निविड़ अँधेरा है।
दरवाज़ा बंद है।
डर अभी आ-जा रहा है।
भरोसे की बलि लेकर,
प्रेम आख़िरी साँसें गिन रहा है।
शोक संक्रामक हो गया है।
शोक के कुछ विषाणु
कल विश्वविद्यालय में आ गए थे
बच्चों के लहू में घुसकर
आज वे शहर भर में फैल गए हैं।
मैंने महामारी से बचने की ख़ातिर
प्रेम का वैक्सीन लगवाया था
जिसके अवयव में मौजूद था
भरोसे का प्रतिरोधी
अभी-अभी मालूम हुआ,
अनुभवहीन कंपाउंडर ने सीरिंज में चढ़ा ली थी
दवाई की ज़रूरत से अधिक मात्रा
भरोसे का अतिरिक्त एंटीबायोटिक
जला रहा था देह को अंदर से
शोक पूरी तैयारी के साथ आया था
प्रेम और यक़ीन मुँह ताक़ते रह गए थे
शहर जल चुका था
गिद्ध कलरव कर रहे थे...
अँधेरे बंद कमरे में मुझे
गिद्धों से डर लग रहा था।
niviD andhera hai.
darvaza band hai,
Dar abhi aa ja raha hai.
bharose ki bali lekar,
prem akhiri sanse gin raha hai.
shok sankramak ho gaya hai.
shok ke kuch vishanau kal vishvavidyalay mein aa gaye the
bachchon ke lahu mein ghuskar aaj ve shahr bhar mein fail gaye hain.
mainne mahamari se bachne ki khatir
prem ka vaiksin lagvaya tha
jiske avyav mein maujud tha bharose ka pratirodhi
abhi abhi malum hua,
anubhavhin compounder ne sirinj mein chaDha li thi
davai ki zarurat se adhik matra
bharose ka atirikt entibayotik
jala raha tha deh ko andar se
shok puri taiyari ke saath aaya tha,
prem aur yaqin munh taqte rah gaye the
shahr jal chuka tha,
giddh kalrav kar rahe the. . .
andhere band kamre mein mujhe giddhon se Dar lag raha tha.
niviD andhera hai.
darvaza band hai,
Dar abhi aa ja raha hai.
bharose ki bali lekar,
prem akhiri sanse gin raha hai.
shok sankramak ho gaya hai.
shok ke kuch vishanau kal vishvavidyalay mein aa gaye the
bachchon ke lahu mein ghuskar aaj ve shahr bhar mein fail gaye hain.
mainne mahamari se bachne ki khatir
prem ka vaiksin lagvaya tha
jiske avyav mein maujud tha bharose ka pratirodhi
abhi abhi malum hua,
anubhavhin compounder ne sirinj mein chaDha li thi
davai ki zarurat se adhik matra
bharose ka atirikt entibayotik
jala raha tha deh ko andar se
shok puri taiyari ke saath aaya tha,
prem aur yaqin munh taqte rah gaye the
shahr jal chuka tha,
giddh kalrav kar rahe the. . .
andhere band kamre mein mujhe giddhon se Dar lag raha tha.
स्रोत :
रचनाकार : अणुशक्ति सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.