एक शहर था जिसका नाम सहारनपुर है
उसमें भी कुछ एक बरस मैंने काटे हैं
बात सही सन् सत्तावन-अट्ठावन की होगी
मैं छोटा था, पतंग देख कर ख़ुश होता था
भूख उन दिनों बेहद सताया करती
शायद मेरे, रहे पेट में कीड़े होंगे
शायद माँ से हठ करना रोटी-चीनी को
मेरी भूख बढ़ाने वाला कारण होगा
भूत-प्रेत मारा करते कानों में सीटी
जहाँ झुटपुटा हुआ, हृदय धकधक करता था
हनुमान जी, दुर्गा मैया, मोहन भैया
ये तीनों ही मेरे असली संरक्षक थे
रामलीला से दीवाली तक के दिन
धनुष की तरह तने
साल के सबसे बढ़िया दिन होते थे
उनसे थोड़ी-सी ही कम अच्छी होतीं
गर्मियों की छुट्टियाँ, बरसातें सबसे बुरी
जामुन था सबसे उम्दा फल या अधपका अमरूद
सबसे अच्छा दिन इतवार, सबसे बुरा सोमवार
वीरों का कैसा हो वसंत, हल्दी घाटी
दोनों ही कविताएँ मुझको अति भातीं
वैसे मैं था अति भीरु और दुर्बल बालक
केवल कम ऊँची दीवारों पर चढ़ पाता था
चढ़ लिया सरासर करता था जो पेड़ों पर
वह साधूराम हृदय मेरा झुलसाता था
अँग्रेज़ों को गए बरस दस बीत चुके थे
लेकिन क़ायम था तब भी सब रुतबा उनका
रेलवई का आंग्ल भारती एक डिराइवर
मेरे लिए देश का दूजा महापुरुष था
पहले तो थे ख़ैर जवाहरलाल नेहरू
अख़बारों में जिन्हें कहा जाता था चाचा
चाचा जैसे तो न कभी हमको वे सूझे
देव पुरुष अवतारी किंतु लगा करते थे
अक्सर मिलते थे सुनने को उनके क़िस्से
बहुत बड़े हेकड़ हैं तनिक न परवा करते
जनता यदि हल्ला करती घपला करती हो
भरी भीड़ में घुसकर उसे चुपा देते हैं
यह भी कहते लोग कि यद्यपि हैं नेहरू जी
गांधी के शागिर्द स्वदेशी के हिमायती
लेकिन आला ख़ानदान में रख-रखाव में
उनका जलवा अँग्रेज़ों से भी बढ़ कर है
तभी सुना, हैं नेहरू के दो नाती जिनका
फोटू डाक-टिकट के ऊपर छपा हुआ है
और कि उनकी माता जी भी राजनीति में
अच्छा-ख़ासा दख़ल बना कर रखती हैं
तब तक मेरी समझ बात को पकड़ न पाई
इसीलिए मैं अपने नाना पर चिढ़ता था
क्यों पहना करते हैं काली गंदी टोपी
नेहरू की ही तरह क्यों नहीं बनते हैं वे
जब देखो तब पूजा ही करते रहते हैं
इसीलिए तो माँ को भी लत बुरी लगी है
सदा डरी रहती है कितने अंदेशों से
सुबह-शाम घंटी टुन-टुन करती रहती है
नाना वैसे शानदार थे और मामा तो
बिल्कुल लाजवाब, जैसे हो आम सफ़ेदा
तेजस्वी भी मीठा गद्दर रसेदार भी
चाचा तो बस मेरे अपने चाचा जी थे
अलग तरह से कुछ प्यारे लगते थे मुझको
ऊल-जलूल हरक़तों में तो माहिर थे
उनके कई उसूलों का मैं भी क़ायल हूँ
पिता कभी आँधी थे और कभी थे पानी
कभी धूप थे और कभी घनघोर अँधेरा
कभी हवा थे सुखद बसंती ख़ुशबू वाली
और कभी थे लंबी एक कथा पीड़ा की
अब हुई बात प्राचीन मगर फिर भी बतलाता हूँ
आता था याद सात वर्ष के बालक को भी
अपना बचपन जो छूटा किंचित दूर मगर था अति सुदूर
गोया सपने के भीतर हो कोई सपना
वाक़या ये दर्जा दो का है
स्कूल में टट्टी हो गई थी नेकर में
इतने बरसों के बाद भी बिल्कुल
साफ़-साफ़ वह घटना अंकित है
बमय सभी रंगों गंधों के वह कातरता
वह थी जीवन की प्रथम सांघातिक शर्मिंदगी
रहा प्रेम तो वो बुहुत बाद की चीज़ है
ek shahr tha jiska nam saharanpur hai
usmen bhi kuch ek baras mainne kate hain
baat sahi san sattawan atthawan ki hogi
main chhota tha, patang dekh kar khush hota tha
bhookh un dinon behad sataya karti
shayad mere, rahe pet mein kiDe honge
shayad man se hath karna roti chini ko
meri bhookh baDhane wala karan hoga
bhoot pret mara karte kanon mein siti
jahan jhutputa hua, hirdai dhakdhak karta tha
hanuman ji, durga maiya, mohan bhaiya
ye tinon hi mere asli sanrakshak the
ramlila se diwali tak ke din
dhanush ki tarah tane
sal ke sabse baDhiya din hote the
unse thoDi si hi kam achchhi hotin
garmiyon ki chhuttiyan, barsaten sabse buri
jamun tha sabse umda phal ya adhapka amrud
sabse achchha din itwar, sabse bura somwar
wiron ka kaisa ho wasant, haldi ghati
donon hi kawitayen mujhko ati bhatin
waise main tha ati bhiru aur durbal balak
kewal kam unchi diwaron par chaDh pata tha
chaDh liya sarasar karta tha jo peDon par
wo sadhuram hirdai mera jhulsata tha
angrezon ko gaye baras das beet chuke the
lekin qayam tha tab bhi sab rutba unka
relawi ka aangl bharti ek Diraiwar
mere liye desh ka duja mahapurush tha
pahle to the khair jawaharlal nehru
akhbaron mein jinhen kaha jata tha chacha
chacha jaise to na kabhi hamko we sujhe
dew purush awtari kintu laga karte the
aksar milte the sunne ko unke qisse
bahut baDe hekaD hain tanik na parwa karte
janta yadi halla karti ghapla karti ho
bhari bheeD mein ghuskar use chupa dete hain
ye bhi kahte log ki yadyapi hain nehru ji
gandhi ke shagird swadeshi ke himayati
lekin aala khandan mein rakh rakhao mein
unka jalwa angrezon se bhi baDh kar hai
tabhi suna, hain nehru ke do nati jinka
photu Dak ticket ke upar chhapa hua hai
aur ki unki mata ji bhi rajaniti mein
achchha khasa dakhal bana kar rakhti hain
tab tak meri samajh baat ko pakaD na pai
isiliye main apne nana par chiDhta tha
kyon pahna karte hain kali gandi topi
nehru ki hi tarah kyon nahin bante hain we
jab dekho tab puja hi karte rahte hain
isiliye to man ko bhi lat buri lagi hai
sada Dari rahti hai kitne andeshon se
subah sham ghanti tun tun karti rahti hai
nana waise shanadar the aur mama to
bilkul lajawab, jaise ho aam safeda
tejaswi bhi mitha gaddar rasedar bhi
chacha to bus mere apne chacha ji the
alag tarah se kuch pyare lagte the mujhko
ul jalul haraqton mein to mahir the
unke kai usulon ka main bhi qayal hoon
pita kabhi andhi the aur kabhi the pani
kabhi dhoop the aur kabhi ghanghor andhera
kabhi hawa the sukhad basanti khushbu wali
aur kabhi the lambi ek katha piDa ki
ab hui baat prachin magar phir bhi batlata hoon
ata tha yaad sat warsh ke balak ko bhi
apna bachpan jo chhuta kinchit door magar tha ati sudur
goya sapne ke bhitar ho koi sapna
waqya ye darja do ka hai
school mein tatti ho gai thi nekar mein
itne barson ke baad bhi bilkul
saf saf wo ghatna ankit hai
bamay sabhi rangon gandhon ke wo katarta
wo thi jiwan ki pratham sanghatik sharmindgi
raha prem to wo buhut baad ki cheez hai
ek shahr tha jiska nam saharanpur hai
usmen bhi kuch ek baras mainne kate hain
baat sahi san sattawan atthawan ki hogi
main chhota tha, patang dekh kar khush hota tha
bhookh un dinon behad sataya karti
shayad mere, rahe pet mein kiDe honge
shayad man se hath karna roti chini ko
meri bhookh baDhane wala karan hoga
bhoot pret mara karte kanon mein siti
jahan jhutputa hua, hirdai dhakdhak karta tha
hanuman ji, durga maiya, mohan bhaiya
ye tinon hi mere asli sanrakshak the
ramlila se diwali tak ke din
dhanush ki tarah tane
sal ke sabse baDhiya din hote the
unse thoDi si hi kam achchhi hotin
garmiyon ki chhuttiyan, barsaten sabse buri
jamun tha sabse umda phal ya adhapka amrud
sabse achchha din itwar, sabse bura somwar
wiron ka kaisa ho wasant, haldi ghati
donon hi kawitayen mujhko ati bhatin
waise main tha ati bhiru aur durbal balak
kewal kam unchi diwaron par chaDh pata tha
chaDh liya sarasar karta tha jo peDon par
wo sadhuram hirdai mera jhulsata tha
angrezon ko gaye baras das beet chuke the
lekin qayam tha tab bhi sab rutba unka
relawi ka aangl bharti ek Diraiwar
mere liye desh ka duja mahapurush tha
pahle to the khair jawaharlal nehru
akhbaron mein jinhen kaha jata tha chacha
chacha jaise to na kabhi hamko we sujhe
dew purush awtari kintu laga karte the
aksar milte the sunne ko unke qisse
bahut baDe hekaD hain tanik na parwa karte
janta yadi halla karti ghapla karti ho
bhari bheeD mein ghuskar use chupa dete hain
ye bhi kahte log ki yadyapi hain nehru ji
gandhi ke shagird swadeshi ke himayati
lekin aala khandan mein rakh rakhao mein
unka jalwa angrezon se bhi baDh kar hai
tabhi suna, hain nehru ke do nati jinka
photu Dak ticket ke upar chhapa hua hai
aur ki unki mata ji bhi rajaniti mein
achchha khasa dakhal bana kar rakhti hain
tab tak meri samajh baat ko pakaD na pai
isiliye main apne nana par chiDhta tha
kyon pahna karte hain kali gandi topi
nehru ki hi tarah kyon nahin bante hain we
jab dekho tab puja hi karte rahte hain
isiliye to man ko bhi lat buri lagi hai
sada Dari rahti hai kitne andeshon se
subah sham ghanti tun tun karti rahti hai
nana waise shanadar the aur mama to
bilkul lajawab, jaise ho aam safeda
tejaswi bhi mitha gaddar rasedar bhi
chacha to bus mere apne chacha ji the
alag tarah se kuch pyare lagte the mujhko
ul jalul haraqton mein to mahir the
unke kai usulon ka main bhi qayal hoon
pita kabhi andhi the aur kabhi the pani
kabhi dhoop the aur kabhi ghanghor andhera
kabhi hawa the sukhad basanti khushbu wali
aur kabhi the lambi ek katha piDa ki
ab hui baat prachin magar phir bhi batlata hoon
ata tha yaad sat warsh ke balak ko bhi
apna bachpan jo chhuta kinchit door magar tha ati sudur
goya sapne ke bhitar ho koi sapna
waqya ye darja do ka hai
school mein tatti ho gai thi nekar mein
itne barson ke baad bhi bilkul
saf saf wo ghatna ankit hai
bamay sabhi rangon gandhon ke wo katarta
wo thi jiwan ki pratham sanghatik sharmindgi
raha prem to wo buhut baad ki cheez hai
स्रोत :
पुस्तक : कविता वीरेन (पृष्ठ 121)
रचनाकार : वीरेन डंगवाल
प्रकाशन : नवारुण
संस्करण : 2018
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.