कोई भी बता देगा
पठानों की गली का रास्ता
अँधेरी कोठरियों की एक लंबी क़तार
जिधर से गुज़रते हुए डर दबोच लेता है
दहशत में भूल जाता है आदमी
आज़ादी का साल
यह इस क़स्बे की सबसे भयानक जगह है
जिसके नीचे दबी हैं पुरखों की हड्डियाँ
लकड़ी के दरवाज़े लोहे की साँकलें एक जीवित भाषा
हमारा सबसे अनमोल ख़ज़ाना दबा है
इन खँडहरों के नीचे
इन कोठरियों में रात बिताते हैं भिखारी
बच्चे गिल्ली डंडा खेलते हैं
जुआरी चढ़ जाते हैं छतों पर
क़स्बे की लड़कियाँ यहीं पर जानती हैं
पहले चुंबन का स्वाद
यहीं से शुरू होती है इस क़स्बे की कहानी
यहीं पर होगी ख़त्म
इसी कहानी के बीच में कहीं ज़िक्र होगा
यहाँ के बाशिंदों का
जो हमारे जन्म से बहुत पहले
घर छोड़कर चले गए थे
अब भी सुनाई पड़ती है अक्सर
दूसरे मुल्क से आती उनकी आवाज़।
koi bhi bata dega
pathanon ki gali ka rasta
andheri kothariyon ki ek lambi qatar
jidhar se guzarte hue Dar daboch leta hai
dahshat mein bhool jata hai adami
azadi ka sal
ye is qasbe ki sabse bhayanak jagah hai
jiske niche dabi hain purkhon ki haDDiyan
lakDi ke darwaze lohe ki sankalen ek jiwit bhasha
hamara sabse anmol khazana daba hai
in khanDaharon ke niche
in kothariyon mein raat bitate hain bhikhari
bachche gilli DanDa khelte hain
juari chaDh jate hain chhaton par
qasbe ki laDkiyan yahin par janti hain
pahle chumban ka swad
yahin se shuru hoti hai is qasbe ki kahani
yahin par hogi khatm
isi kahani ke beech mein kahin zikr hoga
yahan ke bashindon ka
jo hamare janm se bahut pahle
ghar chhoDkar chale gaye the
ab bhi sunai paDti hai aksar
dusre mulk se aati unki awaz
koi bhi bata dega
pathanon ki gali ka rasta
andheri kothariyon ki ek lambi qatar
jidhar se guzarte hue Dar daboch leta hai
dahshat mein bhool jata hai adami
azadi ka sal
ye is qasbe ki sabse bhayanak jagah hai
jiske niche dabi hain purkhon ki haDDiyan
lakDi ke darwaze lohe ki sankalen ek jiwit bhasha
hamara sabse anmol khazana daba hai
in khanDaharon ke niche
in kothariyon mein raat bitate hain bhikhari
bachche gilli DanDa khelte hain
juari chaDh jate hain chhaton par
qasbe ki laDkiyan yahin par janti hain
pahle chumban ka swad
yahin se shuru hoti hai is qasbe ki kahani
yahin par hogi khatm
isi kahani ke beech mein kahin zikr hoga
yahan ke bashindon ka
jo hamare janm se bahut pahle
ghar chhoDkar chale gaye the
ab bhi sunai paDti hai aksar
dusre mulk se aati unki awaz
स्रोत :
पुस्तक : बढ़ई का बेटा (पृष्ठ 12)
रचनाकार : कृष्ण कल्पित
प्रकाशन : रचना प्रकाशन
संस्करण : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.