मैं एक मिथक हूँ सखि
मुझे जानना उपनिषदों में गहरे उतरना है
आसान होता है किसी धर्म को उसकी स्थूलता में पकड़ना
अपनी आस्थाओं का विज्ञापन करना
इसे दर्शन
यह मानोगी तो गहरे उतरोगी
मैं एक भ्रम हूँ सखि
मुझे छूना मृगमरीचिका है
कितना भागोगी मेरे पीछे, निर्मल नद की चाह में
बहुत कठिन है, छायाओं के आर-पार उतरना
प्रेम है मेरा धर्म
जितना जानोगी उलझ जाओगी
मैं एक आहट हूँ आगत की
मेरे सिरहाने दर्शन है, पैताने कला
एन वक्ष पर कौस्तुभमणि-सा सजा प्रेम है
वारुणी की हल्की हिलोर है तुम्हारा असमंजस
सुनोगी तो मान पाओगी
सखि, मैं प्रतिच्छाया नहीं तुम्हारी
मैं स्वयं संपूर्ण हूँ,
सूर्य अग्नि पुष्प बन मेरे अलकपाश में गुँथा है
चाँद कंगन में सजता है
समुद्र मेरी राह तकते हैं,
पर्वत ऊँघते हैं प्रतीक्षा में मेरी
मिलोगी तो जान जाओगी
मत खेलो खेल सखि
मैं जीतने के लिए नहीं हारने के लिए खेलती हूँ
मत बिछाओ बिसात बातों की
मेरे शब्द जब पां से बनते हैं, लोग अर्थ हार जाते हैं
खेलोगी तो जीत कर भी हार जाओगी।
main ek mithak hoon sakhi
mujhe janna upanishdon mein gahre utarna hai
asan hota hai kisi dharm ko uski sthulata mein pakaDna
apni asthaon ka wigyapan karna
ise darshan
ye manogi to gahre utrogi
main ek bhram hoon sakhi
mujhe chhuna mrigamrichika hai
kitna bhagogi mere pichhe, nirmal nad ki chah mein
bahut kathin hai, chhayaon ke aar par utarna
prem hai mera dharm
jitna janogi ulajh jaogi
main ek aahat hoon aagat ki
mere sirhane darshan hai, paitane kala
en waksh par kaustubhamani sa saja prem hai
warunai ki halki hilor hai tumhara asmanjas
sunogi to man paogi
sakhi, main pratichchhaya nahin tumhari
main swayan sampurn hoon,
surya agni pushp ban mere alakpash mein guntha hai
chand kangan mein sajta hai
samudr meri rah takte hain,
parwat unghte hain pratiksha mein meri
milogi to jaan jaogi
mat khelo khel sakhi
main jitne ke liye nahin harne ke liye khelti hoon
mat bichhao bisat baton ki
mere shabd jab pan se bante hain, log arth haar jate hain
khelogi to jeet kar bhi haar jaogi
main ek mithak hoon sakhi
mujhe janna upanishdon mein gahre utarna hai
asan hota hai kisi dharm ko uski sthulata mein pakaDna
apni asthaon ka wigyapan karna
ise darshan
ye manogi to gahre utrogi
main ek bhram hoon sakhi
mujhe chhuna mrigamrichika hai
kitna bhagogi mere pichhe, nirmal nad ki chah mein
bahut kathin hai, chhayaon ke aar par utarna
prem hai mera dharm
jitna janogi ulajh jaogi
main ek aahat hoon aagat ki
mere sirhane darshan hai, paitane kala
en waksh par kaustubhamani sa saja prem hai
warunai ki halki hilor hai tumhara asmanjas
sunogi to man paogi
sakhi, main pratichchhaya nahin tumhari
main swayan sampurn hoon,
surya agni pushp ban mere alakpash mein guntha hai
chand kangan mein sajta hai
samudr meri rah takte hain,
parwat unghte hain pratiksha mein meri
milogi to jaan jaogi
mat khelo khel sakhi
main jitne ke liye nahin harne ke liye khelti hoon
mat bichhao bisat baton ki
mere shabd jab pan se bante hain, log arth haar jate hain
khelogi to jeet kar bhi haar jaogi
स्रोत :
रचनाकार : मनीषा कुलश्रेष्ठ
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.