सूर्यास्त के रंग की दयानदी
कभी-कभी बुलाती है मुझे
प्राचीन पुल पर पाँव रखना
सिहरित कर देता है।
दो हज़ार वर्षों की अंतर्दाह
अभी भी खड़ी होती है
धौली की सफ़ेद चट्टानों पर।
सब जानते हुए भी
नहीं पढ़ा जाने वाला धर्म का शिलालेख
शून्यता का अंतहीन हाहाकार
कोई नहीं सुनता
दयानदी के तल में बहती है
किस की समाधि?
अबूझ, सुबकती कराहती रहती है अभी भी।
जाग जाते हैं काश-फूल
हिमश्वेत पताका की शांति शोभा यात्रा जैसे
सहस्र वर्ष की मृत्यु वार्षिकी।
आत्माएँ अपेक्षा में जड़ बधिर!
अशोक का पुनर्जन्म नहीं
निरुपाय दयानदी
सफ़ेद। शोकाकुल।
कभी-कभी पुकारती है मुझे
बुद्ध मन्दिर का मंत्र प्रतिध्वनित होता है
लैलिहन* तरंगों में
अमोक्ष्य करुण-लग्न में
कारुबाकी लौटी नहीं...
* साँप की जीभ का आग जैसा रंग
suryast ke rang ki dayandi
kabhi kabhi bulati hai mujhe
prachin pul par panw rakhna
sihrit kar deta hai
do hazar warshon ki antardah
abhi bhi khaDi hoti hai
dhauli ki safed chattanon par
sab jante hue bhi
nahin paDha jane wala dharm ka shilalekh
shunyata ka anthin hahakar
koi nahin sunta
dayandi ke tal mein bahti hai
kis ki samadhi?
abujh, subakti karahti rahti hai abhi bhi
jag jate hain kash phool
himashwet pataka ki shanti shobha yatra jaise
sahasr warsh ki mirtyu warshaiki
atmayen apeksha mein jaD badhir!
ashok ka punarjanm nahin
nirupay dayandi
safed shokakul
kabhi kabhi pukarti hai mujhe
buddh mandir ka mantr prtidhwnit hota hai
lailihan* tarangon mein
amokshya karun lagn mein
karubaki lauti nahin
* sanp ki jeebh ka aag jaisa rang
suryast ke rang ki dayandi
kabhi kabhi bulati hai mujhe
prachin pul par panw rakhna
sihrit kar deta hai
do hazar warshon ki antardah
abhi bhi khaDi hoti hai
dhauli ki safed chattanon par
sab jante hue bhi
nahin paDha jane wala dharm ka shilalekh
shunyata ka anthin hahakar
koi nahin sunta
dayandi ke tal mein bahti hai
kis ki samadhi?
abujh, subakti karahti rahti hai abhi bhi
jag jate hain kash phool
himashwet pataka ki shanti shobha yatra jaise
sahasr warsh ki mirtyu warshaiki
atmayen apeksha mein jaD badhir!
ashok ka punarjanm nahin
nirupay dayandi
safed shokakul
kabhi kabhi pukarti hai mujhe
buddh mandir ka mantr prtidhwnit hota hai
lailihan* tarangon mein
amokshya karun lagn mein
karubaki lauti nahin
* sanp ki jeebh ka aag jaisa rang
स्रोत :
पुस्तक : रहो तुम नक्षत्र की तरह (पृष्ठ 48)
रचनाकार : मोनालिसा जेना
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2018
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.