चौड़ी सड़क गली पतली थी
दिन का समय घनी बदली थी
रामदास उस दिन उदास था
अंत समय आ गया पास था
उसे बता यह दिया गया था उसकी हत्या होगी
धीरे-धीरे चला अकेले
सोचा साथ किसी को ले ले
फिर रह गया, सड़क पर सब थे
सभी मौन थे सभी निहत्थे
सभी जानते थे यह उस दिन उसकी हत्या होगी
खड़ा हुआ वह बीच सड़क पर
दोनों हाथ पेट पर रख कर
सधे क़दम रख करके आए
लोग सिमट कर आँख गड़ाए
लगे देखने उसको जिसकी तय था हत्या होगी
निकल गली से तब हत्यारा
आया उसने नाम पुकारा
हाथ तौलकर चाक़ू मारा
छूटा लोहू का फ़व्वारा
कहा नहीं था उसने आख़िर उसकी हत्या होगी
chauDi saDak gali patli thi
din ka samay ghani badli thi
ramdas us din udas tha
ant samay aa gaya pas tha
use bata ye diya gaya tha uski hattya hogi
dhire dhire chala akele
socha sath kisi ko le le
phir rah gaya, saDak par sab the
sabhi maun the sabhi nihatthe
sabhi jante the ye us din uski hattya hogi
khaDa hua wo beech saDak par
donon hath pet par rakh kar
sadhe qadam rakh karke aaye
log simat kar ankh gaDaye
lage dekhne usko jiski tay tha hattya hogi
nikal gali se tab hatyara
aya usne nam pukara
hath taulkar chaqu mara
chhuta lohu ka fawwara
kaha nahin tha usne akhir uski hattya hogi
chauDi saDak gali patli thi
din ka samay ghani badli thi
ramdas us din udas tha
ant samay aa gaya pas tha
use bata ye diya gaya tha uski hattya hogi
dhire dhire chala akele
socha sath kisi ko le le
phir rah gaya, saDak par sab the
sabhi maun the sabhi nihatthe
sabhi jante the ye us din uski hattya hogi
khaDa hua wo beech saDak par
donon hath pet par rakh kar
sadhe qadam rakh karke aaye
log simat kar ankh gaDaye
lage dekhne usko jiski tay tha hattya hogi
nikal gali se tab hatyara
aya usne nam pukara
hath taulkar chaqu mara
chhuta lohu ka fawwara
kaha nahin tha usne akhir uski hattya hogi
स्रोत :
पुस्तक : रघुवीर सहाय संचयिता (पृष्ठ 31)
संपादक : कृष्ण कुमार
रचनाकार : रघुवीर सहाय
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.