हमारी अम्मा में बहुत जीवट था
सप्ताह में चार दिन
उपवास करती
ख़ाली भगौने में थोड़ी-सी बची दाल के लिए
करछी घुमाती
कहती, “और लो न
मेरे लिए तो अभी बहुत है
सुबह एक समोसा खा लिया था
भूख ही नहीं है”
हमारी अम्मा में स्नेह बहुत था
भूख बिल्कुल नहीं थी
फिर भी उत्तरआधुनिकता की
सीढ़ियाँ चढ़ते
उसका दम फूल जाता
घर का ऐसा लंबित वक्राकार स्थापत्य
कि इतिहास सीढ़ियों से चढ़कर
न जाने किस कोने में छिप गया था
चार क़िस्मों की अलग-अलग सीढ़ियाँ
पता नहीं तब अम्मा
किस कमरे में होती
वह एक मंज़िल चढ़ती
और हाँफ जाती
चौरस सँकरे गलियारे में खड़ी हो जाती
फिर दूसरी सीढ़ियों से घिसटते हुए
उसे धीरे-धीरे बाहर निकलना होता
तलघर तक जो सीढ़ियाँ जाती थीं
वह वहाँ कभी नहीं गईं
वह जब बाहर आती
तो वापिस लौटने के लिए
खड़ी सीढ़ियों को कोसती
उसे अपने गाँव का घर याद आता
चौबारा, आँगन और उसके सामने
खुली बाखँल
भीतर कमरे से ही कोई आता हुआ
नज़र आता
इस घर की आधुनिक बनावट ने
हमारी अम्मा का जीवन ही बदल दिया था
उसकी रसोई से निकलने की
बहुत कम इच्छा होती
क्योंकि शयनकक्ष के लिए
फिर से उसे सीढ़ियाँ चढ़नी होती थीं
वास्तुकार जानते होंगे
कि हरेक के जीवन का भी
एक स्थापत्य होता है
जिसकी खिड़कियों, दरवाज़ों से
अतीत के वे दिन आते-जाते हैं
जिन्हें खुलकर पाँव पसारने की
ठौर चाहिए
जिन्हें उतरने-चढ़ने जैसे
निर्थक कार्यों से मुक्ति चाहिए
कौन समझाए आधुनिक स्थापितों को
कि इतिहास के अंत ने
हमारी अम्मा का असमय
अंत कर दिया
नहीं तो, शायद वह
कुछ बरस और जीती
जब उसकी मृत देह को
सीढ़ियों से उतारा गया
तो कंधा देने वाले
हाँफ रहे थे
hamari amma mein bahut jiwat tha
saptah mein chaar din
upwas karti
khali bhagaune mein thoDi si bachi dal ke liye
karchhi ghumati
kahti, “aur lo na
mere liye to abhi bahut hai
subah ek samosa kha liya tha
bhookh hi nahin hai”
hamari amma mein sneh bahut tha
bhookh bilkul nahin thi
phir bhi uttaradhunikta ki
siDhiyan chaDhte
uska dam phool jata
ghar ka aisa lambit wakrakar sthapaty
ki itihas siDhiyon se chaDhkar
na jane kis kone mein chhip gaya tha
chaar qismon ki alag alag siDhiyan
pata nahin tab amma
kis kamre mein hoti
wo ek manzil chaDhti
aur hanph jati
chauras sankare galiyare mein khaDi ho jati
phir dusri siDhiyon se ghisatte hue
use dhire dhire bahar nikalna hota
talghar tak jo siDhiyan jati theen
wo wahan kabhi nahin gain
wo jab bahar aati
to wapis lautne ke liye
khaDi siDhiyon ko kosti
use apne ganw ka ghar yaad aata
chaubara, angan aur uske samne
khuli bakhanl
bhitar kamre se hi koi aata hua
nazar aata
is ghar ki adhunik banawat ne
hamari amma ka jiwan hi badal diya tha
uski rasoi se nikalne ki
bahut kam ichha hoti
kyonki shayankaksh ke liye
phir se use siDhiyan chaDhni hoti theen
wastukar jante honge
ki harek ke jiwan ka bhi
ek sthapaty hota hai
jiski khiDakiyon, darwazon se
atit ke we din aate jate hain
jinhen khulkar panw pasarne ki
thaur chahiye
jinhen utarne chaDhne jaise
nirthak karyon se mukti chahiye
kaun samjhaye adhunik sthapiton ko
ki itihas ke ant ne
hamari amma ka asamay
ant kar diya
nahin to, shayad wo
kuch baras aur jiti
jab uski mrit deh ko
siDhiyon se utara gaya
to kandha dene wale
hanph rahe the
hamari amma mein bahut jiwat tha
saptah mein chaar din
upwas karti
khali bhagaune mein thoDi si bachi dal ke liye
karchhi ghumati
kahti, “aur lo na
mere liye to abhi bahut hai
subah ek samosa kha liya tha
bhookh hi nahin hai”
hamari amma mein sneh bahut tha
bhookh bilkul nahin thi
phir bhi uttaradhunikta ki
siDhiyan chaDhte
uska dam phool jata
ghar ka aisa lambit wakrakar sthapaty
ki itihas siDhiyon se chaDhkar
na jane kis kone mein chhip gaya tha
chaar qismon ki alag alag siDhiyan
pata nahin tab amma
kis kamre mein hoti
wo ek manzil chaDhti
aur hanph jati
chauras sankare galiyare mein khaDi ho jati
phir dusri siDhiyon se ghisatte hue
use dhire dhire bahar nikalna hota
talghar tak jo siDhiyan jati theen
wo wahan kabhi nahin gain
wo jab bahar aati
to wapis lautne ke liye
khaDi siDhiyon ko kosti
use apne ganw ka ghar yaad aata
chaubara, angan aur uske samne
khuli bakhanl
bhitar kamre se hi koi aata hua
nazar aata
is ghar ki adhunik banawat ne
hamari amma ka jiwan hi badal diya tha
uski rasoi se nikalne ki
bahut kam ichha hoti
kyonki shayankaksh ke liye
phir se use siDhiyan chaDhni hoti theen
wastukar jante honge
ki harek ke jiwan ka bhi
ek sthapaty hota hai
jiski khiDakiyon, darwazon se
atit ke we din aate jate hain
jinhen khulkar panw pasarne ki
thaur chahiye
jinhen utarne chaDhne jaise
nirthak karyon se mukti chahiye
kaun samjhaye adhunik sthapiton ko
ki itihas ke ant ne
hamari amma ka asamay
ant kar diya
nahin to, shayad wo
kuch baras aur jiti
jab uski mrit deh ko
siDhiyon se utara gaya
to kandha dene wale
hanph rahe the
स्रोत :
पुस्तक : फेरे (पृष्ठ 67)
रचनाकार : ऋतुराज
प्रकाशन : साहित्य भंडार
संस्करण : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.