मैं झाँक रहा हूँ उसमें
जिसमें मेरे डूबने की शुरुआत हो चुकी है,
पंखों-सी तेज़ रफ़्तार से
मैं तलछट की ओर बढ़ रहा हूँ,
और लहरें मुझे निर्वात की तरह खींच रही हैं,
पर मेरा मेरी ओर झाँकना जारी है।
झुकती जा रही है मेरी रीढ़हीन पीठ
और दो अंगुल रह गई है दूरी मेरे भी डूब जाने में
मेरे ही साथ,
पर जिज्ञासा भरी मेरी आँखों और
सहारे को छटपटाती मेरी उँगलियों के बीच
अब भी जल पारिस्थितिकी की भरी-पूरी दीवार है,
जिसकी निरंतरता में से होकर
कभी नहीं बन पाएगा मुझे डुबाने
या मुझे बचाने का कैसा भी रास्ता!
जालों, अस्थियों, लावारिस लाशों इत्यादि के स्पर्श समेटे,
इन सबका विष अपनी धमनियों में भरे जब मैं
समा जाना चाहूँगा किसी अज्ञात, असीम, जलचर के अथाह पेट में,
तब मेरी जाती चेतना को उसकी अनुपस्थिति का आभास होगा,
और तब मेरे अभियोगी मुँह से ही निकलेगी प्रकृति के शाप की पहली ध्वनि,
सभ्यता के परिहार की कातर प्रार्थना,
और पश्चाताप की मूक चीत्कारें
जो किसी प्लास्टिक की फड़फड़ाहट में सहज ही विलीन हो जाएँगी।
पर मैं झाँकता रहूँगा अपनी दुर्दशा की ओर।
मेरे डूब जाने की कोई विशेष भूमिका नहीं बनाई जाएगी,
नहीं मिटेगी मेरे और मेरे बीच वो दो अंगुल की दूरी,
नहीं विलय होगा एक डूबने वाले के लिए जल पारिस्थितिकी के सर्वस्व का,
तरंगों के निर्वात में नहीं समा पाएगी पवन,
और नहीं दिखेगा मेरे होने से न हो जाने का कोई भी निशान।
अपने रक्त, मवाद, विष्ठा, अस्थि, मांस, प्लास्टिक का एक अंश भी छोड़े बिना,
मैं वैसे डूबूँगा कि मेरे झाँकने में नहीं आ पाएगा अवरोध,
तलछट नहीं वापस उगल पाएगा मेरा विषपूर्ण अस्तित्व,
जो शायद ढलते भादों की बाढ़ में,
किसी के धँसते पैरों का आधार मात्र बनकर रह जाएगा
और यह सब होगा यदि मेरे डूबने और झाँकने के बीच कोई नहीं आएगा—
न जल, न तरंगें, न मैं, न तुम
क्योंकि एक और स्पर्श से बिगड़ जाएगा ये महीन समीकरण,
मैं झाँकना छोड़कर डूब जाऊँगा
मिट जाएगी आवश्यक अस्पृश्यता की दो अंगुल दूरी,
और तरंगों के धक्के से बिगड़े प्रतिबिंब की तरह मुझे देख,
नदी नहीं झेल पाएगी मेरा भयावहता,
और फिर मुझ डूबते की ओर किसी का भी झाँकना अकल्पनीय होगा।
main jhaank raha hoon usmen
jismen mere Dubne ki shuruat ho chuki hai,
pankhon si tez raftar se
main talchhat ki or baDh raha hoon,
aur lahren mujhe nirvat ki tarah kheench rahi hain,
par mera meri or jhankna jari hai.
jhukti ja rahi hai meri riDhhin peeth
aur do angul rah gai hai duri mere bhi Doob jane men
mere hi saath,
par jigyasa bhari meri ankhon aur
sahare ko chhatpatati meri ungliyon ke beech
ab bhi jal paristhitiki ki bhari puri divar hai,
jiski nirantarta mein se hokar
kabhi nahin ban payega mujhe Dubane
ya mujhe bachane ka kaisa bhi rasta!
jalon, asthiyon, lavaris lashon ityadi ke sparsh samete,
in sabka vish apni dhamaniyon mein bhare jab main
sama jana chahunga kisi agyat, asim, jalchar ke athah pet mein,
tab meri jati chetna ko uski anupasthiti ka abhas hoga,
aur tab mere abhiyogi munh se hi niklegi prkriti ke shaap ki pahli dhvani,
sabhyata ke parihar ki katar pararthna,
aur pashchatap ki mook chitkaren
jo kisi plastik ki phaDphaDahat mein sahj hi vilin ho jayengi.
par main jhankta rahunga apni durdasha ki or.
mere Doob jane ki koi vishesh bhumika nahin banai jayegi,
nahin mitegi mere aur mere beech wo do angul ki duri,
nahin vilay hoga ek Dubne vale ke liye jal paristhitiki ke sarvasv ka,
tarangon ke nirvat mein nahin sama payegi pavan,
aur nahin dikhega mere hone se na ho jane ka koi bhi nishan.
apne rakt, mavad, vishtha, asthi, maans, plastik ka ek ansh bhi chhoDe bina,
main vaise Dubunga ki mere jhankne mein nahin aa payega avrodh,
talchhat nahin vapas ugal payega mera vishpurn astitv,
jo shayad Dhalte bhadon ki baaDh mein,
kisi ke dhanste pairon ka adhar maatr bankar rah jayega
aur ye sab hoga yadi mere Dubne aur jhankne ke beech koi nahin ayega—
na jal, na tarangen, na main, na tum
kyonki ek aur sparsh se bigaD jayega ye mahin samikran,
main jhankna chhoDkar Doob jaunga
mit jayegi avashyak asprishyata ki do angul duri,
aur tarangon ke dhakke se bigDe pratibimb ki tarah mujhe dekh,
nadi nahin jhel payegi mera bhayavahta,
aur phir mujh Dubte ki or kisi ka bhi jhankna akalpaniy hoga.

स्रोत :
रचनाकार : शाम्भवी तिवारी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.