कोई शब्द गिरा पानी के खेत में
जहाँ मछलियाँ तैर रही थी
मछलियों ने कहा—'बदतमीज़'
मछलियों के इस आचरण से हैरान
पानी ने नदियों से शिकायत की
नदियों ने भी कहा—'बदतमीज़'
सुदूरपश्चिम में तब से
कितना समय बीता पानी और नदियों को
अलग-अलग रहते
बालू के खेत में
बालू के खेत, बालू की नदियाँ
प्राचीन काल से कह रही हैं
इस बदतमीज़ी से उगे
रेगिस्तानों का इतिहास
सुना है कि अब मछलियाँ
जो ग़ायब हो गई थीं
वह उगी हैं बालू के खेत में
बालू का खेत
अब पानी का खेत है
और पानी का खेत
ढलती शताब्दी की कोख से फूटे हुए
अँखुए का शुभ संकेत।
koi shabd gira pani ke khet mein
jahan machhliyan tair rahi thi
machhliyon ne kaha—badtamiz
machhliyon ke is acharn se hairan
pani ne nadiyon se shikayat ki
nadiyon ne bhi kaha—badtamiz
sudurpashchim mein tab se
kitna samay bita pani aur nadiyon ko
alag alag rahte
balu ke khet mein
balu ke khet, balu ki nadiyan
prachin kaal se kah rahi hain
is badatmizi se uge
registanon ka itihas
suna hai ki ab machhliyan
jo ghayab ho gai thi
wo ugi hain balu ke khet mein
balu ka khet
ab pani ka khet hai
aur pani ka khet
Dhalti shatabdi ki kokh se phute hue
ankhue ka shubh sanket.
koi shabd gira pani ke khet mein
jahan machhliyan tair rahi thi
machhliyon ne kaha—badtamiz
machhliyon ke is acharn se hairan
pani ne nadiyon se shikayat ki
nadiyon ne bhi kaha—badtamiz
sudurpashchim mein tab se
kitna samay bita pani aur nadiyon ko
alag alag rahte
balu ke khet mein
balu ke khet, balu ki nadiyan
prachin kaal se kah rahi hain
is badatmizi se uge
registanon ka itihas
suna hai ki ab machhliyan
jo ghayab ho gai thi
wo ugi hain balu ke khet mein
balu ka khet
ab pani ka khet hai
aur pani ka khet
Dhalti shatabdi ki kokh se phute hue
ankhue ka shubh sanket.
स्रोत :
रचनाकार : अनिल त्रिपाठी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.