सूरज को छूने की कोशिश
हर बार असफल रही
उसका तेज़ मुझे अँधा बना
भटका देता है रास्ता
कल्पना मात्र भी उसकी तपन का
अहसास करा देती है
सागर मापने की कोशिश भी
नाकाम रही
हर बार लहरें उठा
पटक देती हैं भंवर में
क्रोधावश पर्वत से टकराया भी
पर चोटिल हर बार मैं ही हुआ
वह शान से खड़ा
देखता रहा मेरी नादानी
अंत खोजने निकला आकाश में भी
पर ख़ुद ही उसमें खो गया
मैं भी सूरज-सी चमक
सागर-सा हौंसला
पर्वत-सी दृढ़ता
और आकाश-सा अनंत
पाना चाहता हूँ।
और आकाश-सा अनंत
पाना चाहता हूँ।
suraj ko chhune ki koshish
har baar asaphal rahi
uska tez mujhe andha bana
bhatka deta hai rasta
kalpana maatr bhi uski tapan ka
ahsas kara deti hai
sagar mapne ki koshish bhi
nakam rahi
har baar lahren utha
patak deti hain bhanvar mein
krodhavash parvat se takraya bhi
par chotil har baar main hi hua
wo shaan se khaDa
dekhta raha meri nadani
ant khojne nikla akash mein bhi
par khud hi usmen kho gaya
main bhi suraj si chamak
sagar sa haunsla
parvat si driDhta
aur akash sa anant
pana chahta hoon.
aur akash sa anant
pana chahta hoon.
suraj ko chhune ki koshish
har baar asaphal rahi
uska tez mujhe andha bana
bhatka deta hai rasta
kalpana maatr bhi uski tapan ka
ahsas kara deti hai
sagar mapne ki koshish bhi
nakam rahi
har baar lahren utha
patak deti hain bhanvar mein
krodhavash parvat se takraya bhi
par chotil har baar main hi hua
wo shaan se khaDa
dekhta raha meri nadani
ant khojne nikla akash mein bhi
par khud hi usmen kho gaya
main bhi suraj si chamak
sagar sa haunsla
parvat si driDhta
aur akash sa anant
pana chahta hoon.
aur akash sa anant
pana chahta hoon.
स्रोत :
रचनाकार : पवन चौहान
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.