जो पुष्प
खिला है बिल्कुल अभी
मुझे उसमें खिलने का
चाव दो
जो बच्चा
अभी-अभी मरा है भूख से
उसी तरह मरने की शक्ति प्रदान करो
वह जो बुज़ुर्ग अंग जर्जर हो रहा है
मुझे उसके साथ
जर्जर होने दो
अथवा कुछ देर के लिए
उसे दे दो मेरे अंग
जो रेल की पटरी पर
कोयले बीन रही है
उसकी कालिख में
भर जाने से
सड़कों पर चीथड़े
पलास्टर बीनते हैं
मुझे उनकी चिंता में घोल दो
उनकी उम्मीद में
जगा दो
मुझे उनके
चूल्हे की आग बना दो
मुझे प्यासे का पानी
और भूखे का अन्न बना डालो
जो हो रहा है, उसे होने के लिए
जो ताक रहा है, उसे ताकने दो
मेरे बाज़ू लंबे कर दो
और उस पर
भाई कन्हैया का हाथ लगा दो।
bhai kanhayya ka hath
jo pushp
khila hai bilkul abhi
mujhe usmen khilne ka
chaw do
jo bachcha
abhi abhi mara hai bhookh se
usi tarah marne ki shakti pradan karo
wo jo bujurg ang jarjar ho raha hai
mujhe uske sath
jarjar hone do
athwa kuch der ke liye
use de do mere ang
jo rail ki patri par
koyle been rahi hai
uski kalikh mein
bhar jane se
saDkon par chithDe
palastar binte hain
mujhe unki chinta mein ghol do
unki ummid mein
jaga do
mujhe unke
chulhe ki aag bana do
mujhe pyase ka pani
aur bhukhe ka ann bana Dalo
jo ho raha hai, use hone ke liye
jo tak raha hai, use takne do
mere baju lambe kar do
aur us par
bhai kanhayya ka hath laga do
bhai kanhayya ka hath
jo pushp
khila hai bilkul abhi
mujhe usmen khilne ka
chaw do
jo bachcha
abhi abhi mara hai bhookh se
usi tarah marne ki shakti pradan karo
wo jo bujurg ang jarjar ho raha hai
mujhe uske sath
jarjar hone do
athwa kuch der ke liye
use de do mere ang
jo rail ki patri par
koyle been rahi hai
uski kalikh mein
bhar jane se
saDkon par chithDe
palastar binte hain
mujhe unki chinta mein ghol do
unki ummid mein
jaga do
mujhe unke
chulhe ki aag bana do
mujhe pyase ka pani
aur bhukhe ka ann bana Dalo
jo ho raha hai, use hone ke liye
jo tak raha hai, use takne do
mere baju lambe kar do
aur us par
bhai kanhayya ka hath laga do
स्रोत :
पुस्तक : बीसवीं सदी का पंजाबी काव्य (पृष्ठ 293)
संपादक : सुतिंदर सिंह नूर
रचनाकार : कवि के साथ अनुवादक फूलचंद मानव, योगेश्वर कौर
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.