उन्होंने ही किया सर्वाधिक दोहन भरोसे का
जिनकी शिराओं में सभ्यताओं की रसोई का नमक घुला था
पुरखों की कही ये सूक्ति स्मरण करती हूँ बार-बार
पर उतार नहीं पाती इसका अंश भर भी जीवन में
उम्र के इस पड़ाव पर जब हाथ ख़ाली हैं
और मन भरा तब सोचती हूँ कि
अपने समय का कितना हिस्सा अनगिन बार
उन हित साधकों के लिए रसोई बनाने में गुज़ार दिया
जो केवल अपने हित संधान के लिए आए थे
जिनके चेहरे पर उमग आई
विपन्नता को ठौर देकर
उलझने अपने लिए ही बड़ाईं
पर आश्वस्त रहा मन का हर कोना हमेशा लक़दक़
भरोसे के जल से
सींचती रही हित साधकों के हित
मन के भीतर की छठी इंद्रिय भी
ऐसे अवसरों पर सदा सुप्त रही
जो सूँघ सकती हित साधने आए मीठी मुस्कान धारकों को
हित साधकों के पृष्ठ में छिपी मंशा को
भाँपने का चातुर्य हर किसी में नहीं होता
स्वार्थ साधते लोग अपनी नम बोली
मीठी मुस्कान से जमाते रहे पाँव अपने
उन्हें खड़ा करने की जद्दोजहद में निष्ठा के साथ खड़ी रहीं
और वह स्वावलंबी हो
मेरे ही पाँव के नीचे से जड़े काटने लगे
ईश्वर के दिए इतने समय में से
उम्र का एक मनचीता हिस्सा चला गया इन हितसाधकों के हिस्से
जिन पलों में हित साधकों के हित साधने का ज़रिया बनी रही
ठीक उन्हीं पलों में कर सकती थी सृजन
मन के भीतर और बाहर के आह्लाद से
या बेफ़िक्री की एक लंबी नींद को
बुला सकती थी आँखों में
unhonne hi kiya sarvadhik dohan bharose ka
jinki shiraon mein sabhytaon ki rasoi ka namak ghula tha
purkhon ki kahi ye sukti smarn karti hoon baar baar
par utaar nahin pati iska ansh bhar bhi jivan men
umr ke is paDav par jab haath khali hain
aur man bhara tab sonchti hoon ki
apne samay ka kitna hissa angin baar
un hit sadhkon ke liye rasoi banane mein guzar diya
jo keval apne hit sandhan ke liye aaye the
jinke chehre par umag i
vipannata
ko thaur dekar
ulajhne apne liye hi baDain
par ashvast raha man ka har kona hamesha
lakdak
bharose ke jal se
sinchti rahi hit sadhkon ke hit
man ke bhitar ki chhathi indriy bhi
aise avasron par sada supt rahi
jo soongh sakti hit sadhne aaye mithi muskan dharkon ko
hit sadhkon ke prishth mein chhipi mansha ko
bhanpne ka chatury har kisi mein nahin hota
svaarth sadhte log apni nam boli
mithi muskan se jamate rahe paanv apne
unhen khaDa karne ki jaddojhad mein nishtha ke saath khaDi rahi
aur wo svavalambi ho
mere hi paanv ke niche se jaDe katne lage
ishvar ke diye itne samay mein se
umr ka ek manchita hissa chala gaya in hitsadhkon ke hisse
jin palon mein hit sadhkon ke hit sadhne ka jariya bani rahi
theek unhin palon mein kar sakti thi srijan
man ke bhitar aur bahar ke ahlad se
ya
befiri ki ek lambi neend
ko bula sakti thi ankhon mein

स्रोत :
रचनाकार : शालिनी सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.