महुये के नीचे कंडे पाथते हुए
तेलिन बाँटती रहती जड़ों से अपने दुख
गाय-गोरु से लेकर घर-दुआर की चिंता
वह कंडे पाथती तो लगता
जैसे ईश्वर पाथ रहा हो मनुष्यों को
सभ्यता की दीवार पर
जैसे ईश्वर गूँथता
धरती, वायु, जल, अग्नि, व्योम
वह भी गूँथती
घास-फूस, गोबर, पानी, मिट्टी
बनाती कोई शरीर और छोड़ देती पकने को
इधर मनुष्य पकता और सभ्यता को
उर्वर बनाने में जुत जाता
उधर कंडे भी जुत जाते चूल्हे में
नाती की भूख में
अगहन बैसाख में
नातिन के गौन में
मृत्यु में मौन में
सब जगह काम आते कंडे
गाँव वाले कहते टोना जानती है तेलिन
किसी को घूरती है और फूँक देती है मंतर
किसी के पास से निकलते हुए पूछ लेती है कोई सवाल
‘कहाँ जात हयु बहिनी’
‘लइकवा कइसन बाटैं’
और बिगाड़ देती है काम
कर देती है किसी फ़सल की तारीफ़
तो खड़े-खड़े सूख जाती हैं बालियाँ
गाय छूती है तो बियाने के बाद ही
मर जाती है बछिया
तेलिन कभी कुर्सी या तखत पर नहीं बैठती
किसी के घर जाती
तो बैठी रहती ओसारे के मुहाने पर
या अशोक के नीचे बैठे-बैठे ही कह लेती हाल
और यक़ीन मानिए कुछ नहीं बिगड़ता उसके आने से
ऐसा होता तो गाँव-गाँव नहीं होता
उजाड़ सन्नाटा होता
कहीं नहीं होता ईश्वर
कहीं नहीं बनते उपले
फिर भी यह वक्त ईश्वर का नहीं था
तेलिन का भी नहीं
उपलों का भी नहीं
यह मनुष्यों का समय था
और जाने किन मनुष्यों का कि
जब भी ईश्वर आता उनके घर
बैठता ओसारे के मुहाने पर ही
कभी नहीं बैठा वह तखत पर
नीचे बैठे-बैठे ही पूछ लेता हाल
और मनुष्य ईश्वर को अपदस्थ कर
उसकी जगह पर सवार
जाने किस मुँह से बताता जाता अपने दुख
चलता रहता अपनी चाल।
mahue ke niche kanDe pathte hue
telin bantti rahti jaDon se apne dukh
gaay goru se lekar ghar duar ki chinta
wo kanDe pathti to lagta
jaise iishvar paath raha ho manushyon ko
sabhyata ki divar par
jaise iishvar gunthata
dharti, vayu, jal, agni, vyom
wo bhi gunthati
ghaas phoos, gobar, pani, mitti
banati koi sharir aur chhoD deti pakne ko
idhar manushya pakta aur sabhyata ko
urvar banane mein jut jata
udhar kanDe bhi jut jate chulhe men
nati ki bhookh men
aghan baisakh men
natin ke gaun men
mrityu mein maun men
sab jagah kaam aate kanDe
gaanv vale kahte tona janti hai telin
kisi ko ghurti hai aur phoonk deti hai mantar
kisi ke paas se nikalte hue poochh leti hai koi saval
‘kahan jaat hayu bahini’
‘laikva kaisan batain’
aur bigaD deti hai kaam
kar deti hai kisi fasal ki tarif
to khaDe khaDe sookh jati hain baliyan
gaay chhuti hai to biyane ke baad hi
mar jati hai bachhiya
telin kabhi kursi ya takhat par nahin baithti
kisi ke ghar jati
to baithi rahti osare ke muhane par
ya ashok ke niche baithe baithe hi kah leti haal
aur yaqin maniye kuch nahin bigaDta uske aane se
aisa hota to gaanv gaanv nahin hota
ujaaD sannata hota
kahin nahin hota iishvar
kahin nahin bante uple
phir bhi ye vakt iishvar ka nahin tha
telin ka bhi nahin
uplon ka bhi nahin
ye manushyon ka samay tha
aur jane kin manushyon ka ki
jab bhi iishvar aata unke ghar
baithta osare ke muhane par hi
kabhi nahin baitha wo takhat par
niche baithe baithe hi poochh leta haal
aur manushya iishvar ko apdasth kar
uski jagah par savar
jane kis munh se batata jata apne dukh
chalta rahta apni chaal.
mahue ke niche kanDe pathte hue
telin bantti rahti jaDon se apne dukh
gaay goru se lekar ghar duar ki chinta
wo kanDe pathti to lagta
jaise iishvar paath raha ho manushyon ko
sabhyata ki divar par
jaise iishvar gunthata
dharti, vayu, jal, agni, vyom
wo bhi gunthati
ghaas phoos, gobar, pani, mitti
banati koi sharir aur chhoD deti pakne ko
idhar manushya pakta aur sabhyata ko
urvar banane mein jut jata
udhar kanDe bhi jut jate chulhe men
nati ki bhookh men
aghan baisakh men
natin ke gaun men
mrityu mein maun men
sab jagah kaam aate kanDe
gaanv vale kahte tona janti hai telin
kisi ko ghurti hai aur phoonk deti hai mantar
kisi ke paas se nikalte hue poochh leti hai koi saval
‘kahan jaat hayu bahini’
‘laikva kaisan batain’
aur bigaD deti hai kaam
kar deti hai kisi fasal ki tarif
to khaDe khaDe sookh jati hain baliyan
gaay chhuti hai to biyane ke baad hi
mar jati hai bachhiya
telin kabhi kursi ya takhat par nahin baithti
kisi ke ghar jati
to baithi rahti osare ke muhane par
ya ashok ke niche baithe baithe hi kah leti haal
aur yaqin maniye kuch nahin bigaDta uske aane se
aisa hota to gaanv gaanv nahin hota
ujaaD sannata hota
kahin nahin hota iishvar
kahin nahin bante uple
phir bhi ye vakt iishvar ka nahin tha
telin ka bhi nahin
uplon ka bhi nahin
ye manushyon ka samay tha
aur jane kin manushyon ka ki
jab bhi iishvar aata unke ghar
baithta osare ke muhane par hi
kabhi nahin baitha wo takhat par
niche baithe baithe hi poochh leta haal
aur manushya iishvar ko apdasth kar
uski jagah par savar
jane kis munh se batata jata apne dukh
chalta rahta apni chaal.
स्रोत :
रचनाकार : शिवम चौबे
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.