चुप्पी सबसे बड़ा ख़तरा है
ज़िंदा आदमी के लिए
तुम नहीं जानते
वह कब तुम्हारे ख़िलाफ़ खड़ी हो जाएगी
और सर्वाधिक सुनाई देगी
तुम देखते हो एक ग़लत बात
और ख़ामोश रहते हो
वे यही चाहते हैं
और इसीलिए चुप्पी की तारीफ़ करते हैं
वे चुप्पी की तारीफ़ करते हैं
साथ ही यह सच है कि
वे आवाज़ से बेतरह डरते हैं
इसीलिए बोलो
बोलो अपने हृदय की आवाज़ से
अपने रक्त में गूँजते नगाड़ों की गरज से
आकाश की असमर्थ ख़ामोशी को चीरते हुए
बोलो
दिमाग़ में बारूद, बारूद में धमाका
धमाके में राग और राग में रंग भरते हुए
अपने सुर्ख़ ख़ून का
भले ही कानों पर पहरे हों
ज़बानों पर ताले हों
भाषाएँ बदल दी गई हों रातों-रात
आवाज़ अगर सचमुच आवाज़ है
तो दब नहीं सकती
वह सतत आज़ाद है।
chuppi sabse baDa khatra hai
zinda adami ke liye
tum nahin jante
wo kab tumhare khilaf khaDi ho jayegi
aur sarwadhik sunai degi
tum dekhte ho ek ghalat baat
aur khamosh rahte ho
we yahi chahte hain
aur isiliye chuppi ki tarif karte hain
we chuppi ki tarif karte hain
sath hi ye sach hai ki
we awaz se betarah Darte hain
isiliye bolo
bolo apne hirdai ki awaz se
apne rakt mein gunjte nagaDon ki garaj se
akash ki asmarth khamoshi ko chirte hue
bolo
dimagh mein barud, barud mein dhamaka
dhamake mein rag aur rag mein rang bharte hue
apne surkh khoon ka
bhale hi kanon par pahre hon
zabanon par tale hon
bhashayen badal di gai hon raton raat
awaz agar sachmuch awaz hai
to dab nahin sakti
wo satat azad hai
chuppi sabse baDa khatra hai
zinda adami ke liye
tum nahin jante
wo kab tumhare khilaf khaDi ho jayegi
aur sarwadhik sunai degi
tum dekhte ho ek ghalat baat
aur khamosh rahte ho
we yahi chahte hain
aur isiliye chuppi ki tarif karte hain
we chuppi ki tarif karte hain
sath hi ye sach hai ki
we awaz se betarah Darte hain
isiliye bolo
bolo apne hirdai ki awaz se
apne rakt mein gunjte nagaDon ki garaj se
akash ki asmarth khamoshi ko chirte hue
bolo
dimagh mein barud, barud mein dhamaka
dhamake mein rag aur rag mein rang bharte hue
apne surkh khoon ka
bhale hi kanon par pahre hon
zabanon par tale hon
bhashayen badal di gai hon raton raat
awaz agar sachmuch awaz hai
to dab nahin sakti
wo satat azad hai
स्रोत :
पुस्तक : कुल जमा-2 (पृष्ठ 16)
रचनाकार : नीलाभ
प्रकाशन : शब्द प्रकाशन
संस्करण : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.