हम अपनी बच्ची के जन्म पर
चाहें जितना ख़ुश हो लें
और चाहें जितना इतरा लें उसके बचपन की
उन मासूम हरकतों पर
परंतु सच यह है कि बेटियाँ ज्यों-ज्यों बड़ी होती हैं
चिंता की लकीरें बढ़ने लगती हैं
पिता के चेहरे पर
बढ़ने लगती है हवा में ख़ुश्की
और घटने लगता है सरसों के लहलहाते खेत में
सरसों के फूलों का ठस्स पीलापन
मेरे पिता कहते थे कि
बेटियाँ ही हैं
जिन्होंने इस सृष्टि को बना रखा है इतना हरा-भरा
बेटियाँ ही हैं
जो यह पृथ्वी घूम रही है अपने अक्ष पर
बेटियाँ ही हैं
जो यह सूर्य निकल रहा है पूरब दिशा में
बेटियाँ ही हैं जो
चिड़िया अब भी बैठती है और चहकती है हमारी मुँडेर पर
परंतु बेटियाँ बड़ी हो रही होती हैं तो पिता
संदेही होने लगते हैं
पिता की निगाह सतर्क होने लगती है
वे करने लगते हैं शक अपने घर में आने वाली
हवा, पानी, ख़ुशबू और यहाँ तक कि
धूल के कणों तक पर
वे बन बैठते हैं अपने ही घर के एक सख़्त पहरेदार
घर पर जो आते हैं अतिथि
वर्षों के संबंध के बावजूद पिता करने लगते हैं
उन पर संदेह
रखने लगते हैं उन पर एक चोर निगाह
बड़ी हो रही बेटी हँसती है, ठठाती है
और घूमती है बेफ़िक्र
तब पिता अपनी नज़रों को बना लेते हैं एक कवच
और बिन बताए ही वे करने लगते हैं अपनी बेटी की
एक अघोषित-सी सुरक्षा
पिता घंटों बैठते हैं अपने अतिथियों के साथ
लेकिन जब बड़ी हो रही बेटी आती है
अपने हाथ में लिए हुए चाय की ट्रे
तब पिता अपने हाथ से ट्रे रखती हुई बेटी को कम
उस अतिथि की निगाह को ताड़ने की करते हैं कोशिश ज़्यादा
बड़ी हो रही बेटी के पिता को हर वक़्त लगता है
कि बेटी असुरक्षित है
बेटी बाहर खेलती है तब असुरक्षा है
बेटी स्कूल जाती है तब असुरक्षा है
बेटी साँस ले रही है तब असुरक्षा है
बेटी पूर्णमासी की चाँद की तरह खिल रही है
तब भी है यह असुरक्षा
बड़ी हो रही बेटियाँ जाती हैं घर के बाहर
तब पिता की निगाहें टिकी होती हैं
घर के दरवाज़े पर
बड़ी हो रही बेटी ज्यों-ज्यों बड़ी होती जाती है
पिता की आँखों में वह
गुलाब के रस की तरह गड़ने लगती है
बड़ी हो रही बेटी ज्यों-ज्यों बड़ी होती जाती है
पिता की नींद पतली होने लगती है
कम होने लगती है उनकी नींद की गहराई
कम होने लगता है उसमें सपनों का आना
बडी हो रही बेटियाँ पिता की धड़कन होती हैं
इसे पिता भी जानते हैं
और बेटियाँ भी
परंतु बेटियाँ इस सच को थोड़ा देर से समझ पाती हैं
कि बाहर फ़िज़ाएँ हैं कितनी ज़हरीली
जबकि पिता जान चुके होते हैं पहले ही कि
बाहर की हवा में है कितना रूखापन
वे जान चुके होते हैं पहले ही कि
बाहर के मौसम में है कितनी ख़ुश्की
और कितनी है उमस
क्योंकि पिता जब होते हैं पिता की भूमिका से बाहर
तब वे भी होते हैं सिर्फ़ पुरुष।
hum apni bachchi ke janm par
chahen jitna khush ho len
aur chahen jitna itra len uske bachpan ki
un masum harakton par
parantu sach ye hai ki betiyan jyon jyon baDi hoti hain
chinta ki lakiren baDhne lagti hain
pita ke chehre par
baDhne lagti hai hawa mein khushki
aur ghatne lagta hai sarson ke lahlahate khet mein
sarson ke phulon ka thass pilapan
mere pita kahte the ki
betiyan hi hain
jinhonne is sirishti ko bana rakha hai itna hara bhara
betiyan hi hain
jo ye prithwi ghoom rahi hai apne aksh par
betiyan hi hain
jo ye surya nikal raha hai purab disha mein
betiyan hi hain jo
chiDiya ab bhi baithti hai aur chahakti hai hamari munDer par
parantu betiyan baDi ho rahi hoti hain to pita
sandehi hone lagte hain
pita ki nigah satark hone lagti hai
we karne lagte hain shak apne ghar mein aane wali
hawa, pani, khushbu aur yahan tak ki
dhool ke kanon tak par
we ban baithte hain apne hi ghar ke ek sakht pahredar
ghar par jo aate hain atithi
warshon ke sambandh ke bawjud pita karne lagte hain
un par sandeh
rakhne lagte hain un par ek chor nigah
baDi ho rahi beti hansti hai, thathati hai
aur ghumti hai befir
tab pita apni nazron ko bana lete hain ek kawach
aur bin bataye hi we karne lagte hain apni beti ki
ek aghoshait si suraksha
pita ghanton baithte hain apne atithiyon ke sath
lekin jab baDi ho rahi beti aati hai
apne hath mein liye hue chay ki tray
tab pita apne hath se tray rakhti hui beti ko kam
us atithi ki nigah ko taDne ki karte hain koshish zyada
baDi ho rahi beti ke pita ko har waqt lagta hai
ki beti asurakshait hai
beti bahar khelti hai tab asuraksha hai
beti school jati hai tab asuraksha hai
beti sans le rahi hai tab asuraksha hai
beti purnamasi ki chand ki tarah khil rahi hai
tab bhi hai ye asuraksha
baDi ho rahi betiyan jati hain ghar ke bahar
tab pita ki nigahen tiki hoti hain
ghar ke darwaze par
baDi ho rahi beti jyon jyon baDi hoti jati hai
pita ki ankhon mein wo
gulab ke ras ki tarah gaDne lagti hai
baDi ho rahi beti jyon jyon baDi hoti jati hai
pita ki neend patli hone lagti hai
kam hone lagti hai unki neend ki gahrai
kam hone lagta hai usmen sapnon ka aana
baDi ho rahi betiyan pita ki dhaDkan hoti hain
ise pita bhi jante hain
aur betiyan bhi
parantu betiyan is sach ko thoDa der se samajh pati hain
ki bahar fizayen hain kitni zahrili
jabki pita jaan chuke hote hain pahle hi ki
bahar ki hawa mein hai kitna rukhapan
we jaan chuke hote hain pahle hi ki
bahar ke mausam mein hai kitni khushki
aur kitni hai umas
kyonki pita jab hote hain pita ki bhumika se bahar
tab we bhi hote hain sirf purush

स्रोत :
रचनाकार : उमाशंकर चौधरी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.