दुनिया का कोई क़ानून बद्दुआओं के लिए किसी को रोक नहीं सकता।
इसलिए आओ सब मिल कर बद्दुआ करें कि
इस व्यवस्था के पोषकों को कीड़े पड़ें।
आओ उनकी जड़ों में मट्ठा डालें।
जिस संसद, अदालत और प्रशासन को नहीं दीखते आँसू उन्हें आँसुओं में बहा दें।
हमारी अदालत उन सबको मुजरिम क़रार देती है।
उन सबका पुतला बना कर थूक दें उन पर।
या धरती पर उनके चित्र बनाकर रौंद डालें।
दुनिया का कोई क़ानून कुछ नहीं कर पाएगा।
भले हम बोल न पाएँ, लेकिन सपना तो देख ही सकते हैं।
दुनिया में कोई भी सपना देखने से नहीं रोक पाएगा।
इसलिए जो कुछ भी अच्छा है उसका मिल कर सपना देखें।
और सपना नींद में न देखें इस बात का ख़याल रहे।
दुनिया का कोई भी क़ानून खुली आँखों से सपना देखने से नहीं रोक पाएगा।
तो आओ मिलकर बद्दुआ करें उस व्यवस्था के लिए
जिसमें लक्ष्मणपुर बाथे नरसंहार का कोई दोषी नहीं मिलता,
हत्यारे नहीं मिलते रोहित वेमुला के,
बलात्कारी नहीं मिलते मणिपुर के,
सोनी सोरी की योनि में ठूँस दिए गए थे पत्थर
उस व्यवस्था के लिए बद्दुआ करें।
हमने उन क़ानूनों को कभी नहीं तोड़ा जो हमारे दमन के काम आते हैं।
लेकिन आओ ग़ुस्से से देखे उन्हें।
दुनिया का कोई क़ानून ग़ुस्से से देखने से हमें रोक नहीं सकता।
मन ही मन बना डालते हैं एक देश किसी को पता भी नहीं चलेगा।
और मन में कोई देश बनाना क़ानून का उल्लंघन भी नहीं है।
मन ही मन दोषियों को सज़ा देना भी क़ानून का उल्लंघन नहीं है,
और अदालत को पता भी नहीं चलेगा कि उनके छोड़े हुओं को हमने सज़ा दे डाली है।
जिन्हें नहीं सुनाई देता चीत्कार उनके सामने रोने की ज़रूरत नहीं है।
बम हम फोड़ नहीं सकते क्योंकि क़ानून का उल्लंघन हम कर नहीं सकते,
पर हमारे वश में जो है, वह तो हम कर ही सकते हैं।
duniya ka koi qanun badduaon ke liye kisi ko rok nahin sakta
isliye aao sab mil kar baddua karen ki
is wyawastha ke poshkon ko kiDe paDen
ao unki jaDon mein mattha Dalen
jis sansad, adalat aur prashasan ko nahin dikhte ansu unhen ansuon mein baha den
hamari adalat un sabko mujrim qarar deti hai
un sabka putla bana kar thook den un par
ya dharti par unke chitr banakar raund Dalen
duniya ka koi qanun kuch nahin kar payega
bhale hum bol na payen, lekin sapna to dekh hi sakte hain
duniya mein koi bhi sapna dekhne se nahin rok payega
isliye jo kuch bhi achchha hai uska mil kar sapna dekhen
aur sapna neend mein na dekhen is baat ka khayal rahe
duniya ka koi bhi qanun khuli ankhon se sapna dekhne se nahin rok payega
to aao milkar baddua karen us wyawastha ke liye
jismen lakshmanpur bathe narsanhar ka koi doshi nahin milta,
hatyare nahin milte rohit wemula ke,
balatkari nahin milte manaipur ke,
soni sori ki yoni mein thoons diye gaye the patthar
us wyawastha ke liye baddua karen
hamne un qanunon ko kabhi nahin toDa jo hamare daman ke kaam aate hain
lekin aao ghusse se dekhe unhen
duniya ka koi qanun ghusse se dekhne se hamein rok nahin sakta
man hi man bana Dalte hain ek desh kisi ko pata bhi nahin chalega
aur man mein koi desh banana qanun ka ullanghan bhi nahin hai
man hi man doshiyon ko saza dena bhi qanun ka ullanghan nahin hai,
aur adalat ko pata bhi nahin chalega ki unke chhoDe huon ko hamne saza de Dali hai
jinhen nahin sunai deta chitkar unke samne rone ki zarurat nahin hai
bam hum phoD nahin sakte kyonki qanun ka ullanghan hum kar nahin sakte,
par hamare wash mein jo hai, wo to hum kar hi sakte hain

स्रोत :
रचनाकार : फ़रीद ख़ाँ
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.