दुख को दूर से ही पहचान लेती हैं बहनें
बिना कहे दुख बतियाती है और बहा ले जाती है
तुम्हारे पास अगर बहन है तो तुम भाग्यशाली हो
इस रिश्ते का मान रखना
मानना कि मनुष्य के जीवन का सबसे सुंदर रिश्ता है
एक-दूसरे से गुथी-मुथी
एक नाल से जुड़ी बहनें
तुम्हारे बग़ैर नहीं है जीवन
गहन-से-गहन समय में भी साथ होती हैं
आँखों में जब
काँपता हैं दुख
अवाक एकटक देखती हैं
अपने भरे हृदय के साथ
दुख
अनंत गहराई में छलाँग लगा देता है
अपना सर्वस्व खोता हुआ
बहनें थाम लेती हैं
जैसे थामती है धरती जड़ों को
dukh ko door se hi pahchan leti hain bahnen
bina kahe dukh batiyati hai aur baha le jati hai
tumhare paas agar bahan hai to tum bhagyashali ho
is rishte ka maan rakhna
manna ki manushya ke jivan ka sabse sundar rishta hai
ek dusre se guthi muthi
ek naal se juDi bahnen
tumhare baghair nahin hai jivan
gahan se gahan samay mein bhi saath hoti hain
ankhon mein jab
kanpta hain dukh
avak ektak dekhti hain
apne bhare hriday ke saath
dukh
anant gahrai mein chhalang laga deta hai
apna sarvasv khota hua
bahnen thaam leti hain
jaise thamti hai dharti jaDon ko
dukh ko door se hi pahchan leti hain bahnen
bina kahe dukh batiyati hai aur baha le jati hai
tumhare paas agar bahan hai to tum bhagyashali ho
is rishte ka maan rakhna
manna ki manushya ke jivan ka sabse sundar rishta hai
ek dusre se guthi muthi
ek naal se juDi bahnen
tumhare baghair nahin hai jivan
gahan se gahan samay mein bhi saath hoti hain
ankhon mein jab
kanpta hain dukh
avak ektak dekhti hain
apne bhare hriday ke saath
dukh
anant gahrai mein chhalang laga deta hai
apna sarvasv khota hua
bahnen thaam leti hain
jaise thamti hai dharti jaDon ko
स्रोत :
रचनाकार : निवेदिता झा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.