko
jagah jagah se
peet rahe hain
Dhalti hui sadi ke logo
ye bachpan mein suna hua muhavara hai
maan se
tanik jhiDki ke saath
suna hua muhavara
kabhi lataD ke saath
jab hamari basti par
pahla bam girne vala tha
na mujhe na kiti ko
na baDi jijji
ya chhote dada ko
kisi ko pata nahin tha tab tak
kya hota hai girne vala bam
kya wo phal ki tarah tapakta hai
sidhe asman se
ya chu paDta hai chupchap
harsingar ke phool ki tarah
kya raakh ho jati hai duniya
uske girne se
ya lahlaha uthti hai
ber ya karaundon se
kabhi hum sahamte
kabhi khush hote
ki ek na ek din
zarur dekhenge
bam ka girna
apni basti par
hamari uDanen
khatm hi na hone ko aati theen
tabhi suna tha ye muhavara
maan se
tanik koft ke saath
matlab jiska
main ab jaan paya hoon
saal ke is akhiri din
jab ek lambe kuhram ke baad
sannata chha gaya
vayumanDal mein aur
sadan ke patal par
aur phir shuru ho gai
naummidi ki barish
duniya ko
hatash karne vala
pani
aur pitne lage ve
use jagah jagah se
naummidi ki barish ho rahi hai
jhamajham baras raha hai
duniya ko hatash karne vala
pani
jab ho raha hai ye sab
pahle se kroor hoti ja rahi
aaj ki duniya men
ve pani ko
jagah jagah se
peet rahe hain
Dhalti hui sadi ke logo
ye bachpan mein suna hua muhavara hai
maan se
tanik jhiDki ke saath
suna hua muhavara
kabhi lataD ke saath
jab hamari basti par
pahla bam girne vala tha
na mujhe na kiti ko
na baDi jijji
ya chhote dada ko
kisi ko pata nahin tha tab tak
kya hota hai girne vala bam
kya wo phal ki tarah tapakta hai
sidhe asman se
ya chu paDta hai chupchap
harsingar ke phool ki tarah
kya raakh ho jati hai duniya
uske girne se
ya lahlaha uthti hai
ber ya karaundon se
kabhi hum sahamte
kabhi khush hote
ki ek na ek din
zarur dekhenge
bam ka girna
apni basti par
hamari uDanen
khatm hi na hone ko aati theen
tabhi suna tha ye muhavara
maan se
tanik koft ke saath
matlab jiska
main ab jaan paya hoon
saal ke is akhiri din
jab ek lambe kuhram ke baad
sannata chha gaya
vayumanDal mein aur
sadan ke patal par
aur phir shuru ho gai
naummidi ki barish
duniya ko
hatash karne vala
pani
aur pitne lage ve
use jagah jagah se
स्रोत :
पुस्तक : चौथा शब्द (पृष्ठ 99)
रचनाकार : परमानंद श्रीवास्तव
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.