ठगी जाती है
जब एक नदी
तब उसके किनारों की
आबादी भी ठग ली जाती है
ठग ली जाती हैं
सरल पशुओं की आवाज़ें
ठगे रह जाते पुल
जिनसे होकर
मनुष्य आए थे धरती पर
वह सेतु
जिनके दम से टिके थे
रोटी और बेटी के संबंध
सभ्यताओं से वर्तमान तक
नदी के ठगे जाने के बाद
प्यास तक पहुँचने के
सबसे सही रास्ते ठग लिए जाते हैं
ठग ली जाती है
पंछियों की प्यास
बिजली के तारों के बहाने
नदी को ठग लिए जाने के बाद
अबोध बूढ़े गूँगे देवता भी
ख़ुद को ठगा-सा महसूस करते हैं
जो कामगारों
चरवाहों के पीछे-पीछे
चौमास की नदी तैर के
आर-पार जाया करते थे
दरअस्ल, नदी का ठगा जाना
मनुष्यता को ठग लिए जाने की
सबसे नई और बड़ी घटना है
इस दुनिया की।
thagi jati hai
jab ek nadi
tab uske kinaron ki
abadi bhi thag li jati hai
thag li jati hain
saral pashuon ki awazen
thage rah jate pul
jinse hokar
manushya aaye the dharti par
wo setu
jinke dam se tike the
roti aur beti ke sambandh
sabhytaon se wartaman tak
nadi ke thage jane ke baad
pyas tak pahunchne ke
sabse sahi raste thag liye jate hain
thag li jati hai
panchhiyon ki pyas
bijli ke taron ke bahane
nadi ko thag liye jane ke baad
abodh buDhe gunge dewta bhi
khu ko thaga sa mahsus karte hain
jo kamgaron
charwahon ke pichhe pichhe
chaumas ki nadi tair ke
ar par jaya karte the
darasl, nadi ka thaga jana
manushyata ko thag liye jane ki
sabse nai aur baDi ghatna hai
is duniya ki
thagi jati hai
jab ek nadi
tab uske kinaron ki
abadi bhi thag li jati hai
thag li jati hain
saral pashuon ki awazen
thage rah jate pul
jinse hokar
manushya aaye the dharti par
wo setu
jinke dam se tike the
roti aur beti ke sambandh
sabhytaon se wartaman tak
nadi ke thage jane ke baad
pyas tak pahunchne ke
sabse sahi raste thag liye jate hain
thag li jati hai
panchhiyon ki pyas
bijli ke taron ke bahane
nadi ko thag liye jane ke baad
abodh buDhe gunge dewta bhi
khu ko thaga sa mahsus karte hain
jo kamgaron
charwahon ke pichhe pichhe
chaumas ki nadi tair ke
ar par jaya karte the
darasl, nadi ka thaga jana
manushyata ko thag liye jane ki
sabse nai aur baDi ghatna hai
is duniya ki
स्रोत :
रचनाकार : अनिल कार्की
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.