लोकप्रिय साहित्य को लुगदी साहित्य कहना ठीक नहीं है क्योंकि साहित्य के नाम जो कुछ परोसा जा रहा है, उसमें से बहुत कुछ ऐसा है जो लुगदी की तुलना में बहुत ही ख़राब और बेहद गिरा हुआ है। लोकप्रियता अगर किसी चीज़ के अच्छे होने का प्रमाण नहीं है तो लोकप्रिय होते ही कोई चीज़ ख़राब नहीं हो जाती है। मैं अपनी बात करूँ तो मैंने छठी, सातवीं और आठवीं कक्षा की गर्मी की छुट्टियों में शरतचंद्र की ‘गृहदाह’, ‘शेष प्रश्न’, ‘चरित्रहीन’, ‘देवदास’ आदि पढ़ी। रवींद्रनाथ की ‘गोरा’, रांघेय राघव की ‘कब तक पुकारूँ?’ गुलशन नंदा की ‘मैं अकेली’, ‘काली घटा’, ‘माधवी’, ‘घाट का पत्थर’, ‘पत्थर के होंठ’ आदि पढ़ डाली। कक्षा नौ में मैंने गुलशन नंदा की ‘कलंकिनी’ पढ़ी। मैं अब जब गुलशन नंदा के लेखन का मूल्यांकन करूँ तो मुझे उनका लेखन ‘लाइट रीडिंग’ लगता है।लाइट रीडिंग से मेरा आशय भावनात्मक विषयों से है। ये साहित्य हल्के मनोभाव से पढ़े जाते हैं लेकिन असर लंबे समय तक पड़ता है। ये साहित्य किशोरावस्था से युवावस्था में प्रवेश करने की उम्र में पढ़े जाते हैं। इससे भावनात्मक मनोभूमि का निर्माण होता है।
शरतचंद्र की ‘गृहदाह’ और ‘चरित्रहीन’ में जो पात्र हैं, उनके उपन्यास में जो घर और पारिवारिक परिवेश दर्शाए गए हैं, वे यथार्थ जीवन से आते हैं। वहीं गुलशन नंदा ने अपने उपन्यासों में यथार्थ दिखाने की जगह आदर्श व भावनात्मक मूल्यों को दिखाने की कोशिश की। वे इन्हें मोहब्बत की दास्तान कहते हैं। मोहब्बत की दास्तान कहना भी उतना ही ज़रूरी है जितना यथार्थ की कहानी। जीवन के लिए दाल-रोटी कमाना और हल जोतना ही सिर्फ़ ज़रूरी नहीं है। जीवन को प्रेम की, भावना की भी बहुत ज़रूरत है। मेरे कहने का मतलब यह है कि जीवन का यथार्थ या जीवन से जुड़ी भावना केवल गंभीर साहित्य में है, वहाँ नहीं है ऐसा कहना ठीक नहीं।
मैंने लाइट रीडिंग की बात की है। मोहब्बत में पड़ गए। एक-दूसरे के लिए जीने-मरने लगे, ऐसी बातों के बग़ैर जीवन नहीं ठहरता लेकिन यह उदात्त है। ऐसी भावनागत बातें हमें दूसरी दुनिया में जीना सिखाता है। आज साहित्य के नाम पर बहुत अश्लील लिखा जा रहा है। 30-40 साल पहले गुलशन नंदा का उपन्यास ‘कलंकिनी’ आया था। यह इनसेस्ट (कुटुंब व्यभिचार) की कहानी है। यह चाचा द्वारा एक भतीजी को प्रताड़ित करने की कहानी है। उनकी ‘काली घटा’ में एयर होस्टेज की कहानी है। 1970-80 के दशक के जटिल मुद्दे उनके उपन्यासों के विषय बनाए गए। उन मुद्दों को वे प्रेम कहानियों के जरिए पाठकों तक पहुँचाते थे। उनके उपन्यासों के कथानकों का मूल्यांकन प्रेम कथानकों की तरह होना चाहिए। मुझे दुख है कि वे आज पूरी तरह से भुला दिए गए हैं। उनके उपन्यास बाज़ार में अब मिलते ही नहीं। यह भी दुखद है कि अश्लील साहित्य के बारे में बात करते हुए अक्सर गुलशन नंदा को मुहावरों की तरह इस्तेमाल में लाया जाता है। मैं ज़ोर देकर कहना चाहूँगी कि गुलशन नंदा का साहित्य कहीं से भी अश्लील नहीं है। मैंने उन्हें छोटी उम्र में पढ़ा और मेरा मानना है कि छोटी उम्र में अश्लील बातों को लेकर ज़्यादा दिक़्क़त महसूस होती है। मैं जब गुलशन नंदा को पढ़ रही थी तब प्रेमचंद और शरतचंद को भी पढ़ रही थी और मुझे उनकी रचनाओं में कहीं भी अश्लीलता नज़र नहीं आई। गुलशन नंदा के उपन्यासों के पात्र करोड़पति नहीं थे। वे सामान्य जीवन के ही किरदार थे। उनके कथानकों में विधवा विवाह, बाल विवाह, नशाख़ोरी जैसे सवालों को शामिल किया गया। कोई किशोरवय जब युवावस्था में प्रवेश कर रहा होता है तब उसे इस तरह की साहित्य की दरकार होती है। ऐसा साहित्य इस उम्र में उदात्त प्रवृत्तियों की ओर प्रवृत्त करता है।
हिंद पॉकेट बुक्स उन दिनों घरेलू लाइब्रेरी योजना चलाती थी जिसके अंतर्गत सोलह रुपए में हर महीने छह किताबें पढ़ने को मिलती थीं। मैंने इस योजना के अंतर्गत बहुत सारी किताबें पढ़ीं। अब इस तरह की कोई योजना नहीं चलाई जाती है। शिवानी हमारी प्रिय लेखिका हैं जिनकी हमने ‘कृष्णकली’, ‘शमशान चंपा’, ‘चौदह फेरे’, ‘भैरवी’ आदि पढ़ी हैं। वे जाति धर्म के राजनीतिक प्रश्न नहीं उठाती हैं तो क्या? मगर उन्होंने हमारा सिर्फ़ हिंदी भाषा से परिचय कराया उसकी तुलना बाणभट्ट की कादंबरी से की जा सकती है। संस्कृतनिष्ठ भाषा के बावजूद आमजन उनकी किताबें बुक स्टाल से ख़रीदकर पढ़ता रहा। मूल प्रश्न यह है कि क्या अच्छा साहित्य है क्या लुगदी, इसका निर्णय कौन करेगा? साहित्य वही है जो पाठक के दिल में बसे। साहित्य के नाम पर ‘हंस’ या और दूसरी पत्रिकाओं में प्रेम के नाम पर कहानियाँ छापी गई हैं, वे मोहब्बत से दूर, पूरी तरह वीभत्सता का नमूना हैं। इस तरह की वीभत्स कहानियों को इसलिए कहानियों का दर्जा मिल जाता है क्योंकि वे हंस या ऐसी ही किसी साहित्यिक पत्रिकाओं में छप जाती हैं। यह बिल्कुल ग़लत धारणा है कि जो रचना साहित्यिक पत्रिका में छप गई और लोकप्रिय नहीं हुई, इसलिए अच्छी हैं। और कोई दूसरी रचना साहित्यिक पत्रिकाओं में नहीं छपी और पॉकेट बुक्स में छपकर लोकप्रिय हो गईं, इसलिए साहित्य नहीं, लुगदी है।
(स्वतंत्र मिश्र से बातचीत पर आधारित)
lokapriy sahity ko lugdi sahity kahna theek nahin hai kyonki sahity ke naam jo kuch parosa ja raha hai, usmen se bahut kuch aisa hai jo lugdi ki tulna mein bahut hi kharab aur behad gira hua hai. lokapriyta agar kisi cheez ke achchhe hone ka praman nahin hai to lokapriy hote hi koi cheez kharab nahin ho jati hai. main apni baat karun to mainne chhathi, satvin aur athvin kaksha ki garmi ki chhuttiyon mein sharatchandr ki ‘grihadah’, ‘shesh parashn’, ‘charitrahin’, ‘devdas’ aadi paDhi. ravindrnath ki ‘gora’, ranghey raghav ki ‘kab tak pukarun?’ gulshan nanda ki ‘main akeli’, ‘kali ghata’, ‘madhavi’, ‘ghaat ka patthar’, ‘patthar ke honth’ aadi paDh Dali. kaksha nau mein mainne gulshan nanda ki ‘kalankini’ paDhi. main ab jab gulshan nanda ke lekhan ka mulyankan karun to mujhe unka lekhan ‘lait riDing’ lagta hai. lait reading se mera ashay bhavanatmak vishyon se hai. ye sahity halke manobhav se paDhe jate hain lekin asar lambe samay tak paDta hai. ye sahity kishoravastha se yuvavastha mein pravesh karne ki umr mein paDhe jate hain. isse bhavanatmak manobhumi ka nirman hota hai.
sharatchandr ki ‘grihadah’ aur ‘charitrahin’ mein jo paatr hain, unke upanyas mein jo ghar aur parivarik parivesh darshaye gaye hain, ve yatharth jivan se aate hain. vahin gulshan nanda ne apne upanyason mein yatharth dikhane ki jagah adarsh va bhavanatmak mulyon ko dikhane ki koshish ki. ve inhen mohabbat ki dastan kahte hain. mohabbat ki dastan kahna bhi utna hi zaruri hai jitna yatharth ki kahani. jivan ke liye daal roti kamana aur hal jotna hi sirf zaruri nahin hai. jivan ko prem ki, bhavna ki bhi bahut zarurat hai. mere kahne ka matlab ye hai ki jivan ka yatharth ya jivan se juDi bhavna keval gambhir sahity mein hai, vahan nahin hai aisa kahna theek nahin.
mainne lait reading ki baat ki hai. mohabbat mein paD gaye. ek dusre ke liye jine marne lage, aisi baton ke baghair jivan nahin thaharta lekin ye udaatt hai. aisi bhavnagat baten hamein dusri duniya mein jina sikhata hai. aaj sahity ke naam par bahut ashlil likha ja raha hai. 30 40 saal pahle gulshan nanda ka upanyas ‘kalankini’ aaya tha. ye insest (kutumb vyabhichar) ki kahani hai. ye chacha dvara ek bhatiji ko prataDit karne ki kahani hai. unki ‘kali ghata’ mein air hostej ki kahani hai. 1970 80 ke dashak ke jatil mudde unke upanyason ke vishay banaye gaye. un muddon ko ve prem kahaniyon ke jariye pathkon tak pahunchate the. unke upanyason ke kathankon ka mulyankan prem kathankon ki tarah hona chahiye. mujhe dukh hai ki ve aaj puri tarah se bhula diye gaye hain. unke upanyas bazar mein ab milte hi nahin. ye bhi dukhad hai ki ashlil sahity ke bare mein baat karte hue aksar gulshan nanda ko muhavaron ki tarah istemal mein laya jata hai. main zor dekar kahna chahungi ki gulshan nanda ka sahity kahin se bhi ashlil nahin hai. mainne unhen chhoti umr mein paDha aur mera manna hai ki chhoti umr mein ashlil baton ko lekar zyada diqqat mahsus hoti hai. main jab gulshan nanda ko paDh rahi thi tab premchand aur sharatchand ko bhi paDh rahi thi aur mujhe unki rachnaon mein kahin bhi ashlilata nazar nahin i. gulshan nanda ke upanyason ke paatr karoDapati nahin the. ve samany jivan ke hi kirdar the. unke kathankon mein vidhva vivah, baal vivah, nashakhori jaise savalon ko shamil kiya gaya. koi kishorvay jab yuvavastha mein pravesh kar raha hota hai tab use is tarah ki sahity ki darkar hoti hai. aisa sahity is umr mein udaatt prvrittiyon ki or pravrtt karta hai.
hind pocket buks un dinon gharelu library yojna chalati thi jiske antargat solah rupae mein har mahine chhah kitaben paDhne ko milti theen. mainne is yojna ke antargat bahut sari kitaben paDhin. ab is tarah ki koi yojna nahin chalai jati hai. shivani hamari priy lekhika hain jinki hamne ‘krishnakli’, ‘shamshan champa’, ‘chaudah phere’, ‘bhairavi’ aadi paDhi hain. ve jati dharm ke rajnitik parashn nahin uthati hain to kyaa? magar unhonne hamara sirf hindi bhasha se parichai karaya uski tulna banbhatt ki kadambri se ki ja sakti hai. sanskritnishth bhasha ke bavjud amjan unki kitaben buk stall se kharidkar paDhta raha. mool parashn ye hai ki kya achchha sahity hai kya lugdi, iska nirnay kaun karega? sahity vahi hai jo pathak ke dil mein base. sahity ke naam par ‘hans’ ya aur dusri patrikaon mein prem ke naam par kahaniyan chhapi gai hain, ve mohabbat se door, puri tarah vibhatsta ka namuna hain. is tarah ki vibhats kahaniyon ko isliye kahaniyon ka darja mil jata hai kyonki ve hans ya aisi hi kisi sahityik patrikaon mein chhap jati hain. ye bilkul ghalat dharanaa hai ki jo rachna sahityik patrika mein chhap gai aur lokapriy nahin hui, isliye achchhi hain. aur koi dusri rachna sahityik patrikaon mein nahin chhapi aur pocket buks mein chhapkar lokapriy ho gain, isliye sahity nahin, lugdi hai.
(svtantr mishr se batachit par adharit)

हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।