ye jo khel hai ismen hamdardi, halimi to hain magar dushvari, bagavat
jabr bhi ismen ye is tarah ka virodhabhas kyoon hain. ?
jab upar chaDhne ko siDhiyan hain to phir qadam qadam pe ye saanp kyoon hain?
jab sach aur mohabbat hi hain iske usul to phir zamana itna phek kyoon hain?
magar har taraf to nahin hain nafrat har taraf to ye aag ke shole nahin
phir ye chand log nek kyoon hain, jab khel banaya hain usulon se
iske hain kuch kanun kuch kayde phir ismen ye doglepan ki mistek kyoon hain?
ye jo khel hain, ye shatranj se bhi hain jahin, hain mushkil, shatranj ke hain kuch kayde
hain badashah, pyade, vajir ke mayne magar ismen to
saanp chhota baDa, apna paraya Dasta harek kyoon hain
shatranj ke phir bhi mani hain aise ki jiske daanv
chale ho sar ba sar jo ho jeet ke bilkul paas, bilkul qarib
thoDi der mein hi bhale magar jitta hain zarur,
par ismen to manjil ke qarib ja ke bhi jehr ka sek kyoon hain?
main tuta phuta karke kuch honsla chala tha ‘ek’ se ‘sau’ ki taraf
aai mushkilen, dushvariyan, kuch lagan, kuch himmat karke kiya bahut se sanpon ko paar
socha tha aage ka rasta hain asan, rafta rafta tha manjil ke qarib
pahuncha ‘99’ par magar vapis jo gira hoon to phir ‘ek’ kyoon hain?
ismen baki sab phek to chand log nek kyoon hain?
ismen ye is tarah ka virodhabhas kyoon hain?
jab uupar chaDhne ko siDhiyan hain to phir qadam qadam pe ye saanp kyoon hain?