अचरज है कि इस बस्ती के लोग
अब भी जी रहे रहे हैं।
जबकि इन सबकी मौत हो गई थी
कंधों में गोली लगने से
और इनके नाम शीत-युद्ध में
मरने वालों की सूची में छपे हुए हैं।
मैं हमेशा इस बस्ती में
सूखे, अँधेरे गहरे कुएँ में
रोशनी डाल कर देखता हूँ कि
रात को किसी ने इस बस्ती के
किसी मुर्दे को इसमें पटका या नहीं
जिससे मैं दूसरी बार कर सकूँ
उसकी मृत्यु की घोषणा।
अचरज है कि इतने दिनों में
इस शुभ काम की शुरुआत
किसी ने नहीं की।
लगता है अब मुझे ही
करनी होगी यह शुरुआत
बसना पड़ेगा इन मुर्दों के बीच
इस शुभकाम की शुरुआत बाबत,
इनकी अंतिम मृत्यू की घोषणा बाबत।
अलमारियों में बंद
इनकी पोथियों को खा गई है दीमक
कभी पढ़ा नहीं उन्हें।
उनके पन्नों से इन्होंने अपनी
सिगरेटें सिलगाई।
इनका पूरा समय बीत गया
आपस की इस बहस में कि
मरवण के घाघरे में कितनी सलवटें हैं?
कि फलाँ कब जन्मा?
कि वो कब,
कहाँ
किसका
क्या था?
ये लड़ मरे
मुर्दों की बातों बाबत
ज़िंदा लोगों का यश गटक कर।
क्या अब भी इनकी
अंतिम मृत्यु की घोषणा करनी पड़ेगी?
achraj hai ki is basti ke log
ab bhi ji rahe rahe hain.
jabki in sabki maut ho gai thi
kandhon mein goli lagne se
aur inke naam sheet yudh men
marne valon ki suchi mein chhape hue hain.
main hamesha is basti men
sukhe, andhere gahre kuen men
roshni Dalkar dekhta hoon ki
raat ko kisi ne is basti ke
kisi murde ko ismen patka ya nahin
jisse main dusri baar kar sakun
uski mirtyu ki ghoshanaa.
achraj hai ki itne dinon men
is shubh kaam ki shuruat
kisi ne nahin ki.
lagta hai ab mujhe hi
karni hogi ye shuruat
basna paDega in murdon ke beech
is shubhkam ki shuruat babat,
inki antim mrityu ki ghoshanaa babat.
almariyon mein band
inki pothiyon ko kha gai hai dimak
kabhi paDha nahin unhen.
unke pannon se inhonne apni
cigaretten silgai.
inka pura samay beet gaya
aapas ki is bahs mein ki
marvan ke ghaghre mein kitni salavten hain?
ki phalan kab janma?
ki wo kab,
kahan
kiska
kya tha?
ye laD mare
murdon ki baton babat
zinda logon ka yash gatak kar.
kya ab bhi inki
antim mirtyu ki ghoshanaa karni paDegi?
achraj hai ki is basti ke log
ab bhi ji rahe rahe hain.
jabki in sabki maut ho gai thi
kandhon mein goli lagne se
aur inke naam sheet yudh men
marne valon ki suchi mein chhape hue hain.
main hamesha is basti men
sukhe, andhere gahre kuen men
roshni Dalkar dekhta hoon ki
raat ko kisi ne is basti ke
kisi murde ko ismen patka ya nahin
jisse main dusri baar kar sakun
uski mirtyu ki ghoshanaa.
achraj hai ki itne dinon men
is shubh kaam ki shuruat
kisi ne nahin ki.
lagta hai ab mujhe hi
karni hogi ye shuruat
basna paDega in murdon ke beech
is shubhkam ki shuruat babat,
inki antim mrityu ki ghoshanaa babat.
almariyon mein band
inki pothiyon ko kha gai hai dimak
kabhi paDha nahin unhen.
unke pannon se inhonne apni
cigaretten silgai.
inka pura samay beet gaya
aapas ki is bahs mein ki
marvan ke ghaghre mein kitni salavten hain?
ki phalan kab janma?
ki wo kab,
kahan
kiska
kya tha?
ye laD mare
murdon ki baton babat
zinda logon ka yash gatak kar.
kya ab bhi inki
antim mirtyu ki ghoshanaa karni paDegi?
स्रोत :
पुस्तक : सदानीरा
संपादक : अविनाश मिश्र
रचनाकार : पारस अरोड़ा
प्रकाशन : सदानीरा पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.