रक्त पीने की परंपरा होगी कोई खरब बरस पुरानी
मस्तिष्क बना होगा पहली दफ़ा जिस दिन इस धरती पर।
पहली दफ़ा उस दिन किसी सिर ने
रक्त चूसा होगा अपनी जूँओं का
हत्यारों की ताक़त को ज़िंदगी ने
पहली पहली दफ़ा आज़माया होगा
हुआ होगा पहली पहली बार धरती पर जो समुंद्र-मंथन
किसी देवता ने छीन कर दानवों से
पहली दफ़ा पीया होगा अमृत और हलाहल एक साथ
जन्म लिया होगा पहली बार धरती पर किसी आदमी ने
जन्म लेकर पहली दफ़ा किसी आदमी ने
रक्त पीने की आदत को बदल दिया होगा
रक्त पीने की परंपरा में पहली दफ़ा
परंपरा की पीठ पर सवार
पहली दफ़ा पहचाना गया होगा आदमीयत को
और हमेशा नया होने की उम्मीद को
दिया गया होगा नाम आत्मा का पहली दफ़ा।
rakt pine ki parampara hogi koi kharab baras purani
mastishk bana hoga pahli dafa jis din is dharti par
pahli dafa us din kisi sir ne
rakt chusa hoga apni junon ka
hatyaron ki taqat ko zindagi ne
pahli pahli dafa azmaya hoga
hua hoga pahli pahli bar dharti par jo samundr manthan
kisi dewta ne chheen kar danwon se
pahli dafa piya hoga amrit aur halahal ek sath
janm liya hoga pahli bar dharti par kisi adami ne
janm lekar pahli dafa kisi adami ne
rakt pine ki aadat ko badal diya hoga
rakt pine ki parampara mein pahli dafa
parampara ki peeth par sawar
pahli dafa pahchana gaya hoga adamiyat ko
aur hamesha naya hone ki ummid ko
diya gaya hoga nam aatma ka pahli dafa
rakt pine ki parampara hogi koi kharab baras purani
mastishk bana hoga pahli dafa jis din is dharti par
pahli dafa us din kisi sir ne
rakt chusa hoga apni junon ka
hatyaron ki taqat ko zindagi ne
pahli pahli dafa azmaya hoga
hua hoga pahli pahli bar dharti par jo samundr manthan
kisi dewta ne chheen kar danwon se
pahli dafa piya hoga amrit aur halahal ek sath
janm liya hoga pahli bar dharti par kisi adami ne
janm lekar pahli dafa kisi adami ne
rakt pine ki aadat ko badal diya hoga
rakt pine ki parampara mein pahli dafa
parampara ki peeth par sawar
pahli dafa pahchana gaya hoga adamiyat ko
aur hamesha naya hone ki ummid ko
diya gaya hoga nam aatma ka pahli dafa
स्रोत :
पुस्तक : साक्षात्कार 104-106 (पृष्ठ 78)
संपादक : सोमदत्त
रचनाकार : विनोद शाही
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.