धीरे-धीरे क्षमाभाव समाप्त हो जाएगा
प्रेम की आकांक्षा तो होगी मगर ज़रूरत न रह जाएगी
झर जाएगी पाने की बेचैनी और खो देने की पीड़ा
क्रोध अकेला न होगा वह संगठित हो जाएगा
एक अनंत प्रतियोगिता होगी जिसमें लोग
पराजित न होने के लिए नहीं
अपनी श्रेष्ठता के लिए युद्धरत होंगे
तब आएगी क्रूरता
पहले हृदय में आएगी और चेहरे पर न दीखेगी
फिर घटित होगी धर्म-ग्रंथों की व्याख्या में
फिर इतिहास में और फिर भविष्यवाणियों में
फिर वह जनता का आदर्श हो जाएगी
निरर्थक हो जाएगा विलाप
दूसरी मृत्यु थाम लेगी पहली मृत्यु से उपजे आँसू
पड़ोसी सांत्वना नहीं एक हथियार देगा
तब आएगी क्रूरता और आहत नहीं करेगी हमारी आत्मा को
फिर वह चेहरे पर भी दिखेगी
लेकिन अलग से पहचानी न जाएगी
सब तरफ़ होंगे एक जैसे चेहरे
सब अपनी-अपनी तरह से कर रहे होंगे क्रूरता
और सभी में गौरव भाव होगा
वह संस्कृति की तरह आएगी
उसका कोई विरोधी न होगा
कोशिश सिर्फ़ यह होगी कि किस तरह वह अधिक सभ्य
और अधिक ऐतिहासिक हो
वह भावी इतिहास की लज्जा की तरह आएगी
और सोख लेगी हमारी सारी करुणा
हमारा सारा शृंगार
यही ज्यादा संभव है कि वह आए
और लंबे समय तक हमें पता ही न चले उसका आना।
dhire dhire kshmabhav samapt ho jayega
prem ki akanksha to hogi magar zarurat na rah jayegi
jhar jayegi pane ki bechaini aur kho dene ki piDa
krodh akela na hoga wo sangthit ho jayega
ek anant pratiyogita hogi jismen log
parajit na hone ke liye nahin
apni shreshthta ke liye yuddharat honge
tab ayegi krurata
pahle hirdai mein ayegi aur chehre par na dikhegi
phir ghatit hogi dharm granthon ki vyakhya men
phir itihas mein aur phir bhavishyvaniyon men
phir wo janta ka adarsh ho jayegi
nirarthak ho jayega vilap
dusri mirtyu thaam legi pahli mirtyu se upje ansu
paDosi santvana nahin ek hathiyar dega
tab ayegi krurata aur aahat nahin karegi hamari aatma ko
phir wo chehre par bhi dikhegi
lekin alag se pahchani na jayegi
sab taraf honge ek jaise chehre
sab apni apni tarah se kar rahe honge krurata
aur sabhi mein gaurav bhaav hoga
wo sanskriti ki tarah ayegi
uska koi virodhi na hoga
koshish sirf ye hogi ki kis tarah wo adhik sabhy
aur adhik aitihasik ho
wo bhavi itihas ki lajja ki tarah ayegi
aur sokh legi hamari sari karuna
hamara sara shringar
yahi jyada sambhav hai ki wo aaye
aur lambe samay tak hamein pata hi na chale uska aana.
dhire dhire kshmabhav samapt ho jayega
prem ki akanksha to hogi magar zarurat na rah jayegi
jhar jayegi pane ki bechaini aur kho dene ki piDa
krodh akela na hoga wo sangthit ho jayega
ek anant pratiyogita hogi jismen log
parajit na hone ke liye nahin
apni shreshthta ke liye yuddharat honge
tab ayegi krurata
pahle hirdai mein ayegi aur chehre par na dikhegi
phir ghatit hogi dharm granthon ki vyakhya men
phir itihas mein aur phir bhavishyvaniyon men
phir wo janta ka adarsh ho jayegi
nirarthak ho jayega vilap
dusri mirtyu thaam legi pahli mirtyu se upje ansu
paDosi santvana nahin ek hathiyar dega
tab ayegi krurata aur aahat nahin karegi hamari aatma ko
phir wo chehre par bhi dikhegi
lekin alag se pahchani na jayegi
sab taraf honge ek jaise chehre
sab apni apni tarah se kar rahe honge krurata
aur sabhi mein gaurav bhaav hoga
wo sanskriti ki tarah ayegi
uska koi virodhi na hoga
koshish sirf ye hogi ki kis tarah wo adhik sabhy
aur adhik aitihasik ho
wo bhavi itihas ki lajja ki tarah ayegi
aur sokh legi hamari sari karuna
hamara sara shringar
yahi jyada sambhav hai ki wo aaye
aur lambe samay tak hamein pata hi na chale uska aana.
स्रोत :
पुस्तक : प्रतिनिधि कविताएँ (पृष्ठ 42)
रचनाकार : राजकमल प्रकाशन
प्रकाशन : कुमार अम्बुज
संस्करण : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.