चाहा नहीं था, ऐसे याद रहो तुम
जहाँ भी रहो
एक बसंत जैसा प्रेम
और वैशाख जैसी उसकी कठोर कहानी।
विच्छेद से और भी व्यथामय
प्रणय में कपटता
मेरी अनकही सुबकियाँ जैसी
ऋतु भरे बारिश की बूँदें
काशवन के भीतर कणसमान
आँसू बन गए
पानी की घनी धार
न जाने कब
एक-एक बालीगरड़ा कंकर
जैसी घनीभूत स्मृतियाँ
तुम्हारे आलिंगन की मादकता की
अभिनय की
तिक्त अवांछित जितने सारे उपहार...
समय आता है
और रख जाता है
एक वास्तव क्षण
जब परख लेने को बाध्य होती है आत्मा
आत्मा के साथ सँजोग सब—
सँजोग नहीं तो और क्या
प्रलोभन सब इन्द्रियों की बातें
समय के नियंत्रण
प्रतिकूल पलों में दम्भ रखने का जो सामर्थ्य
हृदय सँभाल पाए?
इसलिए हृदय सभी के लिए नहीं
तुम मस्तिष्क का खेल खेल गए
मैं मस्तिष्क की दृढ़ता में खड़ी रही
हृदय भंग की कथा
कोई नहीं जानता
हृदय अभी भी रोता है
अभी भी शिथिल लगता है
वही अभूला अवसाद में
अभी भी लहू पानी होता है
पानी आँसू पोंछकर बह जाता है
माटी की अपहंच गहनता को
तुम्हारी और मेरी कुछ सुखमय स्मृतियाँ
अब भी कातर करती हैं।
chaha nahin tha, aise yaad raho tum
jahan bhi raho
ek basant jaisa prem
aur waishakh jaisi uski kathor kahani
wichchhed se aur bhi wythamay
pranay mein kapatta
meri anakhi subkiyan jaisi
ritu bhare barish ki bunden
kashwan ke bhitar kanasman
ansu ban gaye
pani ki ghani dhaar
na jane kab
ek ek baligarDa kankar
jaisi ghanibhut smritiyan
tumhare alingan ki madakta ki
abhinay ki
tikt awanchhit jitne sare uphaar
samay aata hai
aur rakh jata hai
ek wastaw kshan
jab parakh lene ko baadhy hoti hai aatma
atma ke sath sanjog sab—
sanjog nahin to aur kya
pralobhan sab indriyon ki baten
samay ke niyantran
pratikul palon mein dambh rakhne ka jo samarthy
hirdai sanbhal pae?
isliye hirdai sabhi ke liye nahin
tum mastishk ka khel khel gaye
main mastishk ki driDhta mein khaDi rahi
hirdai bhang ki katha
koi nahin janta
hirdai abhi bhi rota hai
abhi bhi shithil lagta hai
wahi abhula awsad mein
abhi bhi lahu pani hota hai
pani ansu ponchhkar bah jata hai
mati ki aphanch gahanta ko
tumhari aur meri kuch sukhmay smritiyan
ab bhi katar karti hain
chaha nahin tha, aise yaad raho tum
jahan bhi raho
ek basant jaisa prem
aur waishakh jaisi uski kathor kahani
wichchhed se aur bhi wythamay
pranay mein kapatta
meri anakhi subkiyan jaisi
ritu bhare barish ki bunden
kashwan ke bhitar kanasman
ansu ban gaye
pani ki ghani dhaar
na jane kab
ek ek baligarDa kankar
jaisi ghanibhut smritiyan
tumhare alingan ki madakta ki
abhinay ki
tikt awanchhit jitne sare uphaar
samay aata hai
aur rakh jata hai
ek wastaw kshan
jab parakh lene ko baadhy hoti hai aatma
atma ke sath sanjog sab—
sanjog nahin to aur kya
pralobhan sab indriyon ki baten
samay ke niyantran
pratikul palon mein dambh rakhne ka jo samarthy
hirdai sanbhal pae?
isliye hirdai sabhi ke liye nahin
tum mastishk ka khel khel gaye
main mastishk ki driDhta mein khaDi rahi
hirdai bhang ki katha
koi nahin janta
hirdai abhi bhi rota hai
abhi bhi shithil lagta hai
wahi abhula awsad mein
abhi bhi lahu pani hota hai
pani ansu ponchhkar bah jata hai
mati ki aphanch gahanta ko
tumhari aur meri kuch sukhmay smritiyan
ab bhi katar karti hain
स्रोत :
पुस्तक : रहो तुम नक्षत्र की तरह (पृष्ठ 122)
रचनाकार : मोनालिसा जेना
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2018
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.