ये वो क़िस्सा है जिसमें घुस के रात सोती है
ये वो क़िस्सा है जिसमें दिन के छाँव मिलती है
ये वो क़िस्सा है जिसमें हमको तुमको मिलना था
ये वो क़िस्सा है जिसमें अब कोई किरदार नहीं
ये वो क़िस्सा है जिसे जानता बच्चा-बच्चा
न कोई फिर भी इसे कर सका बयाँ अब तक
कथा कहते ही कथा रूप बदल लेती है
भाव तक आते-आते भाव भटक जाते हैं
ये कथा कहना है, कहानी से रुई-सा धुनना
दो चरन चल के कथा ख़ुद में बिलम जाती है
साथ में साँस भी संसार की थम जाती है
ये कथा सुनना है, अनहद के मौन को सुनना
ये वो क़िस्सा है जिसका कोई ओर-छोर नहीं
न कोई रंज-ओ-मलाल
न कोई रंग-ओ-जमाल
ये वो रचना है जिसका कोई तुक-ओ-ताल नहीं
इसी क़िस्से का लगाकर तकिया
विरह की रात में हम रोते हैं
इसी कथा की सजाकर सुहाग-सेज सखी
मिलन की रात में हम खोते हैं...
ye wo qissa hai jismen ghus ke raat soti hai
ye wo qissa hai jismen din ke chhanw milti hai
ye wo qissa hai jismen hamko tumko milna tha
ye wo qissa hai jismen ab koi kirdar nahin
ye wo qissa hai jise janta bachcha bachcha
na koi phir bhi ise kar saka bayan ab tak
katha kahte hi katha roop badal leti hai
bhaw tak aate aate bhaw bhatak jate hain
ye katha kahna hai, kahani se rui sa dhunna
do charan chal ke katha khu mein bilam jati hai
sath mein sans bhi sansar ki tham jati hai
ye katha sunna hai, anhad ke maun ko sunna
ye wo qissa hai jiska koi or chhor nahin
na koi ranj o malal
na koi rang o jamal
ye wo rachna hai jiska koi tuk o tal nahin
isi qisse ka lagakar takiya
wirah ki raat mein hum rote hain
isi katha ki sajakar suhag sej sakhi
milan ki raat mein hum khote hain

स्रोत :
पुस्तक : एक पेड़ छतनार (पृष्ठ 116)
रचनाकार : दिनेश कुमार शुक्ल
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.