प्रभु मंदिर की नीरवता में
कर विलीन अपने मन प्राण,
धर्मधुरीण हिंदुओं को है,
धरते देखा मैंने ध्यान।
देखा है करते मस्जिद में
मुल्ला को भी दीर्घ पुकार,
पड़ी कान में गिरजाघर की
मधुर प्रार्थना की स्वर धार।
पर वर्षा ऋतु की ऊष्मा में,
होकर श्रम से क्लांत महान,
हल जोतते किसान छेड़ता
है जब अपनी लंबी तान।
सुन तब उसे वाटिका से निज
करता मैं उर बीच विचार,
खेतों में यों आर्त स्वर से
यह किसको है रहा पुकार।
या कि शिशिर की शीत-निशा में
मींज रहा हो जब वह धान,
सुनता तब शैया पर से मैं
उसका करुणा-पूरित गान।
मर जाता है जी, नेत्रों से—
निद्रा करती दीर्घ प्रयाण,
हृदय सोचता—जलते किसके
विरहानल से इसके प्राण।
prabhu mandir ki nirawta mein
kar wilin apne man paran,
dharmadhurin hinduon ko hai,
dharte dekha mainne dhyan
dekha hai karte masjid mein
mulla ko bhi deergh pukar,
paDi kan mein girjaghar ki
madhur pararthna ki swar dhaar
par warsha ritu ki ushma mein,
hokar shram se klant mahan,
hal jotte kisan chheDta
hai jab apni lambi tan
sun tab use watika se nij
karta main ur beech wichar,
kheton mein yon aart swar se
ye kisko hai raha pukar
ya ki shishir ki sheet nisha mein
meenj raha ho jab wo dhan,
sunta tab shaiya par se main
uska karuna purit gan
mar jata hai ji, netron se—
nidra karti deergh prayan,
hirdai sochta—jalte kiske
wirhanal se iske paran
prabhu mandir ki nirawta mein
kar wilin apne man paran,
dharmadhurin hinduon ko hai,
dharte dekha mainne dhyan
dekha hai karte masjid mein
mulla ko bhi deergh pukar,
paDi kan mein girjaghar ki
madhur pararthna ki swar dhaar
par warsha ritu ki ushma mein,
hokar shram se klant mahan,
hal jotte kisan chheDta
hai jab apni lambi tan
sun tab use watika se nij
karta main ur beech wichar,
kheton mein yon aart swar se
ye kisko hai raha pukar
ya ki shishir ki sheet nisha mein
meenj raha ho jab wo dhan,
sunta tab shaiya par se main
uska karuna purit gan
mar jata hai ji, netron se—
nidra karti deergh prayan,
hirdai sochta—jalte kiske
wirhanal se iske paran
स्रोत :
पुस्तक : कवि भारती (पृष्ठ 275)
रचनाकार : मुकुटघर पांडे
प्रकाशन : साहित्य प्रेस
संस्करण : 1953
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.