इतनी तीव्र थी बुभुक्षा कि मैं फूल चबाती थी अड़हुल के
वहीं जहाँ गूँथते थे तुम गजरे मेरे केशों के लिए
और मेरी आँखों में घुले काजल पर रीझ-रीझ उठते थे
आसमान से गिरती थीं बूँदे और धूल में मिल जाती थीं
धूल से ही भरी थी एड़ियाँ जिन्हें थाम लेते थे हथेली में
उठती थी तो कलाई थाम लेते थे तुम
न जाने की लगाते थे गुहार
साये की तरह संग-संग डोलते थे
मुझको देखते थे जीवन के सबसे सुंदर दृश्य की तरह
तुम्हारे सीने में फड़फड़ाते कबूतर फूल उठते थे मेरी गरदन की नसें देखकर
कलाई की नीली नसें तुम्हारा मन मोहती थीं
इतनी तीव्र उठती थी कामना कि तुम से मुझ तक घुमड़ती थी
पानी से भरी बदली बनकर
फिर भी कब जूठे किए थे होंठ... कभी भी तो नहीं
रहे प्यास से भरे बरसों और वैसे ही छूट गए थे एक रोज़
हम कब उतरे थे उस मधुवन में
जहाँ संसार उतर जाता है क्षण भर में।
itni teewr thi bubhuksha ki main phool chabati thi aDahul ke
wahin jahan gunthate the tum gajre mere keshon ke liye
aur meri ankhon mein ghule kajal par reejh reejh uthte the
asman se girti theen bunde aur dhool mein mil jati theen
dhool se hi bhari thi eDiyan jinhen tham lete the hatheli mein
uthti thi to kalai tham lete the tum
na jane ki lagate the guhar
saye ki tarah sang sang Dolte the
mujhko dekhte the jiwan ke sabse sundar drishya ki tarah
tumhare sine mein phaDphaDate kabutar phool uthte the meri gardan ki nasen dekhkar
kalai ki nili nasen tumhara man mohti theen
itni teewr uthti thi kamna ki tum se mujh tak ghumaDti thi
pani se bhari badli bankar
phir bhi kab juthe kiye the honth kabhi bhi to nahin
rahe pyas se bhare barson aur waise hi chhoot gaye the ek roz
hum kab utre the us madhuwan mein
jahan sansar utar jata hai kshan bhar mein

स्रोत :
रचनाकार : वियोगिनी ठाकुर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.