अभी जैसे कल की बात हो
जब मुझे उसने चूमा था इस पार्क में
उसके चुंबन का सुख
भीतर ही भीतर छिपाते हुए
मैंने उससे कहा था
और मत करना साहस
अभी जैसे कल की बात हो
जब मौसम था बसंत का
और पेड़ फूलों से भरे हुए थे
इन्हीं फूलों की महक में
हम बातें करते रहे
भूलते हुए समय को
और लौटते हुए घर
जब उसने मुझे भर लिया बाहों में
मैंने उसे चेताया
कहा
यहाँ हवा जासूस हे
कुछ भी छिपा नहीं रहता
अभी जैसे कल की बात हो
जब उसने
पुल और नदी को गवाह बनाकर
मुझे अपने प्यार का विश्वास दिलाया था
उस समय बहुत डर गई थी मैं
कहीं कोई दुश्मन चेहरा
हमें देख तो नहीं रहा था
पर अब जैसे थम गया हो समय
मारा गया मेरा प्यार
बीच सड़क पर
अपनी असीम संभावनाओं के साथ
क्या इसलिए वह मारा तो नहीं गया
कि वह प्यार के सिवा
कुछ जानता ही न था
ऐ मेरे वतन की हवाओ!
सचमुच यहाँ ख़तरनाक है
प्यार करना
फिर भी कहना
मेरे हमउम्रों से
जोख़िम उठाकर भी प्यार करना
जैसे हमने किया
समय के ख़िलाफ़
समय को भूलते हुए।
abhi jaise kal ki baat ho
jab mujhe usne chuma tha is park men
uske chumban ka sukh
bhitar hi bhitar chhipate hue
mainne usse kaha tha
aur mat karna sahas
abhi jaise kal ki baat ho
jab mausam tha basant ka
aur peD phulon se bhare hue the
inhin phulon ki mahak men
hum baten karte rahe
bhulte hue samay ko
aur lautte hue ghar
jab usne mujhe bhar liya bahon men
mainne use chetaya
kaha
yahan hava jasus he
kuch bhi chhipa nahin rahta
abhi jaise kal ki baat ho
jab usne
pul aur nadi ko gavah banakar
mujhe apne pyaar ka vishvas dilaya tha
us samay bahut Dar gai thi main
kahin koi dushman chehra
hamein dekh to nahin raha tha
par ab jaise tham gaya ho samay
mara gaya mera pyaar
beech saDak par
apni asim sambhavnaon ke saath
kya isliye wo mara to nahin gaya
ki wo pyaar ke siva
kuch janta hi na tha
ai mere vatan ki havao!
sachmuch yahan khatarnak hai
pyaar karna
phir bhi kahna
mere hamumron se
jokhim uthakar bhi pyaar karna
jaise hamne kiya
samay ke khilaf
samay ko bhulte hue.
abhi jaise kal ki baat ho
jab mujhe usne chuma tha is park men
uske chumban ka sukh
bhitar hi bhitar chhipate hue
mainne usse kaha tha
aur mat karna sahas
abhi jaise kal ki baat ho
jab mausam tha basant ka
aur peD phulon se bhare hue the
inhin phulon ki mahak men
hum baten karte rahe
bhulte hue samay ko
aur lautte hue ghar
jab usne mujhe bhar liya bahon men
mainne use chetaya
kaha
yahan hava jasus he
kuch bhi chhipa nahin rahta
abhi jaise kal ki baat ho
jab usne
pul aur nadi ko gavah banakar
mujhe apne pyaar ka vishvas dilaya tha
us samay bahut Dar gai thi main
kahin koi dushman chehra
hamein dekh to nahin raha tha
par ab jaise tham gaya ho samay
mara gaya mera pyaar
beech saDak par
apni asim sambhavnaon ke saath
kya isliye wo mara to nahin gaya
ki wo pyaar ke siva
kuch janta hi na tha
ai mere vatan ki havao!
sachmuch yahan khatarnak hai
pyaar karna
phir bhi kahna
mere hamumron se
jokhim uthakar bhi pyaar karna
jaise hamne kiya
samay ke khilaf
samay ko bhulte hue.
स्रोत :
रचनाकार : महाराज कृष्ण संतोषी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.