हम एक ही पटकथा के पात्र थे
एक ही कहानी कहते हुए हम दोनों अलग-अलग दृश्य में होते
जैसे एक दृश्य तुम देखते हुए कहते तुमसे कभी मिलने आऊँगा तुम्हारे गाँव तो
नदी के किनारे बैठेंगे
जी भर बातें करगें
तुम बेहया के हल्के बैंगनी फूलों की अल्पना बनाना
उसी दृश्य में तुमसे आगे जाकर देखती हूँ
नदी का वही किनारा है
बहेरी आम का वही पुराना पेड़ है
जिसके तने को पकड़कर हम छुटपन में गोल-गोल घूमते थे
उसी की एक लंबी डाल पर दो लाशें झूल रही हैं
एक मेरी है दूसरी का बस माथा देखकर ही मैं चीख़ पड़ती हूँ
और दृश्य से भाग आती हूँ
तुम रूमानियत में दूसरा दृश्य देखते हो
किसी शाम जब आकाश के थाल में तारें बिखरे होंगे
संसार मीठी नींद में होगा
तो चुपके से तुमसे मिलने आ जाऊँगा
मैं झट से बचपन में चली जाती हूँ
जहाँ दादी भाई को गोद में लिए रानी सारंगा और सदावृक्ष की कहानी सुना रही हैं
मैं सीधे कहानी के क्लाइमेक्स में पहुँचती हूँ
जहाँ रानी सारंगा से मिलने आए प्रेमी का गला खचाक से काट दिया जाता है
और छोटा भाई ताली पीटकर हँसने लगता है
दृश्य और भी था जिसमें मेरा चेहरा नहीं था
देहों से भरा एक मकान था
और मैं एक अछूत बर्तन की तरह घर के एक कोने में पड़ी थी
तुम और भी दृश्य बताते हो
जिसमें समंदर बादल और पहाड़ होते हैं
मैं कहती हूँ : कहते रहो ये सुनना अच्छा लग रहा है!
बस मेरे गाँव-जवार की तरफ़ न लौटना क्योंकि
ये आत्मा प्रेम की ज़र-ख़रीद है और देह कुछ देहों की।
hum ek hi pataktha ke patr the
ek hi kahani kahte hue hum donon alag alag drishya mein hote
jaise ek drishya tum dekhte hue kahte tumse kabhi milne aunga tumhare ganw to
nadi ke kinare baithenge
ji bhar baten kargen
tum behaya ke halke baingni phulon ki alpana banana
usi drishya mein tumse aage jakar dekhti hoon
nadi ka wahi kinara hai
baheri aam ka wahi purana peD hai
jiske tane ko pakaDkar hum chhutpan mein gol gol ghumte the
usi ki ek lambi Dal par do lashen jhool rahi hain
ek meri hai dusri ka bus matha dekhkar hi main cheekh paDti hoon
aur drishya se bhag aati hoon
tum rumaniyat mein dusra drishya dekhte ho
kisi sham jab akash ke thaal mein taren bikhre honge
sansar mithi neend mein hoga
to chupke se tumse milne aa jaunga
main jhat se bachpan mein chali jati hoon
jahan dadi bhai ko god mein liye rani saranga aur sadawriksh ki kahani suna rahi hain
main sidhe kahani ke climax mein pahunchti hoon
jahan rani saranga se milne aaye premi ka gala khachak se kat diya jata hai
aur chhota bhai tali pitkar hansne lagta hai
drishya aur bhi tha jismen mera chehra nahin tha
dehon se bhara ek makan tha
aur main ek achhut bartan ki tarah ghar ke ek kone mein paDi thi
tum aur bhi drishya batate ho
jismen samandar badal aur pahaD hote hain
main kahti hoon ha kahte raho ye sunna achchha lag raha hai!
bus mere ganw jawar ki taraf na lautna kyonki
ye aatma prem ki zar kharid hai aur deh kuch dehon ki

स्रोत :
रचनाकार : रूपम मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.