चिड़ियों के दल उड़ान भरते है पंखों से
आकाश की दूरियाँ मारते हुए
अंचलों, देशों की सरहदें लाँघते खोजते हुए स्वच्छंद दुनिया
उनकी यात्राओं में शामिल होते हैं
ऊँचे पेड़, पहाड़, झाड़ियाँ उनकी दोस्ती होती है गिलहरियों, गिरगिटों से
वे उड़ते हैं भोजन की तलाश में तो कभी अपने हमराह को खोजने,
उनके पंखों से बचाता है गतिशीलता का मधुर संगीत,
उनकी चकचक से उठती है मृदंग की
असंख्य धुनें तोते की चिकचिकाहट और गौरैये की चहचहाहट से
चहक उठते हैं हमारे छतों के छज्जे, आँगन की धूल
आज़ाद विचरण की चाह ने उन्हें पता नहीं होता
कि कौन-सा बहेलिया बिछा रहा होता है जाल
अपनी तिकड़मों, धूर्तताओं की मकड़जाल बुनता हुआ
पढ़े थे हम बचपन की मनोहर पोथी में
शिकारी के जाल को लेकर पक्षियों के ले उड़ने के क़िस्से
भ्रमजाल फैलाने वाले शैय्यादों की आत्मिक बोल
पहेलियाँ आएगा, जाल बिछाएगा, दाना डालेगा
लोभ से उसमें फंसना नहीं
पर, भूख-प्यास की मारी चिड़िया फंस जाती है उसके फाँद में
चिड़िया जैसे-जैसे समझने लगी है बहेलियों की शातिर चालें चिड़ीमार ढूँढ रहे हैं
पक्षियों को पकड़ने की नित नई युक्तियाँ वे कब के छोड़ चुके हैं
दाना-पानी डालने के पुराने घिस तरीक़े,वे करने लगे हैं
वैज्ञानिकों की तरह नए अविष्कार
चिड़ियों की जघन्य हत्या करने की कारगर उपकरण
वे गुलेल और एयरगन के उपयोग को मानने लगे हैं
पंछीघात करने वाले पिछड़े पड़ चुके औज़ार
आखेटक बंसी में मरे चूहों को फंसाकर
पकड़ने लगे हैं फुर्तीले 'वाक' को
तीतरों को चहेटकर पकड़ रहे हैं अहेरी
वर्षा-काल की आरंभ में आए बगेड़-झुँड को
गेहूँ डाँटियों में पीपल के पकाए लासा को लेपकर
बकुलियों को टीसी के डंठलों में गोंद चिपकाकर
फुदककर उड़ने वाले घाघरों को खेत के ऊपर
मछरदानी से ढँककर कचरस धानों को रौंदते हुए
हरे पत्तों सरीखे कोमल हरिलों को पीपल, पाकड़,
बड़ के गोदों में जहर देकर मारने लगे हैं शिकारी
उजड़ते जा रहे वन्य-प्रांतरों, कटते जा रहे बाग़-बगीचों से
बेहाल पंछियों पर शातिर नज़रे रखते हैं शिकारी
वे खोजने में लगी रहती हैं अपना सुरक्षित ठौर ठिकाना
जैसे सूख चुकी फसलों के खेतों के बीच में मेड़ों पर
लहलहाती हुई बची रहती है दूब की हरियल घासें
घसियारे की नज़र को ललचाती हुईं।
chiDiyon ke dal uDaan bharte hai pankhon se
akash ki duriyan marte hue
anchlon, deshon ki sarahden langhate khojte hue svachchhand duniya
unki yatraon mein shamil hote hain
uunche peD, pahaD, jhaDiyan unki dosti hoti hai gilahariyon, giragiton se
ve uDte hain bhojan ki talash mein to kabhi apne hamrah ko khojne,
unke pankhon se bachata hai gatishilata ka madhur sangit,
unki chakchak se uthti hai mridang ki
asankhya dhunen tote ki chikachikahat aur gauraiye ki chahchahahat se
chahak uthte hain hamare chhaton ke chhajje, angan ki dhool
azad vichran ki chaah ne unhen pata nahin hota
ki kaun sa baheliya bichha raha hota hai jaal
apni tikaDmon, dhurttaon ki makaDjal bunta hua
paDhe the hum bachpan ki manohar pothi men
shikari ke jaal ko lekar pakshiyon ke le uDne ke qisse
bhramjal phailane vale shaiyyadon ki atmik bol
paheliyan ayega, jaal bichhayega, dana Dalega
lobh se usmen phansna nahin
par, bhookh pyaas ki mari chiDiya phans jati hai uske phaand men
chiDiya jaise jaise samajhne lagi hai baheliyon ki shatir chalen chiDimar DhoonDh rahe hain
pakshiyon ko pakaDne ki nit nai yuktiyan ve kab ke chhoD chuke hain
dana pani Dalne ke purane ghis tariqe,ve karne lage hain
vaigyanikon ki tarah ne avishkar
chiDiyon ki jaghanya hatya karne ki karagar upakran
ve gulel aur eyargan ke upyog ko manne lage hain
panchhighat karne vale pichhDe paD chuke auzar
akhetak bansi mein mare chuhon ko phansakar
pakaDne lage hain phurtile vak ko
titron ko chahetkar pakaD rahe hain aheri
varsha kaal ki arambh men aaye bageD jhunD ko
gehun Dantiyon mein pipal ke pakaye lasa ko lepkar
bakuliyon ko tisi ke Danthlon mein gond chipkakar
phudakkar uDne vale ghaghron ko khet ke uupar
machhardani se Dhankakar kachras dhanon ko raundte hue
hare patton sarikhe komal harilon ko pipal, pakaD,
baD ke godon mein jahar dekar marne lage hain shikari
ujaDte ja rahe vanya prantron, katte ja rahe baagh bagichon se
behal panchhiyon par shatir nazre rakhte hain shikari
ve khojne mein lagi rahti hain apna surakshit thaur thikana
jaise sookh chuki phaslon ke kheton ke beech men meDon par
lahlahati hui bachi rahti hai doob ki hariyal ghasen
ghasiyare ki nazar ko lalchati huin.

स्रोत :
रचनाकार : लक्ष्मीकांत मुकुल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.