ज़िंदगी के इस पड़ाव पर
जवानी अतीत का पहाड़ लगती है
अपने बुढ़ापे को किसी खुली किताब की तरह
पढ़ने का मन करता है
छोटी-छोटी चीज़ों को भूलना आम बात हो गई है
नज़र हो गई है इस हद तक कमज़ोर
कि अपना नाम तक नहीं पढ़ पाता
घंटों बैठे चिड़ियों को देखता रहता हूँ
अब चींटियों को अपने बहुत क़रीब पाता हूँ
अपनी हथेलियों को देखते हुए
किसी आदि मानव की याद आती है
पैर भी लगते हैं इतने पुराने
जैसे ये कभी भी काम करना बंद कर सकते हैं
अपना ही शरीर किसी पुराने बक्से की तरह लगता है
जिसमें अथाह टूटी-फूटी स्मृतियाँ रखी हैं
चार साल से बेटे का फ़ोन तक नहीं आया
बेटी कभी-कभार आ जाती है
पत्नी अगर सपने में कभी दिख जाए तो
अचानक से अपनी उम्र भूल जाता हूँ
अख़बारों को छूने का मन नहीं करता
डायरी लिखने की आदत छूट गई है
पुराने पत्रों को छूते हुए डर लगता है
किताबों को पढ़ना अब भी अच्छा लगता है
लेकिन अब वे ईंधन का काम नहीं करतीं
मुझे कैंसर नहीं है
गठिया भी नहीं
पर मैं मर रहा हूँ
रोज़
हर रोज़।
zindagi ke is paDav par javani atit ka pahaD lagti hai
apne buDhape ko kisi khuli kitab ki tarah paDhne ka man karta hai
chhoti chhoti chizon ko bhulna aam baat ho gai hai
nazar ho gai hai is had tak kamzor ki apna naam tak nahin paDh pata
ghanton baithe chiDiyon ko dekhta rahta hoon
ab chintiyon ko apne bahut qarib pata hoon
apne hatheliyon ko dekhte hue kisi aadi manav ki yaad aati hai
pair bhi lagte hain itne purane
jaise ye kabhi bhi kaam karna band kar sakte hain
apna hi sharir kisi purane bakse ki tarah lagta hai
jismen athah tuti phuti smritiyan rakhi hain
chaar saal se bete ka phone tak nahin aaya
beti kabhi kabhar aa jati hai
patni agar sapne mein kabhi dikh jaye to
achanak se apni umr bhool jata hoon
akhbaron ko chhune ka man nahin karta
Diary likhne ki aadat chhoot gai hai
purane patron ko chhute hue Dar lagta hai
kitabon ko paDhna ab bhi achchha lagta hai
lekin ab wo indhan ka kaam nahin karte
mujhe kensar nahin hai
gathiya bhi nahin
par main mar raha hoon
roz
har roz.

स्रोत :
रचनाकार : राकेश कुमार मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.