अगर समा पाता ब्रह्मांड
मेरी बाँहों में
तो चला जाता मैं लिए
वहीं-कहीं जहाँ
जीवन-मृत्यु की ज़रूरत न होती क़तई।
इस अँधेरे से बेहतर
अगर समझ पाता मैं
कि मुझे निगल न सकेगा कोई ख़ौफ़
कोई ख़तरनाक बीमारी मुझे जकड़ न सकेगी
किसी अँधियारे बियाबान में
भटका न सकेगी कोई मौत
तो मैं लिए आता
जन्मजात सूर्य की क़तारें
और कहीं भी जल जाता
आदिम-गंध के अनजान प्रदेश में।
अगर मैं कह देता ख़ुद से
कि तुम मात्र एक भ्रम हो
और इस धरती के जीव-जंतुओं से कि ढूँढ़ो
ईश्वर या उसके विपर्यय के भार का कोई शब्द
तो तुम्हारी स्वतंत्रता
सुनिश्चित है।
अगर मैं चाहता
तमाम भीषण नर-संहार के बदले
लबलबाती हुई करुणा
तो कम पड़ गए होते तुम्हारे आँसू
और मेरे शब्दों का अर्थ चुक गया होता।
अगर मैं बता पाता
कि कैसे गरुआ रही है धरा मेरे सर पर
और कैसी मार से छिन गया मेरा विश्वास
घर लौटने की ख़ातिर
और कह पाता कि किन अनिच्छाओं की
अँधेरी बस्तियों में
गुज़ार दीं मैंने ताज़ा सुबहें
अब वे न मिल सकेंगी मैं न लौट सकूँगा।
अगर मैं रह पाता
बग़ैर प्यार के
बिना किसी की चाह के
बिना मेहनत की गंधाती तड़प के
और कह पाता
हर किसी से सीधी-सच्ची बात
यह अपने लिए नहीं, यह सबके लिए है
तो कर देता ऐलान
हम जिएँगे
हम जीतेंगे।
agar sama pata brahmanD
meri banhon mein
to chala jata main liye
wahin kahin jahan
jiwan mirtyu ki zarurat na hoti qati
is andhere se behtar
agar samajh pata main
ki mujhe nigal na sakega koi khauf
koi khatarnak bimari mujhe jakaD na sakegi
kisi andhiyare biyaban mein
bhatka na sakegi koi maut
to main liye aata
janmajat surya ki qataren
aur kahin bhi jal jata
adim gandh ke anjan pardesh mein
agar main kah deta khu se
ki tum matr ek bhram ho
aur is dharti ke jeew jantuon se ki DhunDho
ishwar ya uske wiparyay ke bhaar ka koi shabd
to tumhari swtantrta
sunishchit hai
agar main chahta
tamam bhishan nar sanhar ke badle
labalbati hui karuna
to kam paD gaye hote tumhare ansu
aur mere shabdon ka arth chuk gaya hota
agar main bata pata
ki kaise garua rahi hai dhara mere sar par
aur kaisi mar se chhin gaya mera wishwas
ghar lautne ki khatir
aur kah pata ki kin anichchhaon ki
andheri bastiyon mein
guzar deen mainne taza subhen
ab we na mil sakengi main na laut sakunga
agar main rah pata
baghair pyar ke
bina kisi ki chah ke
bina mehnat ki gandhati taDap ke
aur kah pata
har kisi se sidhi sachchi baat
ye apne liye nahin, ye sabke liye hai
to kar deta ailan
hum jiyenge
hum jitenge
agar sama pata brahmanD
meri banhon mein
to chala jata main liye
wahin kahin jahan
jiwan mirtyu ki zarurat na hoti qati
is andhere se behtar
agar samajh pata main
ki mujhe nigal na sakega koi khauf
koi khatarnak bimari mujhe jakaD na sakegi
kisi andhiyare biyaban mein
bhatka na sakegi koi maut
to main liye aata
janmajat surya ki qataren
aur kahin bhi jal jata
adim gandh ke anjan pardesh mein
agar main kah deta khu se
ki tum matr ek bhram ho
aur is dharti ke jeew jantuon se ki DhunDho
ishwar ya uske wiparyay ke bhaar ka koi shabd
to tumhari swtantrta
sunishchit hai
agar main chahta
tamam bhishan nar sanhar ke badle
labalbati hui karuna
to kam paD gaye hote tumhare ansu
aur mere shabdon ka arth chuk gaya hota
agar main bata pata
ki kaise garua rahi hai dhara mere sar par
aur kaisi mar se chhin gaya mera wishwas
ghar lautne ki khatir
aur kah pata ki kin anichchhaon ki
andheri bastiyon mein
guzar deen mainne taza subhen
ab we na mil sakengi main na laut sakunga
agar main rah pata
baghair pyar ke
bina kisi ki chah ke
bina mehnat ki gandhati taDap ke
aur kah pata
har kisi se sidhi sachchi baat
ye apne liye nahin, ye sabke liye hai
to kar deta ailan
hum jiyenge
hum jitenge
स्रोत :
पुस्तक : इस नाउम्मीदी की कायनात में (पांडुलिपि)
रचनाकार : ऋतु कुमार ऋतु
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.