तुम्हारे हृदय में उतर गई हैं
इस विशालकाय पेड़ की
रूखी, खुरदरी जड़ें
तुम—जो इन जड़ों की ही तरह
भूरे और खुरदरे और रूखे हो
तुम्हारे रक्त की ताक़त और ऊर्जा ही
इस वृक्ष का आधार है
ऊपर—बहुत ऊपर—
यह वृक्ष
तूफ़ानी हवाओं और तेज़ झकोरों में
हरहराता है
तुम्हारे रक्त से पोषित
यह झुकता नहीं
दूर देशों से आने वाले अंधड़ों के सामने
तुम—जो अँधेरे में
तुम—जो धरती की कोख से
सख़्त चट्टानों से जूझते हो
तुम—जो खेतों की कड़ी धूप में
काले पड़ गए हो
तुम—जो आग की दहकती हुई
भट्ठियों के ताप को सहते हो
तुम्हारा ही कंठ गूँजता है
इस पेड़ की पत्तियों के संगीत में
वक़्त आ रहा है
जब तुम अपने मज़बूत हाथों को
धरती पर टेक कर उठ खड़े होगे
और इस पेड़ को सहलाओगे
जैसे कि तुम अपने बच्चे को सहलाते हो
जैसे कि तुम अपने हल और हथौड़े को सहलाते हो
तब तुम्हें दिखाई देंगे वे फूल
जो इस पेड़ पर लहलहाते हैं
असंख्य जनों की जीवन-गाथा की तरह
तुम्हें दिखेंगे वे फल
जो तुम्हारी ही उर्वरता सिद्ध करते हैं
उस समय
जब तुम अपनी चमकदार आँखों को
इसकी फुनगियों के छोर तक उठाओ
और अपनी उजली मुस्कान इसकी ओर फेरो
उस समय
उन्हें मत भूलना
जिन्होंने लगातार
पेड़ काटने वालों से इस वृक्ष की रक्षा की है।
tumhare hirdai mein utar gai hain
is wishalakay peD ki
rukhi, khuradri jaDen
tum—jo in jaDon ki hi tarah
bhure aur khuradre aur rukhe ho
tumhare rakt ki taqat aur urja hi
is wriksh ka adhar hai
upar—bahut upar—
ye wriksh
tufani hawaon aur tez jhakoron mein
harahrata hai
tumhare rakt se poshait
ye jhukta nahin
door deshon se aane wale andhDon ke samne
tum—jo andhere mein
tum—jo dharti ki kokh se
sakht chattanon se jujhte ho
tum—jo kheton ki kaDi dhoop mein
kale paD gaye ho
tum—jo aag ki dahakti hui
bhatthiyon ke tap ko sahte ho
tumhara hi kanth gunjta hai
is peD ki pattiyon ke sangit mein
waqt aa raha hai
jab tum apne mazbut hathon ko
dharti par tek kar uth khaDe hoge
aur is peD ko sahlaoge
jaise ki tum apne bachche ko sahlate ho
jaise ki tum apne hal aur hathauDe ko sahlate ho
tab tumhein dikhai denge we phool
jo is peD par lahlahate hain
asankhya janon ki jiwan gatha ki tarah
tumhein dikhenge we phal
jo tumhari hi urwarta siddh karte hain
us samay
jab tum apni chamakdar ankhon ko
iski phunagiyon ke chhor tak uthao
aur apni ujli muskan iski or phero
us samay
unhen mat bhulna
jinhonne lagatar
peD katne walon se is wriksh ki rakhsha ki hai
tumhare hirdai mein utar gai hain
is wishalakay peD ki
rukhi, khuradri jaDen
tum—jo in jaDon ki hi tarah
bhure aur khuradre aur rukhe ho
tumhare rakt ki taqat aur urja hi
is wriksh ka adhar hai
upar—bahut upar—
ye wriksh
tufani hawaon aur tez jhakoron mein
harahrata hai
tumhare rakt se poshait
ye jhukta nahin
door deshon se aane wale andhDon ke samne
tum—jo andhere mein
tum—jo dharti ki kokh se
sakht chattanon se jujhte ho
tum—jo kheton ki kaDi dhoop mein
kale paD gaye ho
tum—jo aag ki dahakti hui
bhatthiyon ke tap ko sahte ho
tumhara hi kanth gunjta hai
is peD ki pattiyon ke sangit mein
waqt aa raha hai
jab tum apne mazbut hathon ko
dharti par tek kar uth khaDe hoge
aur is peD ko sahlaoge
jaise ki tum apne bachche ko sahlate ho
jaise ki tum apne hal aur hathauDe ko sahlate ho
tab tumhein dikhai denge we phool
jo is peD par lahlahate hain
asankhya janon ki jiwan gatha ki tarah
tumhein dikhenge we phal
jo tumhari hi urwarta siddh karte hain
us samay
jab tum apni chamakdar ankhon ko
iski phunagiyon ke chhor tak uthao
aur apni ujli muskan iski or phero
us samay
unhen mat bhulna
jinhonne lagatar
peD katne walon se is wriksh ki rakhsha ki hai
स्रोत :
पुस्तक : कुल जमा-2 (पृष्ठ 14)
रचनाकार : नीलाभ
प्रकाशन : शब्द प्रकाशन
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.