दिन के दुख अलग थे
रात के अलग
दिन में उन्हें
छिपाना पड़ता था
रात में उनसे छिपना
बाढ़ की तरह
अचानक आ जाते वे
पूनम हो या अमावस
उसके बाद सिर्फ़
एर ढेर कूड़े का
किनारे पर
अनलिखी मैली पर्ची
देहरी पर
उसी से पता चलता
आज आए थे वे
ख़ुशी होती
बच गए बाल-बाल आज
रातों के दुख मगर
अलग थे
बचना उनसे आसान था
उन्हें सब पता था
भाग कर कहाँ जाएगा
जाएगा भी तो
यहीं मिलेगा
बिस्तर पर
सोया हुआ शिकार
न कहीं दलदल
न धँसती जाती कोई आवाज़
नींद में
पता भी न चलता
किसने खींच लिया पाताल में
सोया पैर
कौन कुचल गया
सोया हुआ दिल
दुख जो कोंचते थे
दिन में
वे रात में नहीं
जो रात को रुलाते
वे दिन में नहीं
इस तरह लगती थी घात
दिन रात
सीने पर
ढीला होता था
जबड़ा
पीड़ा में अकड़ा
दिन गया नहीं
कि आ जाती थी रात
din ke dukh alag the
raat ke alag
din mein unhen
chhipana paDta tha
raat mein unse chhipna
baDh ki tarah
achanak aa jate we
punam ho ya amawas
uske baad sirf
er Dher kuDe ka
kinare par
analikhi maili parchi
dehri par
usi se pata chalta
aj aaye the we
khushi hoti
bach gaye baal baal aaj
raton ke dukh magar
alag the
bachna unse asan tha
unhen sab pata tha
bhag kar kahan jayega
jayega bhi to
yahin milega
bistar par
soya hua shikar
na kahin daldal
na dhansti jati koi awaz
neend mein
pata bhi na chalta
kisne kheench liya patal mein
soya pair
kaun kuchal gaya
soya hua dil
dukh jo konchte the
din mein
we raat mein nahin
jo raat ko rulate
we din mein nahin
is tarah lagti thi ghat
din raat
sine par
Dhila hota tha
jabDa
piDa mein akDa
din gaya nahin
ki aa jati thi raat
din ke dukh alag the
raat ke alag
din mein unhen
chhipana paDta tha
raat mein unse chhipna
baDh ki tarah
achanak aa jate we
punam ho ya amawas
uske baad sirf
er Dher kuDe ka
kinare par
analikhi maili parchi
dehri par
usi se pata chalta
aj aaye the we
khushi hoti
bach gaye baal baal aaj
raton ke dukh magar
alag the
bachna unse asan tha
unhen sab pata tha
bhag kar kahan jayega
jayega bhi to
yahin milega
bistar par
soya hua shikar
na kahin daldal
na dhansti jati koi awaz
neend mein
pata bhi na chalta
kisne kheench liya patal mein
soya pair
kaun kuchal gaya
soya hua dil
dukh jo konchte the
din mein
we raat mein nahin
jo raat ko rulate
we din mein nahin
is tarah lagti thi ghat
din raat
sine par
Dhila hota tha
jabDa
piDa mein akDa
din gaya nahin
ki aa jati thi raat
Videos This video is playing from YouTube
गगन गिल
स्रोत :
पुस्तक : मैं जब तक आई बाहर (पृष्ठ 50)
रचनाकार : गगन गिल
प्रकाशन : वाणी प्रकाशन
संस्करण : 2018
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.