81
योग-क्षेम निबाह कर, चला रहा घर-बार।
आदर करके अतिथि का, करने को उपकार॥
82
बाहर ठहरा अतिथि को, अन्दर बैठे आप।
देवामृत का क्यों न हो, भोजन करना पाप॥
83
दिन दिन आये अतिथि का, करता जो सत्कार।
वह जीवन दारिद्रय का, बनता नहीं शिकार॥
84
मुख प्रसन्न हो जो करे, योग्य अतिथि-सत्कार।
उसके घर में इन्दिरा, करती सदा बहार॥
85
खिला पिला कर अतिथि को, अन्नशेष जो खाय।
ऐसों के भी खेत को, काहे बोया जाया॥
86
प्राप्त अतिथि को पूज कर, और अतिथि को देख।
जो रहता, वह स्वर्ग का, अतिथि बनेगा नेक॥
87
अतिथि-यज्ञ के सुफल की, महिमा का नहिं मान।
जितना अतिथि महान है, उतना ही वह मान॥
88
'कठिन यत्न से जो जुड़ा, सब धन हुआ समाप्त'।
यों रोवें, जिनको नहीं, अतिथि-यज्ञ-फल प्राप्त॥
89
निर्धनता संपत्ति में, अतिथि-उपेक्षा जान।
मूर्ख जनों में मूर्ख यह, पायी जाती बान॥
90
सूंघा ‘अनिच्च’ पुष्प को, तो वह मुरझा जाय।
मुँह फुला कर ताकते, सूख अतिथि-मुख जाय॥
81
yog kshaem nibah kar, chala raha ghar baar.
aadar karke atithi ka, karne ko upkaar॥
82
bahar thahra atithi ko, andar baithe aap.
devamrit ka kyon na ho, bhojan karna paap॥
83
din din aaye atithi ka, karta jo satkar.
wo jivan daridray ka, banta nahin shikar॥
84
mukh prasann ho jo kare, yogya atithi satkar.
uske ghar mein indira, karti sada bahar॥
85
khila pila kar atithi ko, annshesh jo khaay.
aison ke bhi khet ko, kahe boya jaya॥
86
praapt atithi ko pooj kar, aur atithi ko dekh.
jo rahta, wo svarg ka, atithi banega nek॥
87
atithi yagya ke suphal ki, mahima ka nahin maan.
jitna atithi mahan hai, utna hi wo maan॥
88
kathin yatn se jo juDa, sab dhan hua samapt.
yon roven, jinko nahin, atithi yagya phal praapt॥
89
nirdhanta sampatti mein, atithi upeksha jaan.
moorkh janon mein moorkh ye, payi jati baan॥
90
sungha ‘anichch’ pushp ko, to wo murjha jaay.
munh phula kar takte, sookh atithi mukh jaay॥

स्रोत :
पुस्तक : तिरुक्कुरल : भाग 1 - धर्म-कांड
रचनाकार : तिरुवल्लुवर
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.