पेड़ खड़े हैं कृतज्ञ भाव से
धूप के चेहरे पर भी है तेज
और कृतज्ञता की हरियाली
पानी दिख जाता है धरती पर हर जगह
शालीनता और कृतज्ञता की तख्ती लेकर
किसी भी रूप में ढलने के लिए
नदी बही जा रही है कृतज्ञता से
न छल है मन में—
न कपट, न चमचागिरी
उसका सरल-सुंदर रूप देखकर,
सैकड़ों जीव-जन्तु भी हैं कृतज्ञ
उसके प्रति
फल, फूल-फसलें,
सूरज, चाँद, सितारे, समुद्र, माटी
पहाड़ भी पढ़ रहे हैं कृतज्ञता के पाठ
बाकी बचा आसमान तो
वह पहले ही पढ़ चुका है कृतज्ञता के सभी अध्याय
और विचार-विमर्श
आग भी तो कृतज्ञ है
दिखती नहीं है पर होती है प्रत्येक जगह
बिलकुल हवा की तरह,
ज़िंदगी उगाने के लिए
तभी छोड़कर नहीं जाती है कभी किसी को
सुबह, दोपहर, शाम और शांत रातें
सबके हाथों में डायरी
जिसमें लिखा हुआ है— हम सब कृतज्ञ हैं
ये किनके प्रति कृतज्ञ हैं?
और किनका किससे संबंध है?
ये सब ये जानें
मैं तो बस यह कहना चाहता हूँ
कि मेरे ऊपर से दुख की चादर हटाकर
आपने जिस प्रकार मुझे छुआ—
मुझे भारी विश्वास और सुख का एहसास हुआ
बस तभी से हूँ मै—
कृतज्ञ आपका।
peD khaDe hain kritagya bhaav se
dhoop ke chehre par bhi hai tej
aur kritagyta ki hariyali
pani dikh jata hai dharti par har jagah
shalinata aur kritagyta ki takhti lekar
kisi bhi roop mein Dhalne ke liye
nadi bahi ja rahi hai kritagyta se
na chhal hai man men—
na kapat, na chamchagiri
uska saral sundar roop dekhkar,
saikDon jeev jantu bhi hain kritagya
uske prati
phal, phool phaslen,
suraj, chaand, sitare, samudr, mati
pahaD bhi paDh rahe hain kritagyta ke paath
baki bacha asman to
wo pahle hi paDh chuka hai kritagyta ke sabhi adhyay
aur vichar vimarsh
aag bhi to kritagya hai
dikhti nahin hai par hoti hai pratyek jagah
bilkul hava ki tarah,
zindagi ugane ke liye
tabhi chhoDkar nahin jati hai kabhi kisi ko
subah, dopahar, shaam aur shaant raten
sabke hathon mein Dayri
jismen likha hua hai— hum sab kritagya hain
ye kinke prati kritagya hain?
aur kinka kisse sambandh hai?
ye sab ye janen
main to bas ye kahna chahta hoon
ki mere uupar se dukh ki chadar hatakar
aapne jis prakar mujhe chhua—
mujhe bhari vishvas aur sukh ka ehsaas hua
bas tabhi se hoon mai—
kritagya aapka.
peD khaDe hain kritagya bhaav se
dhoop ke chehre par bhi hai tej
aur kritagyta ki hariyali
pani dikh jata hai dharti par har jagah
shalinata aur kritagyta ki takhti lekar
kisi bhi roop mein Dhalne ke liye
nadi bahi ja rahi hai kritagyta se
na chhal hai man men—
na kapat, na chamchagiri
uska saral sundar roop dekhkar,
saikDon jeev jantu bhi hain kritagya
uske prati
phal, phool phaslen,
suraj, chaand, sitare, samudr, mati
pahaD bhi paDh rahe hain kritagyta ke paath
baki bacha asman to
wo pahle hi paDh chuka hai kritagyta ke sabhi adhyay
aur vichar vimarsh
aag bhi to kritagya hai
dikhti nahin hai par hoti hai pratyek jagah
bilkul hava ki tarah,
zindagi ugane ke liye
tabhi chhoDkar nahin jati hai kabhi kisi ko
subah, dopahar, shaam aur shaant raten
sabke hathon mein Dayri
jismen likha hua hai— hum sab kritagya hain
ye kinke prati kritagya hain?
aur kinka kisse sambandh hai?
ye sab ye janen
main to bas ye kahna chahta hoon
ki mere uupar se dukh ki chadar hatakar
aapne jis prakar mujhe chhua—
mujhe bhari vishvas aur sukh ka ehsaas hua
bas tabhi se hoon mai—
kritagya aapka.
स्रोत :
रचनाकार : खेमकरण ‘सोमन’
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.