रात गए एक जंगल में प्रविष्ट हुआ मैं
प्रविष्ट हुए के जंगल में दुनिया का जंगल था
जहाँ कोई डेरा या चिह्न नहीं था उसे स्वप्न मानकर
स्वप्न के डेरे या चिह्न में दुनिया खोजने लगा
पर यह इतना सरल नहीं था
इस सरल नहीं के दुख में कठिन से पाला पड़ा
सरल या कठिन दुनिया के भीतर थे
दुनिया के भीतर सरल या कठिन के अलावा भी बहुत कुछ था
यह सही है कि इस अलावा से कोई मतलब नहीं था मुझे
लेकिन सबसे अधिक इसी अलावा को समय दिया
तो जिस जंगल में प्रविष्ट हुआ था मैं रात गए
उस जंगल में अब मेरे अलावा सब कुछ बचा हुआ है।
raat gaye ek jangal mein prawisht hua main
prawisht hue ke jangal mein duniya ka jangal tha
jahan koi Dera ya chihn nahin tha use swapn mankar
swapn ke Dere ya chihn mein duniya khojne laga
par ye itna saral nahin tha
is saral nahin ke dukh mein kathin se pala paDa
saral ya kathin duniya ke bhitar the
duniya ke bhitar saral ya kathin ke alawa bhi bahut kuch tha
ye sahi hai ki is alawa se koi matlab nahin tha mujhe
lekin sabse adhik isi alawa ko samay diya
to jis jangal mein prawisht hua tha main raat gaye
us jangal mein ab mere alawa sab kuch bacha hua hai

स्रोत :
रचनाकार : मिथलेश शरण चौबे
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.