वह लकड़बग्घा आ ही गया
जिसके लिए तुम कहते थे
आ जाएगा
मेरे लिए लकड़बग्घे का डर
पूरे जंगल में फैला था
मैं गुलमोहर को देखता
मुझे लगता वह सिर्फ़ उसकी हँसी है
उस ख़ौफ़नाक लकड़बग्घे की
वह अपनी ऊँचाई में
एक वृक्ष की तरह होता
कोई फल गिरता
मैं दहशत से पीला पड़ जाता
कोई नहीं होता
वहाँ लकड़बग्घा होता
तुमने अपनी जाँघ पर एक
अजनबी और डरावनी आकृति दिखाकर
कहा था—यहाँ नोचा था उसने
तब से लकड़बग्घा शिशिर वात की तरह
इस घर में घुसा है
सुनसान होते ही
वह फिर निकल आएगा
यह हादसा नहीं तो और क्या है?
जो होना था हुआ
जो आगाह कर रहे थे उनसे
और जो लापरवाह थे उनसे भी
यह पूछना है कि जब
आ ही गया है घर-मोहल्ले में
लकड़बग्घा
तब?
तब इस दुर्गम पर्वत पर भागोगे
या वृक्ष पर चढ़ोगे?
अब जबकि आ ही गया है लकड़बग्घा
और चबा रहा है
एक सूखे चमड़े के टुकड़े की तरह
हमारी ज़िंदगी, हमारा भविष्य।
wo lakaDabaggha aa hi gaya
jiske liye tum kahte the
a jayega
mere liye lakaDbagghe ka Dar
pure jangal mein phaila tha
main gulmohar ko dekhta
mujhe lagta wo sirf uski hansi hai
us khaufnak lakaDbagghe ki
wo apni unchai mein
ek wriksh ki tarah hota
koi phal girta
main dahshat se pila paD jata
koi nahin hota
wahan lakaDabaggha hota
tumne apni jaangh par ek
ajnabi aur Darawni akriti dikhakar
kaha tha—yahan nocha tha usne
tab se lakaDabaggha shishir wat ki tarah
is ghar mein ghusa hai
sunsan hote hi
wo phir nikal ayega
ye hadasa nahin to aur kya hai?
jo hona tha hua
jo agah kar rahe the unse
aur jo laparwah the unse bhi
ye puchhna hai ki jab
a hi gaya hai ghar mohalle mein
lakaDabaggha
tab?
tab is durgam parwat par bhagoge
ya wriksh par chaDhoge?
ab jabki aa hi gaya hai lakaDabaggha
aur chaba raha hai
ek sukhe chamDe ke tukDe ki tarah
hamari zindagi, hamara bhawishya
wo lakaDabaggha aa hi gaya
jiske liye tum kahte the
a jayega
mere liye lakaDbagghe ka Dar
pure jangal mein phaila tha
main gulmohar ko dekhta
mujhe lagta wo sirf uski hansi hai
us khaufnak lakaDbagghe ki
wo apni unchai mein
ek wriksh ki tarah hota
koi phal girta
main dahshat se pila paD jata
koi nahin hota
wahan lakaDabaggha hota
tumne apni jaangh par ek
ajnabi aur Darawni akriti dikhakar
kaha tha—yahan nocha tha usne
tab se lakaDabaggha shishir wat ki tarah
is ghar mein ghusa hai
sunsan hote hi
wo phir nikal ayega
ye hadasa nahin to aur kya hai?
jo hona tha hua
jo agah kar rahe the unse
aur jo laparwah the unse bhi
ye puchhna hai ki jab
a hi gaya hai ghar mohalle mein
lakaDabaggha
tab?
tab is durgam parwat par bhagoge
ya wriksh par chaDhoge?
ab jabki aa hi gaya hai lakaDabaggha
aur chaba raha hai
ek sukhe chamDe ke tukDe ki tarah
hamari zindagi, hamara bhawishya
स्रोत :
रचनाकार : नंद चतुर्वेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.