इस चमड़ी के आवरण के भीतर
न जाने कितने गाँव बसे हैं
और न जाने कितनी बेनाम
गलियाँ अपना नाम तलाश रही हैं।
मैंने तो पूरा गाँव तुम्हारे नाम कर दिया है
अब तुम उन गलियों को भी नाम दे दो
जो तुम्हारे लिए प्यासी हैं।
सारी गलियों को
अलग-अलग भाषा में पहचान दो
कि अगर कोई दूसरे गाँव का आए
तो न जान पाए हमारी पहचान।
न जाने कितने धान के खेतों को
सींचा है मेरे ख़ून ने
अब क्या उस भात का मोल है कोई
जिसे परोस देती हूँ मैं तुम्हें
पर तुम्हें भूख नहीं लगी कभी?
तुम्हारी महक गुलाब से मिलती है
पर तुम कभी बग़ीचे में नहीं मिलते
कब तक खोजूँ तुम्हें उन गलियों में
निकल आओ उस गाँव से बाहर
चीर के इस आवरण को
बन जाओ मेरे शब्द।
is chamDi ke avran ke bhitar
na jane kitne gaanv base hain
aur na jane kitni benam
galiyan apna naam talash rahi hain.
mainne to pura gaanv tumhare naam kar diya hai
ab tum un galiyon ko bhi naam de do
jo tumhare liye pyasi hain.
sari galiyon ko
alag alag bhasha mein pahchan do
ki agar koi dusre gaanv ka aaye
to na jaan pae hamari pahchan.
na jane kitne dhaan ke kheton ko
sincha hai mere khoon ne
ab kya us bhaat ka mol hai koi
jise paros deti hoon main tumhen
par tumhein bhookh nahin lagi kabhi?
tumhari mahak gulab se milti hai
par tum kabhi baghiche mein nahin milte
kab tak khojun tumhein un galiyon men
nikal aao us gaanv se bahar
cheer ke is avran ko
ban jao mere shabd.
is chamDi ke avran ke bhitar
na jane kitne gaanv base hain
aur na jane kitni benam
galiyan apna naam talash rahi hain.
mainne to pura gaanv tumhare naam kar diya hai
ab tum un galiyon ko bhi naam de do
jo tumhare liye pyasi hain.
sari galiyon ko
alag alag bhasha mein pahchan do
ki agar koi dusre gaanv ka aaye
to na jaan pae hamari pahchan.
na jane kitne dhaan ke kheton ko
sincha hai mere khoon ne
ab kya us bhaat ka mol hai koi
jise paros deti hoon main tumhen
par tumhein bhookh nahin lagi kabhi?
tumhari mahak gulab se milti hai
par tum kabhi baghiche mein nahin milte
kab tak khojun tumhein un galiyon men
nikal aao us gaanv se bahar
cheer ke is avran ko
ban jao mere shabd.
स्रोत :
रचनाकार : पूर्वांशी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.