स्वर्णपात्र से ढँका हुआ है चेतन मेरा
प्रिय, आ तू बाहर आ, अपने जीर्ण आवरण
से बाहर आ। स्वच्छ स्फटिक-सा नभ है तेरा
उसे सजा। मैं आहत हूँ अंदर से। क्या वरण
करूँ। हतप्रभ हूँ। भुला दिया है सबको मैंने
वर्षों से। प्रीतिभोज की चमक-दमक में खोया
फिरता हूँ हर दिन। भीतर ही भीतर रोया
हूँ देख दूर्दशा अपनी। कँपा दिया भय ने
मुझको। प्रमुदित करता फिरता हूँ बड़भागों
को। नहीं देख पाता रचे चित्र, नव छंद
काव्य बंध को। उत्कीर्ण गहन रेखाएँ जो मंद
पड़ गईं समय क्षीण हो। क्या करूँ अभागों
का जो तरस रहे बूँद-बूँद को प्यासे है
उत्सव अभिवादन से क्या कंटक भागे हैं
swarnpatr se Dhanka hua hai chetan mera
priy, aa tu bahar aa, apne jeern awarn
se bahar aa swachchh sphatik sa nabh hai tera
use saja main aahat hoon andar se kya warn
karun hataprabh hoon bhula diya hai sabko mainne
warshon se pritibhoj ki chamak damak mein khoya
phirta hoon har din bhitar hi bhitar roya
hoon dekh durdsha apni kanpa diya bhay ne
mujhko pramudit karta phirta hoon baDbhagon
ko nahin dekh pata rache chitr, naw chhand
kawy bandh ko utkirn gahan rekhayen jo mand
paD gain samay kshain ho kya karun abhagon
ka jo taras rahe boond boond ko pyase hai
utsaw abhiwadan se kya kantak bhage hain

स्रोत :
पुस्तक : पहले तुम्हारा खिलना (पृष्ठ 66)
रचनाकार : विजेंद्र
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ
संस्करण : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.