ज़रूर रही होंगी
पढ़ी लिखी
बख़्तियार ख़िलजी की बीवियाँ
और उड़ाती रही होंगी
मज़ाक़ उसकी निरक्षरता का
अक्सर,
और क्रूर सेनापति
मन ही मन पालता रहा होगा द्वेष—
शिक्षा और ज्ञान के विरुद्ध।
उनमें से किसी ने
ज़रूर लिखा होगा
कभी कोई प्रेम-पत्र
उसके नाम और
जिसे न पढ़ पाने की झुंझलाहट ने
भर दिया होगा उसे कुंठा से।
या फिर किसी बीवी ने
लिखी होगी
प्रेम की कोई कविता
जो कि अक्सर होती हैं
तानाशाही के ख़िलाफ़
और एक दिन
भाग गई होगी
अपने आज़ाद-ख़याल प्रेमी के साथ,
जिसका सिर बाद में
लटका मिला होगा
किसी अँधेरे क़िले की
दीवार से उठेंगे
भाले की नोक पर
और अभागी बीवी
नुचवा दी गई होगी
भूखे कुत्तों से।
पर उसकी लिखी कविताएँ
गूँजती महल के दालानों में
याद दिलाती रही होंगी
तानाशाह को
कि वह है अनपढ़,
अक्षर-ज्ञान से शून्य
एक जानवर मात्र
और अज्ञान के सारे
महिमा-मंडन के बावजूद
ज्ञान की श्रेष्ठता के आलोक से
चौंधिया जाती रही होंगी
उसके तमाच्छादित
मस्तिष्क के काली खोहें।
अज्ञानता की इसी खीझ और कुंठा में
एक दिन जला डाली उसने
नालंदा की संचित,
विपुल ज्ञानराशि।
मूर्ख ने सोचा होगा
समाप्त हो जाता है ज्ञान
आग में जलकर
और कविता मर जाती है
डरकर
किसी तानाशाह से।
zarur rahi hongi
paDhi likhi
bakhtiyar khilji ki biwiyan
aur uDati rahi hongi
mazaq uski niraksharata ka
aksar,
aur kroor senapati
man hi man palta raha hoga dwesh—
shiksha aur gyan ke wiruddh
unmen se kisi ne
zarur likha hoga
kabhi koi prem patr
uske nam aur
jise na paDh pane ki jhunjhlahat ne
bhar diya hoga use kuntha se
ya phir kisi biwi ne
likhi hogi
prem ki koi kawita
jo ki aksar hoti hain
tanashahi ke khilaf
aur ek din
bhag gai hogi
apne azad khayal premi ke sath,
jiska sir baad mein
latka mila hoga
kisi andhere qile ki
diwar se uthenge
bhale ki nok par
aur abhagi biwi
nuchwa di gai hogi
bhukhe kutton se
par uski likhi kawitayen
gunjti mahl ke dalanon mein
yaad dilati rahi hongi
tanashah ko
ki wo hai anpaDh,
akshar gyan se shunya
ek janwar matr
aur agyan ke sare
mahima manDan ke bawjud
gyan ki shreshthta ke aalok se
chaundhiya jati rahi hongi
uske tamachchhadit
mastishk ke kali khohen
agyanta ki isi kheejh aur kuntha mein
ek din jala Dali usne
nalanda ki sanchit,
wipul gyanrashi
moorkh ne socha hoga
samapt ho jata hai gyan
ag mein jalkar
aur kawita mar jati hai
Darkar
kisi tanashah se
zarur rahi hongi
paDhi likhi
bakhtiyar khilji ki biwiyan
aur uDati rahi hongi
mazaq uski niraksharata ka
aksar,
aur kroor senapati
man hi man palta raha hoga dwesh—
shiksha aur gyan ke wiruddh
unmen se kisi ne
zarur likha hoga
kabhi koi prem patr
uske nam aur
jise na paDh pane ki jhunjhlahat ne
bhar diya hoga use kuntha se
ya phir kisi biwi ne
likhi hogi
prem ki koi kawita
jo ki aksar hoti hain
tanashahi ke khilaf
aur ek din
bhag gai hogi
apne azad khayal premi ke sath,
jiska sir baad mein
latka mila hoga
kisi andhere qile ki
diwar se uthenge
bhale ki nok par
aur abhagi biwi
nuchwa di gai hogi
bhukhe kutton se
par uski likhi kawitayen
gunjti mahl ke dalanon mein
yaad dilati rahi hongi
tanashah ko
ki wo hai anpaDh,
akshar gyan se shunya
ek janwar matr
aur agyan ke sare
mahima manDan ke bawjud
gyan ki shreshthta ke aalok se
chaundhiya jati rahi hongi
uske tamachchhadit
mastishk ke kali khohen
agyanta ki isi kheejh aur kuntha mein
ek din jala Dali usne
nalanda ki sanchit,
wipul gyanrashi
moorkh ne socha hoga
samapt ho jata hai gyan
ag mein jalkar
aur kawita mar jati hai
Darkar
kisi tanashah se
स्रोत :
रचनाकार : श्रीविलास सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.