प्रस्तुत पाठ एनसीईआरटी की कक्षा छठी के पाठ्यक्रम में शामिल है।
कभी-कभी मैं अपने मित्रों की परीक्षा लेती हूँ, यह परखने के लिए कि वह क्या देखते हैं। हाल ही में मेरी एक प्रिय मित्र जंगल की सैर करने के बाद वापस लौटीं। मैंने उनसे पूछा, “आपने क्या-क्या देखा?”
“कुछ ख़ास तो नहीं,” उनका जवाब था। मुझे बहुत अचरज नहीं हुआ क्योंकि मैं अब इस तरह के उत्तरों की आदी हो चुकी हूँ। मेरा विश्वास है कि जिन लोगों की आँखें होती हैं, वे बहुत कम देखते हैं।
क्या यह संभव है कि भला कोई जंगल में घंटाभर घूमे और फिर भी कोई विशेष चीज़ न देखे? मुझे—जिसे कुछ भी दिखाई नहीं देता—सैकड़ों रोचक चीज़ें मिलती हैं, जिन्हें मैं छूकर पहचान लेती हूँ। मैं भोज—पत्र के पेड़ की चिकनी छाल और चीड़ की खुरदरी छाल को स्पर्श से पहचान लेती हूँ। वसंत के दौरान मैं टहनियों में नई कलियाँ खोजती हूँ। मुझे फूलों की पंखुड़ियों की मखमली सतह छूने और उनकी घुमावदार बनावट महसूस करने में अपार आनंद मिलता है। इस दौरान मुझे प्रकृति के जादू का कुछ अहसास होता है। कभी, जब मैं ख़ुशनसीब होती हूँ, तो टहनी पर हाथ रखते ही किसी चिड़िया के मधुर स्वर कानों में गूँजने लगते हैं। अपनी अँगुलियों के बीच झरने के पानी को बहते हुए महसूस कर मैं आनंदित हो उठती हूँ। मुझे चीड़ की फैली पत्तियाँ या घास का मैदान किसी भी महँगे कालीन से अधिक प्रिय है। बदलते हुए मौसम का समाँ मेरे जीवन में एक नया रंग और ख़ुशियाँ भर जाता है।
कभी-कभी मेरा दिल इन सब चीज़ों को देखने के लिए मचल उठता है। अगर मुझे इन चीज़ों को सिर्फ़ छूने भर से इतनी ख़ुशी मिलती है, तो उनकी सुंदरता देखकर तो मेरा मन मुग्ध ही हो जाएगा। परंतु, जिन लोगों की आँखें हैं, वे सचमुच बहुत कम देखते हैं। इस दुनिया के अलग-अलग सुंदर रंग उनकी संवेदना को नहीं छूते। मनुष्य अपनी क्षमताओं की कभी क़दर नहीं करता। वह हमेशा उस चीज़ की आस लगाए रहता है जो उसके पास नहीं है।
यह कितने दुख की बात है कि दृष्टि के आशीर्वाद को लोग एक साधारण सी चीज़ समझते हैं, जबकि इस नियामत से ज़िंदगी को ख़ुशियों के इंद्रधनुषी रंगों से हरा-भरा किया जा सकता है।
kabhi kabhi main apne mitron ki pariksha leti hoon, ye parakhne ke liye ki wo kya dekhte hain. haal hi mein meri ek priy mitr jangal ki sair karne ke baad vapas lautin. mainne unse puchha, “apne kya kya dekha?”
“kuchh khaas to nahin,” unka javab tha. mujhe bahut achraj nahin hua kyonki main ab is tarah ke uttron ki aadi ho chuki hoon. mera vishvas hai ki jin logon ki ankhen hoti hain, ve bahut kam dekhte hain.
kya ye sambhav hai ki bhala koi jangal mein ghantabhar ghume aur phir bhi koi vishesh cheez na dekhe? mujhe—jise kuch bhi dikhai nahin deta—saikDon rochak chizen milti hain, jinhen main chhukar pahchan leti hoon. main bhoj—patr ke peD ki chikni chhaal aur cheeD ki khuradri chhaal ko sparsh se pahchan leti hoon. vasant ke dauran main tahaniyon mein nai kaliyan khojti hoon. mujhe phulon ki pankhuDiyon ki makhamli satah chhune aur unki ghumavadar banavat mahsus karne mein apar anand milta hai. is dauran mujhe prkriti ke jadu ka kuch ahsas hota hai. kabhi, jab main khushansib hoti hoon, to tahni par haath rakhte hi kisi chiDiya ke madhur svar kanon mein gunjne lagte hain. apni anguliyon ke beech jharne ke pani ko bahte hue mahsus kar main anandit ho uthti hoon. mujhe cheeD ki phaili pattiyan ya ghaas ka maidan kisi bhi mahnge kalin se adhik priy hai. badalte hue mausam ka saman mere jivan mein ek naya rang aur khushiyan bhar jata hai.
kabhi kabhi mera dil in sab chizon ko dekhne ke liye machal uthta hai. agar mujhe in chizon ko sirf chhune bhar se itni khushi milti hai, to unki sundarta dekhkar to mera man mugdh hi ho jayega. parantu, jin logon ki ankhen hain, ve sachmuch bahut kam dekhte hain. is duniya ke alag alag sundar rang unki sanvedna ko nahin chhute. manushya apni kshamtaon ki kabhi qadar nahin karta. wo hamesha us cheez ki aas lagaye rahta hai jo uske paas nahin hai.
ye kitne dukh ki baat hai ki drishti ke ashirvad ko log ek sadharan si cheez samajhte hain, jabki is niyamat se zindagi ko khushiyon ke indradhanushi rangon se hara bhara kiya ja sakta hai.

हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।