वह बच्ची जिसकी उम्र
दस-बारह वर्ष के क़रीब है और जिसने
अपनी दो कोमल उँगलियों के बीच
फँसा रखे हैं पत्थर के दो चिकने टुकड़े
इस भीड़ भरी बस में
निकालने की करती है कोशिश
अपने गले से अनुराधा पौडवाल की आवाज़
पत्थर के इन दो चिकने टुकड़ों से
निकालती है वह
ढेर सारी फ़िल्मी धुनें
भगवान के भजन और सफ़र के गीत
इस भीड़ भरी बस में भी लोग सुनते हैं
उसके छोटे गले से
अनुराधा पौडवाल की छोटी आवाज़
और देखते हैं
बहुत ही तेज़ गति से चलने वाली
उसकी दो उँगलियों के बीच
पत्थरों का आपस में टकराना
उस बच्ची को नहीं है मालूम
पत्थर के इन्हीं दो टुकड़ों से
जिनसे वह निकालती है फ़िल्मों की धुनें और
जीवित रहने की थोड़ी-सी गुंजाइश
उन्हीं पत्थरों को टकराने से निकलती है
चिंगारी
उस बच्ची को नहीं है मालूम
जब इस सृष्टि की हुई शुरुआत तब
लोगों ने बसने से पहले सबसे पहले
ईजाद की थी आग
इन्हीं दो पत्थरों को टकराकर।
wo bachchi jiski umr
das barah warsh ke qarib hai aur jisne
apni do komal ungliyon ke beech
phansa rakhe hain patthar ke do chikne tukDe
is bheeD bhari bus mein
nikalne ki karti hai koshish
apne gale se anuradha pauDwal ki awaz
patthar ke in do chikne tukDon se
nikalti hai wo
Dher sari filmi dhunen
bhagwan ke bhajan aur safar ke geet
is bheeD bhari bus mein bhi log sunte hain
uske chhote gale se
anuradha pauDwal ki chhoti awaz
aur dekhte hain
bahut hi tez gati se chalne wali
uski do ungliyon ke beech
patthron ka aapas mein takrana
us bachchi ko nahin hai malum
patthar ke inhin do tukDon se
jinse wo nikalti hai filmon ki dhunen aur
jiwit rahne ki thoDi si gunjaish
unhin patthron ko takrane se nikalti hai
chingari
us bachchi ko nahin hai malum
jab is sirishti ki hui shuruat tab
logon ne basne se pahle sabse pahle
ijad ki thi aag
inhin do patthron ko takrakar
wo bachchi jiski umr
das barah warsh ke qarib hai aur jisne
apni do komal ungliyon ke beech
phansa rakhe hain patthar ke do chikne tukDe
is bheeD bhari bus mein
nikalne ki karti hai koshish
apne gale se anuradha pauDwal ki awaz
patthar ke in do chikne tukDon se
nikalti hai wo
Dher sari filmi dhunen
bhagwan ke bhajan aur safar ke geet
is bheeD bhari bus mein bhi log sunte hain
uske chhote gale se
anuradha pauDwal ki chhoti awaz
aur dekhte hain
bahut hi tez gati se chalne wali
uski do ungliyon ke beech
patthron ka aapas mein takrana
us bachchi ko nahin hai malum
patthar ke inhin do tukDon se
jinse wo nikalti hai filmon ki dhunen aur
jiwit rahne ki thoDi si gunjaish
unhin patthron ko takrane se nikalti hai
chingari
us bachchi ko nahin hai malum
jab is sirishti ki hui shuruat tab
logon ne basne se pahle sabse pahle
ijad ki thi aag
inhin do patthron ko takrakar
स्रोत :
रचनाकार : उमाशंकर चौधरी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.