कहाँ है आँसू की जन्मकुंडली
किन-किन ग्रंथियों के सहयोग से है उसकी उत्पत्ति
अस्थिर, अनिर्दिष्ट कोई कारण
खींच लाता है उसे—
कभी मोती तो कभी बारिश की बूँद
कभी ढुल-ढुल ओस
कभी डोलता फन साँप का
कभी शांत तो कभी चीत्कार
कभी काँच तो कभी इस्पात
वह गढ़ सकती है, मिटा सकती है।
यंत्रणा, पुलक, क्रोध
कौन जन्म देता है उसे
रक्त-नाड़े के साथ,
वसुधा की अति गहरी नाभि से
वह निकल आयी उड़िल गयी—
बूँद भर आँसू, बूँद भर समुद्र
चखा जाता है एक साथ
समुद्र भी ढका जा सकता है
पलकों के नीचे।
आँसू
सच है यंत्रणा और पुलक का
फिर भी बड़ा अवांतर है वह
क्योंकि चरम घड़ी में नहीं मिलता
उसका अता-पता
उस दिन भिनसारे में
प्रपात-सा आ गिरा आँसू
प्रियतम को कभी न पा सकने की
लाचारी में,
न जाने कहाँ छुप गये आँसू
जिस दिन आख़िरी सहारा घर का छप्पर
बहकर डूब गया नदी की तेज़ बाढ़ में।
आलिंगन के नागपाश में उस दिन
शिराएँ और तुम स्नायु तड़कते समय
आँसू नहीं दिखा कहीं
छुपा रहा लाज से।
kahan hai ansu ki janmkunDli
kin kin granthiyon ke sahyog se hai uski utpatti
asthir, anirdisht koi karan
kheench lata hai use—
kabhi moti to kabhi barish ki boond
kabhi Dhul Dhul os
kabhi Dolta phan sanp ka
kabhi shant ko kabhi chitkar
kabhi kanch to kabhi ispat
wo gaDh sakti hai, mita sakti hai
yantrna, pulak, krodh
kaun janm deta hai use
rakt naDe ke sath,
wasudha ki ati gahri nabhi se
wo nikal aayi uDil gayi—
boond bhar ansu, boond bhar samudr
chakha jata hai ek sath
samudr bhi Dhaka ja sakta hai
palkon ke niche
phir bhi baDa awantar hai wo
kyonki charam ghaDi mein nahin milta
uska ata pata
us din bhinsare mein
prapat sa aa gira ansu
priytam ko kabhi na pa sakne ki
lachari mein,
na jane kahan chhup gaye ansu
jis din akhiri sahara ghar ka chhappar
bahkar Doob gaya nadi ki tez baDh mein
alingan ke nagapash mein us din
shirayen aur tum snayu taDapte samay
ansu nahin dikha kahin
chhupa raha laj se
kahan hai ansu ki janmkunDli
kin kin granthiyon ke sahyog se hai uski utpatti
asthir, anirdisht koi karan
kheench lata hai use—
kabhi moti to kabhi barish ki boond
kabhi Dhul Dhul os
kabhi Dolta phan sanp ka
kabhi shant ko kabhi chitkar
kabhi kanch to kabhi ispat
wo gaDh sakti hai, mita sakti hai
yantrna, pulak, krodh
kaun janm deta hai use
rakt naDe ke sath,
wasudha ki ati gahri nabhi se
wo nikal aayi uDil gayi—
boond bhar ansu, boond bhar samudr
chakha jata hai ek sath
samudr bhi Dhaka ja sakta hai
palkon ke niche
phir bhi baDa awantar hai wo
kyonki charam ghaDi mein nahin milta
uska ata pata
us din bhinsare mein
prapat sa aa gira ansu
priytam ko kabhi na pa sakne ki
lachari mein,
na jane kahan chhup gaye ansu
jis din akhiri sahara ghar ka chhappar
bahkar Doob gaya nadi ki tez baDh mein
alingan ke nagapash mein us din
shirayen aur tum snayu taDapte samay
ansu nahin dikha kahin
chhupa raha laj se
स्रोत :
पुस्तक : तुम्हारे लिए हर बार (पृष्ठ 19)
रचनाकार : प्रतिभा शतपथी
प्रकाशन : वाणी प्रकाशन
संस्करण : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.