मुझे बाजा बनाया गया
और मैं बजने से पहले ही रो दिया
क्या करूँ कि मुझे बनाने वालों के दिल रोते हैं
मुझे बाजा बनाया गया
और मैं बजने से पहले ही हँस दिया
हँसने से काम नहीं चलेगा
और हँसना बाजे का काम भी नहीं
लेकिन यह हँसी उनकी है
जिनका मैं हूँ
मैं हैरान हूँ
कि बाजा होते हुए भी
मैं कैसे हँस दिया
मुझे हँसना नहीं चाहिए था
दरअसल, यह हँसी मेरी थी भी नहीं
मैं तो सिर्फ़ इसलिए हँसा
कि यह हँसी मेरी क्यों नहीं
मैं हैरान हुआ
कि बाजा होते हुए भी
मैं अपने आप कैसे बजने लगा
और पृथ्वी ने कहा तुम्हारे तो पाँव हैं
और हवा ने कहा तुम्हारे तो हाथ हैं
और सिर तो मेरा ख़ुशी से झूम ही रहा था
मैं परेशान हूँ
कि बाजे का जीवन पाकर
यह जो कुछ मैं कर रहा हूँ
वह ठीक-ठीक है भी या नहीं
कल मैं बोलने लगूँ
तो सब मुझे प्रेत समझकर
भागने तो नहीं लगेंगे?
मुझे गोली मार देना
मगर भागना नहीं मुझसे मेरे लोगों।
mujhe baja banaya gaya
aur main bajne se pahle hi ro diya
kya karun ki mujhe banane walon ke dil rote hain
mujhe baja banaya gaya
aur main bajne se pahle hi hans diya
hansne se kaam nahin chalega
aur hansna baje ka kaam bhi nahin
lekin ye hansi unki hai
jinka main hoon
main hairan hoon
ki baja hote hue bhi
main kaise hans diya
mujhe hansna nahin chahiye tha
darasal, ye hansi meri thi bhi nahin
main to sirf isliye hansa
ki ye hansi meri kyon nahin
main hairan hua
ki baja hote hue bhi
main apne aap kaise bajne laga
aur prithwi ne kaha tumhare to panw hain
aur hawa ne kaha tumhare to hath hain
aur sir to mera khushi se jhoom hi raha tha
main pareshan hoon
ki baje ka jiwan pakar
ye jo kuch main kar raha hoon
wo theek theek hai bhi ya nahin
kal main bolne lagun
to sab mujhe pret samajhkar
bhagne to nahin lagenge?
mujhe goli mar dena
magar bhagna nahin mujhse mere logon
mujhe baja banaya gaya
aur main bajne se pahle hi ro diya
kya karun ki mujhe banane walon ke dil rote hain
mujhe baja banaya gaya
aur main bajne se pahle hi hans diya
hansne se kaam nahin chalega
aur hansna baje ka kaam bhi nahin
lekin ye hansi unki hai
jinka main hoon
main hairan hoon
ki baja hote hue bhi
main kaise hans diya
mujhe hansna nahin chahiye tha
darasal, ye hansi meri thi bhi nahin
main to sirf isliye hansa
ki ye hansi meri kyon nahin
main hairan hua
ki baja hote hue bhi
main apne aap kaise bajne laga
aur prithwi ne kaha tumhare to panw hain
aur hawa ne kaha tumhare to hath hain
aur sir to mera khushi se jhoom hi raha tha
main pareshan hoon
ki baje ka jiwan pakar
ye jo kuch main kar raha hoon
wo theek theek hai bhi ya nahin
kal main bolne lagun
to sab mujhe pret samajhkar
bhagne to nahin lagenge?
mujhe goli mar dena
magar bhagna nahin mujhse mere logon
स्रोत :
रचनाकार : विष्णु नागर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.