उस खिड़की से हवा आती थी
धूप आती थी
झीसी फुहार
गौरैया और मैना
झाँकता थे आम पीपल
गाय बकरी के छौना
दूर से चाँद
और पास से तुम
दिखते थे खिड़की से बाहर की दुनिया के
सब करतब
खेल-तमाशे बच्चों के
बहस, झगड़े-झंझट फ़ुरसतियों के
तेज़ आवा-जाही काम-काजी क़दमों के
तूफ़ान, आँधी
तीज-त्योहार पूजा-पर्व
और सखियों के साथ गुज़रती तुम
रात नींद में
उस खिड़की से मैं चला जाता था
आजी की कहानियों में
या उन कहानियों की जादूगरनियाँ
चली आती थीं कमरे में
और पीछे से तुम भी
ज़िंदगी सुकून थी
खिड़की अब भी खुली है
बाहर उदासी गहरी है
डूबने का ख़तरा है
आँखें बंद करता हूँ
पर नींद है कि जैसे ले रही है
बदला ज़माने भर के बलवे का
जाने कब से सोया नहीं हूँ
जाने कब से तुमसे मिला नहीं हूँ
बड़ी बेचैन है ज़िंदगी
जाने कब तक बीतेगी ये ज़िंदगी
us khiDki se hawa aati thi
dhoop aati thi
jhisi phuhar
gauraiya aur maina
jhankta the aam pipal
gay bakri ke chhauna
door se chand
aur pas se tum
dikhte the khiDki se bahar ki duniya ke
sab kartab
khel tamashe bachchon ke
bahs, jhagDe jhanjhat furasatiyon ke
tez aawa jahi kaam kaji qadmon ke
tufan, andhi
teej tyohar puja parw
aur sakhiyon ke sath guzarti tum
raat neend mein
us khiDki se main chala jata tha
aji ki kahaniyon mein
ya un kahaniyon ki jadugaraniyan
chali aati theen kamre mein
aur pichhe se tum bhi
zindagi sukun thi
khiDki ab bhi khuli hai
bahar udasi gahri hai
Dubne ka khatra hai
ankhen band karta hoon
par neend hai ki jaise le rahi hai
badla zamane bhar ke balwe ka
jane kab se soya nahin hoon
jane kab se tumse mila nahin hoon
baDi bechain hai zindagi
jane kab tak bitegi ye zindagi
us khiDki se hawa aati thi
dhoop aati thi
jhisi phuhar
gauraiya aur maina
jhankta the aam pipal
gay bakri ke chhauna
door se chand
aur pas se tum
dikhte the khiDki se bahar ki duniya ke
sab kartab
khel tamashe bachchon ke
bahs, jhagDe jhanjhat furasatiyon ke
tez aawa jahi kaam kaji qadmon ke
tufan, andhi
teej tyohar puja parw
aur sakhiyon ke sath guzarti tum
raat neend mein
us khiDki se main chala jata tha
aji ki kahaniyon mein
ya un kahaniyon ki jadugaraniyan
chali aati theen kamre mein
aur pichhe se tum bhi
zindagi sukun thi
khiDki ab bhi khuli hai
bahar udasi gahri hai
Dubne ka khatra hai
ankhen band karta hoon
par neend hai ki jaise le rahi hai
badla zamane bhar ke balwe ka
jane kab se soya nahin hoon
jane kab se tumse mila nahin hoon
baDi bechain hai zindagi
jane kab tak bitegi ye zindagi
स्रोत :
रचनाकार : ऋतेश कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.